Padhai Kaise Kare Study Tips In Hindi
Study kaise kare, study tips in hindi, yaad kaise kare, self study kaise kare, Kya aap bhi padhne me kamjor hai aur samajh nahi aa raha kya kare padhai kaise kare, yaad kaise kare, self study kaise kare.
To Aaj hum apko batayenge padhai karne ka formula, class me top kaise kare, how to study tips, how to study smart, how to study for exam, study method aur how to study hard to jante hai toppers ke study secret.
Chuttiya khatam ho chuka hai school aur colleges khul chuke hai. Ab sabhi students ke man me ye vichar a raha hoga ki padhai ‘study’ kaise kare ki is bar jyada Acha results prapt kar sake.
Par aksar dekha jata hai ki kuch students acha results pana to chahte hai, Par kuch laparwahi, tension aur kuch galtiyo ki vajah se ache results nahi la pate hai jaisa ve pana chahte hai.
To aaj hum apko kuch aise secret tips aur planing ke bare me bateyenge jinhe follow kar aap ache se padhai kar sakte ho aur man chaha results prapt kar sakte ho. To chaliye jante hai Padhai ‘Study’ Kaise Kare.
How To Study Smart Top 10 Tips
1. प्लानिंग करें
Students ko sabse pahle jo kam karna chahiye vo hai sahi planning karna. Bina planning ke aap kabhi bhi kuch hasil nahi kar paoge. Ye planning apko school ya college jane ke sath hi start kar dena chahiye.
Agar aap sochenge ki kal se padenge ya chhodo na itni jaldi kon padhta hai to dosto baazi koi aur mar jayega. Sayad apko pata nahi par maximum toppers students ki planning aur study normal log se bahut pahle hi start kar chuke hote hai ya kahe ve garmiyo ke chuttiyo me bhi study karna band nahi karte.
Par toppers apni secret kabhi share nahi karte Yaha padhne walo ki bilkul kami nahi hai agar unse aage jana hai ya khud ko behtar karna hai to start aaj se hi kare aur yaad rakhe top karne ka koi short cut nahi hota.
Students hamesha ek chota target lekar chale aur use pura kare. Jaise week me kitne topic ko complete karne ka target rakhte ho aur fir us target ko pura kare. Fir isi tarah month ka target banaye aur us target ko pura karne ke liye puri takat laga de.
Planning aise honi chahiye ki final exam ke 2 months pahle hi apna Sara course complete kar sako. Agar sare subject na bhi ho to jis subject me aap weak ho use to jarur complete kare. Aap dekhenge ki 80% apka study ka tension khatam ho jayega Fir aap bina tension ke jyada ache se final exam study par focus kar paoge.
2. सुबह पढ़े
Sabhi students ko jo dusri sabse important kam karna hai vo hai morning study. Specially ve students jo padhai mein weak hai iske liye aise students rat me jaldi sone ki adat dale aur morning me 4:30 se 5 :30 baje ke bich uthne ki adat jarur banaye.
Morning me 2 ghante ki study jarur kare ye 2 ghante apke din ke 4 ghante ke barabar honge. Iska fayda ye hota hai apka brain morning ke time ekdam fresh hota hai is time na koi whatsapp na koi facebook na hi koi shor kisi pe dhyan nahi jata hai.
Na hi kisi tarah ka koi disturbance hota hai, Jisse padhi hui chize jaldi yaad aur lambe time tak yaad rakhne me help karta hai. Morning study hamesha hi quality study me gina jata hai, jo students ke liye bahut faydemand hota hai.
Morning study se apke din ki achi suruvat hota hai aur pure din padhai mein man bhi lagta hai. Par students is bat ka vishes dhyan de ki apke sone ki timing 6 se 8 ghante jarur ho.
Verna subah uth to jaoge par apko bahut neend ayega aur fir padhai nahi ho payega. Isliye Neend puri karna bhi bahut jaruri hai tabhi aap fresh feel karoge aur padhai bhi acha hoga.
3. शान्त माहौल में पढ़े
Sabhi students ko agar quality study karna hai to apko koshis karna hoga ki jab bhi padhe hamesha shant mahol me padhe. Isse apko yaad kiya hua chiz ache se samajh bhi ayega aur yad bhi ache se hoga.
Kuch students ki ye problem hota hai ki ve study to bahut karte hai time bhi jyada dete hai Par mahol shant na hone ki vajah se apka dhyan kai chizo me distract Ho jata hai.
Jaise tv on hona aur study karte time bar – bar mobile check karna ya ghar me bahut sare log ka bate karte rahna. To in vajaho se bhi apka mind ek jagah focus nahi kar pata jisse padte to bahut hai par yaad kuch nahi hota hai. Toppers kam padte hai par quality study karte hai.
4. स्टडी ब्रेक लें
Students ko hamesha is bat par dhyan dena chahye ki ve ek sath lagatar na padhe thoda break jarur le jisse apka mind bhi thoda relex kar sake. Ise is prakar samajh sakte ho ki agar aap kuch kam karte ya khelte ya running karte ho to starting me to aap acha karte hai.
