Online Fraud Se Kaise Bache Fraud Se Bachne ke Top 10 Tips

Online Fraud Se Kaise Bache

Online Fraud Se Kaise Bache Fraud Se Bachne ke Top 10 Tips

Online Fraud Se Kaise Bache 10 Tips to prevent online fraud in hindi ! Kya aap bhi huye hai online fraud ka sikhar aur janna chahte hai isse bachne ke upay to ye post sirf apke liye hai. Aaj hum bat karenge online fraud se kaise bache aur isse bachne ke tarike je bare me 10 Tips.

Aaj ki duniya digital hota ja raha hai jaise – jaise waqt gujar raha sab online hota ja raha hai. Aaj chote se lekar bada kam bhi kuch hi minto me online kiya ja sakta hai jo hamare life ko thoda asan bana deta hai.

Par in sab ke sath kai buri chizo ka bhi khatra bahut tezi se badh raha hai, Jise hum online fraud kahte hai. Aaj choro aur thago ka chori aur lootne ka naya tarika hai online fraud vo bhi bilkul professional tariko se.

Jisme kai bhole bhale public in frauds logo ke bahkave me akar apni imandari se kamaye paise gawa baithte hai. In chor lootero aur frauds se bachna muskil hota ja raha hai.

Par kuch bato par dhyan rakh kar online frauds se bacha ja sakta hai. In sab online frauds se bachne ke liye aaj hum apke liye kuch tips lekar aye hai. Jis par amal kar aap online fraud thagi se bach sakte hai to chaliye jante hai online fraud se kaise bache fraud se bachne ke tarike, 10 Tips to prevent online fraud in hindi.

ऑनलाइन फ्रॉड से बचने के टॉप 10 Tips

1. Don’t Trust Online jobs

Aaj kai log aise hai jo ghar baithe online paisa kamana chahte hai bina ye soche ki ye safe bhi ya nahi. Inme se kuch log kam jankari hone ki vajah se online fraud jobs ke chakkar me apne paisa loota lete hai.

Internet ki duniya me aaj kai aise log hai jo online jobs dilane ke naam par logo ko loot rahe hai jo sirf ek fraud hai. Agar apko is field ke bare me puri jankari nahi hai to aap online jaise jobs ke chakkar me na pade, apna paisa online kisi ko na de aur apna bank account ka details kisi ko bhi na de.

2. Install Antivirus

Agar aap mobile ya computer chalate ho to apko jo sabse pahla kam karna hai vo hai ki aap ek powerful Paid antivirus ko install jarur kare. Jo apke mobile aur computer ke data ko kisi bhi virus, phishing aur hacker se bacha kar rakhta hai.

Par dhyan de aap bhul kar bhi kisi null ya free antivirus ka upyog na kare. Ye apke mobile aur computer ke personal data ke liye hanikar ho sakta hai. Kyoki kai bar hacker hi kisi branded antivirus ka null ya duplicate antivirus bana lete hai.

Jise agar aap free samjh kar apne computer ya mobile me install karte hai to apke sare data, personal details, bank information hacker ya fraud karne walo ke pass chale jate hai.

Net banking upyog karne wale user ke liye to antivirus Insall karna bahut hi jaruri hai. Aap ise kabhi bhi ignore na kare future me kab kya hoga kuch bol nahi sakte isliye pahle hi satark rahe.

3. Don’t use Public wi-fi 

Aaj aise logo ki kami nahi hai jo free me net use karne mil jaye to use chodte nahi. Par apko bata de free me public wi-fi use karna apko badi muskil me bhi daal sakta hai. Bina kuch kiye hi hacker apke mobile aur computer ke information chura sakte hai isliye public wi-fi ka use na kare.

4. Cyber Cafe 

Hum me se kai aise log hai jo cyber cafe jarur jate hai cyber cafe ek public use ke liye hota hai. Isliye Aap koshis kare ki isme personal details na dale na hi net banking ka upyog kare na hi social media open kare. Kyoki kuch cyber cafe computer me key logger software install kiye hote hai.

Jisme aap kuch bhi type karoge to vo sare record hota jata hai, Jisse bad me apke personal information ya net banking ka galat istemal ya fraud  karne me kiya ja sakte hai. Isliye Koshis kare jab bhi cyber cafe ka use kare incognito mode me kare ya history hamesha delete kar de.

