Kya Aap Bhi Hai Genius Habits of Genius People
Habits of Intelligents people Genius ki pahchan! Aaj hum bat karenge Genius logo ki habits ke bare me. Kya Aap Bhi Hai Genius, Genius ki Secret Habits. Genius kise kahte hai ? Kuch log sochte hai Genius mind ya genius ve hote hai jinke har exam me 90% ate hai jo har exam me top karte hai ve hi genius hote hai.
Aur ve khud ko chota mehsus karne lagte hai ki mai to in logo ke samne kuch bhi nahi, mai zindagi me kuch acha kar paunga bhi ya nahi kuch pata nahi. Par dosto jaruri nahi ki genius ve hi ho jo har exam me 90% laye ya har exam me top kare.
Kyoki scientifically yah prove ho chuka hai ki ache marks ya ache grades ka genius se koi relation nahi hota hai.Yaha tak duniya ke mahan scientist Thomas alva edison, mahan kavi kalidas, the great multi talented genius Leonardo da Vinci, The great mathematicians srinivasa ramanujan jaise na jane aur bhi kai genius hai ve sabhi study me ache nahi the.
Fir bhi aaj inhe sari duniya unke kiye gaye karyo ki vajah se log inhe genius kahte hai. Agar aap bhi study me weak hai iska matalb ye nahi ki apme koi genius ki quality nahi hogi.
Kya pata aap bhi ek genius ho apme bhi koi genius ki quality ho aur apko iska pata hi nahi. Ye to such hai insan study karke ya mehnat karke kisi bhi field ka genius ban sakta hai.
Par har ek genius me kuch aise habits jarur hote hai jo unhe dusre se alag banata hai. Jise pahchan kar hum jan sakte hai ki kya aap bhi ek genius kya apme bhi hai genius ki quality to chaliye jante hai genius ke Secret habits, Habits of Intelligents people ke bare me.
जीनियस और बुद्धिमान लोगो की कुछ आदते
1. देर रात जागना
Scientists ke ek research me paya gaya hai ki genius logo ki ek common bat hoti hai ki ve adhikatar der rat tak jagte hai. Aur Apne jyadatar jaruri kam rat ko hi karna pasand karte hai jaise padhna, Research karna, Project taiyar karna ityadi.
Genius logo ka brain aksar der rat ko jyada active ho jate hai raat ko ve kuch na kuch information prapt karna start kar dete hai. Chahe vo study ho ya study se hat kar aise log apne umra ke logo ki soch se kafi aage ki soch rakhte hai.
Inke brain me kai creative ideas bhi raat ko ane lagte hai. Aise log ya to raat ko books padhna pasand karte hai Ya fir rat ko Google ki duniya me information prat karne ke liye kho jate hai is karan aise log aksar raat me der se sote hai.
2. खुद से बात करना
Genius logo me aksar yah bat bhi dekha jata ki ve khud se hi bat karne lagte hai ya kahe ve khud se baat karna pasand karte hai. Chahe koi problem ka solutions nikalna Ho ya koi ideas Ho ya fir future planning ve dusro se jyada khud par bharosa karte hai.
Ve dusre se advice lene ke jagah khud se sawal puchte hai aur uska jawab bhi nikal lete hai. Jisse unme self decision making power achi Ho jati hai aur ve khud par jyada bharosa karne lagte hai.
Ve Khud ko bahut ache se janne samajhne lagte hai isliye ve akele hone par bhi akela mehsus nahi karte aur kai asadharan kam impossible dikhne wale kam bhi apni ichha sakti se kar jate hai.
3. कम समाजिक होना
Ek scientific research ke anusar genius log kam social hote hai unhe dusro se milna, party karna ya bahar jana jyada pasand nahi karte hai. In vajah se hi aise logo ke friends bhi bahut kam hote hai.
Par iski achi bat yah hai ki ve jyada time waste na karke apne kisi project ya jo unka passion hota hai usko karne me pura waqt laga dete hai. Yaha tak ki kai bar to aise bhi genius huye hai jo bina kisi teacher ya bahari support ke bhi badi badi achievement kam umra me hasil kar khud ko duniya ke samne sabit bhi kiya hai.