5. Fraud website Se Bache

Aaj Online na jane aise kitne hi fraud websites hai jo logo ko online hi loot rahe hai chahe vo koi fake oniline shopping website ho ya koi fake oraganization. Aisi website koi branded products kam price me dene ka vada karta to hai par yah sab scam hota  hai aise site se shopping bilkul na kare.

Kyoki Online shopping ke samay credit card ya debit card ke details dena hota hai jisse online fraud hone ke chance badh jata hai aur product bhi nahi milta hai.

Isliye hamesha trusted site se hi online shopping kare isi tarah ke kai aur site bhi hai jaise online dating site, matrimonial site, online job site, fraud charity site etc in sab se bach kar rahe.

Also Read :

6. Fake Calls or Emails  

Apke sath bhi kabhi aisa hua hoga ki apke pass kisi unknown number se call ya message aya ho aur ye btaya ho ki apne 10 lakh ka price jeeta hai. Par apko kaha jata hai ki apko pahle is account me 5000 jama karna hoga fir 5 lakh rupey apke account me transfer kar diya jayega.

Ya fir apke account me transfer karne ke nam par apke bank account details mang kar sakte hai ye sab 100% fraud hota hai Aise kisi call ya message ka jawab na de.

Isi tarah kai bar emails ke dvara bhi ye ata hai ki congratulations apne jeeta hai 1 crore ka price. Fir ek website ka name  batayenge aur kahenge yaha apna Sara details bank details fill kar submit kar do.

fir kahenge apke number pe ek confirmation number ayega use hume send kare Apko 24 ghante me paise mil jayega. Hum bata de isme apko 1 rupee bhi nahi milega Balki apka sara paisa doob jarur jayega isliye fake calls message ya emails ka kabhi jawab na de.

7. Fraud Bank Officers  

Abhi haal ke dino me kuch ghatna bahut teji se badh raha hai jiski sikayat aaj kal badta ja raha hai Vo hai bank officers ban kar thagi karna. Isme hota ye hai ki achanak kabhi apke pas unknown number se call ayega.

Jis par vo bolega ki mai bank officer bol raha hu apka account disable ho chuka hai ya ATM block ho gaya hai use reactivate  karna padega.

Uske liye ve apse bank account number ya ATM number mang karenge fir otp ki mang karenge aur dekhte hi dekhte apke account se paisa nikal liya jayega.

Hum bata dena chahte hai koi bhi bank apne customers se bank details ki mang kabhi bhi nahi karta hai. Agar koi ye sab puchta hai to samjho apke sath fraud hone wala hai aise calls ka jawab na de.

8. Social Media

Aaj na jane kitne sare social media plateform hai jaha log register kar apna account create karte hai. Sabhi social media me terms and conditions hote hai par log use padhe bina hi agree par tick kar dete hai, Isse bhi fraud phishing aur hacker ka khatra badh jata hai.

Koshis kare jyada social media ka upyog na kare Hamesha trusted social media ka hi upyog kare. Kisi bhi Unkown application ya websites me apna account create na kare aur adult site pe to bhul kar bhi apna account create na kare.

9. Change Password 

Agar aap net banking use karte hai to apko samay – samay par apna password change karte rahne chahiye. Jisse hacker ya online fraud hone se bacha ja sakta hai, Aur kisi bhi unknown emails ko kabhi bhi open na kare usme virus ho sakta hai aise emails ko turant hi delete kar de.

10. Up To date  

Hamesha samay – samay par mobile aur computer ko antivirus se scan karte rahe koi bhi application ke update aye to use update jarur kare. Iske sath apko khud bhi security ke liye update rahna hoga ye apke mobile  aur pc ke security ke liye acha hoga.

Also Read :

Hum asha karte hai apko hamari yah jankari online fraud se kaise bache online fraud se bachne ke tarike top 10 Tips to prevent online fraud in hindi acha laga hoga . Apko yah kaisa laga comments me jarur bataye aur is post online fraud se kaise bache ko friends aur social media me share jarur kare.

Isi tarah ke jankari daily updates pane ke liye hamare blog ko subscribe jarur kare ya humse judne ke liye aap hamare Facebook page ko bhi like kar sakte hai.

Thanks For Reading…

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

error: Content is protected !!