Sirf isliye kyoki aise log khud se aur apne kaam se hi dosti kar lete hai. Jo unhe kai mamlo me dusre se alag banata hai aur log unhe genius kahte hai aise logo ka apne kam ke prati junoon bahut jyada hota hai
Also Read :
- Apne Talent ko Kaise Pahchane Aur Successful Bane
- Meditation benefits dimag tej karne ke
- दिमाग तेज कैसे करे
4. कम बोलना
Genius logo ki adat hoti hai ki ve aksar dusre normal logo se kam bolte huye paye jate hai. Kyuki unka brain bolne se jyada kam karne par focus karta hai ve bevajah arguments se bhi bachte hai.
Ve khud ko dusre se great kabhi nahi mante par normal log aksar argument karte hai aur khud ko great samajne ki har sambhav koshis bhi karte hai. Yahi bat genius aur intelligent log ko alag banata hai isliye genius log dusre se jyada successful ho jate hai.
5. दूरदर्शी सोच
Genius logo ki special bat hoti hai ki ve door ki chizo ko bhi apni imagination ke dvara dekhne ki ability hoti hai In logo ki imagination power bahut acha hota hai.
In doordarshi soch wale genius ki vajah se aaj hamari life ki kai chizo ko asan banaya hai. Modern life bhi in genius aur inventors ki vajah se hi possible Ho paya hai.
6. प्रकृति प्रेमी
Sabhi genius me yah bat bhi bilkul common hoti hai ki ve bhale hi logo se jyada milte nahi par nature ke hamesha se karib rahna pasand karte hai. Unhe animals aur nature se bahut acha lagao hota hai iske liye ve kuch pal nikal kar nature ke sath waqt bitana pasand karte hai.
Ve nature ko khud me mahsus karte hai is tarah sare genius nature lover jarur hote hai aur inki surakhsa ke liye bhi apna yogdan jarur dete hai. Chahe nature Ho ya animals Ve hamesha unse juda hua pate hai jo unhe andar se khushi deta hai.
7. अगले दिन की प्लानिंग
Genius ka mind hamesha kuch karna chahta hai, Ve apna time waste nahi hone dete hai. Iske liye aise log sone se pahle hi next day kya karna hai kitne time me karna hai in sabko decide kar lete hai ki unhe next day kya karna hai.
kyoki aise logo ke kam dost hote hai in vajah se ve hamseha apna kam succesfully kar bhi lete hai. Yahi tak nahi balki kuch to aise hote hai jo future ki planning bhi bahut ache se karte hai aur unhe ache se manage bhi kar lete hai. Ve planning ke anusar apni life me bhi use lagu karte hai.
Final Word :
Yah the Habits of Genius people Genius secret habits ke bare me agar apme bhi in me se koi habits hai to yah bahut achi bat hai. Isse ye to kah sakte hai ki apke kuch genius wali quality hai par dosto is quality ko prove karna aur apne genius ko sabit apko khud hi karna padega.
Iske liye apko jis chiz me bhi interest ho usme sab kuch bhula kar lag jane ki jarurat hai. Tabhi aap apni genius sabit bhi kar paoge. Hum me se to bahut ve honge jo jan kar khus to honge ki mujme genius ki quality hai mai to genius hu. Par Dikkat yah hai ki ve use sabit karne ke liye kuch karte nahi balki baithe rahte hai.
Kuch to Genius quality hone ke baad bhi life me kuch kar nahi pate hai aur fir kahte hai ye sab bakwas hai aisa kuch nahi hota hai. Dosto yaha apne aap kuch bhi hasil nahi hoga uske liye apko mehnat karna hi padega.
Genius to apne kaam ke prati pagal hote hai ve hamesha smart work pe viswas rakhte hai. To aaj se aap bhi apne andar ki us genius ko bahar nikalne ki koshis kare aur aaj se hi apne passion ko pura karne ke liye lag jaye.
Also Read :
Hum asha karte hai apko hamari yah interesting jankari Kya Aap Bhi Hai Genius Habits of Genius people Genius secret habits acha laga hoga. Apko yah kaisa laga Hume comments me jarur bataye, sath is jankari Kya Aap Bhi Hai Genius ko social media, friends and family me bhi share jarur kare.
Is tarah ke daily updates aur nai jankari pane ke liye aap hamare blog ko bhi subscribe kar sakte hai. Ya humse judne ke liye aap hamare Facebook page ko bhi like kar sakte hai.
Thanks For Reading…