Par jaise – jaise time gujarta hai aap thoda thakne lagte ho. Isi tarah apka brain bhi hai bas ye hai ki brain ko jaldi pata nahi chalta ki vo thak raha hai. Fir bhi students padte rahte hai jisse padhai mein vo quality nahi rah pata hai.
Aur jaise – jaise waqt gujarta hai yaad karne ki shakti bhi kam hota jata hai. Isse bachne ke liye aap har 45 minute ke bad 5 se 7 minutes ka break jarur le is break me thoda uth kar body ko relex de thoda chale iske bad dobara study kare is tarah aap jyada ache se study kar sakte hai.
5. रिविशन करें
Sabhi students ko study me jo bhi apne padha hai usko jitni bar ho sake Rivision jarur kare. Ye apke memory ke liye bahut hi important hai, Dekhiye yad karne ka koi short cut nahi hota hai aap jitna jyada practice ya revision karenge aap us subject me utna jyada strong ho jayenge.
Ha aap chahe to ek imagination study ka rasta bilkul apna sakte hai . Aap jis bhi subject ko padhe next day fir se uska revision jarur kare. Ye revision apko long time yad rakhne me help karega aur topic ko ache se samajhne me bhi help karega.
Also Read :
- 12th Ke Baad Governments Jobs Ke Liye Kon Sa Course Kare.
- 12th Ke Baad Kya Kare Governments Jobs Jaldi Pane Ke Liye.
- CGPSC ki Taiyari Ghar Par Kaise Kare
6. लिख कर याद करें
Bahut se students aise bhi honge jo ache se padhte hai, Unko lagta hai ve ache se taiyari kar chuke ab koi problem nahi hoga. Par asli problem to tab ho jata hai jab exam hall me baithe ho aur answer likhte time ek bhi point miss kiye ya starting ke kuch lines bhule to sara answer hi bhul jate hai.
Jiske tension me aur pressure aa jate hai aur usse jitne questions ke answer yaad hote hai vo bhi bhulne lagte hai. Jisse students ke result kharab ho jate hai. Isse bachne ka ek tarika ye hai ki aap jab bhi padhe padhne ke bad jab apko lagta hai is question ka answer apko yaad ho gaya hai.
Fir aap bina dekhe use ek copy me likhna suru kar de isse apko pata chal jayega ki aap jo padh rahe hai vo apko such me yaad ho bhi raha hai ya nahi.
Kyoki man me yaad karna aur copy me likhna alag bat hai, aur exam me apko answers likhna padega. Isliye iske liye aap likhne ki bhi practice jarur kare jo apko exam me ache marks lane me help jarur karega.
7. पॉइंट बना कर पढ़ें
Students jab bhi padte hai unhe hamesha point to point padhna chahiye jisse yad karne aur exam me likhne me asani hoga. Jaise agar aap lambe answer ko padte time use kisi bhi chize se relate karke padhe ya use ek point banakar use tukde me apko apna answer yaad karne ki koshis karna chahiye.
Jisse agar aap kabhi exam me bhul bhi jao to us chiz ko yad karo fir apko answer bhi yad aa jayega. Kahne ka matalb ye hai lambe answer ek point me lane ki koshis kare fir usko vistar se likhe ya paragraph bana kar padhe.
8. नए तरीके से पढ़ें
Agar students ko yaad karne me ya samajne me Problem aa raha hai to ab apko apne padhne ke tariko me badalo karne ki jaruart hai. Ya fir agar apko aur bhi ache marks lana hai to bhi apko samay ke anusar study karne ke new techniques ko bhi sikhna chahiye.
Study ko interesting aur easy banane ki jarurat hai Yah tarika apke brain power ko improve karne yad dast ko badane me bahut help karega.
Ye is prakar hai jaise player apne game ko ya body ko improve karne ke naye tarike hote hai new techniques hote hai jisse ve apne game ko improve karte hai. Thik Usi tarah apko study me bhi try karna chahiye.
9. बुक्स पढ़े
Students ko books padhne ki habits banana chahiye. jo apko long time tak books padne ki capecity badayega jisse aap books bina bor huye lambe time tak padh paoge. Kyoki kuch students aise bi hote hai jo jyada der tak nahi padh pate hai.
Ya to ve bor ho jate hai ya fir unhe neend ane lagta hai, isliye books padhne ki habits jarur banaye Isse apka study me bhi man achi tarah lagega.
10. योगा करें
Agar students ko abhi bhi study me bahut problem aa raha hai Unhe padhne par bhi kuch yaad nahi ho pa raha hai kitna bhi padte hai 2 din bad bhul jate hai. Ya koi sahi disha nahi dikh raha hai ki kya kiya jaye toh aise students ko yoga (meditation) jarur karna chahiye.
Kuch students ko ye boring jarur lagega Par dosto agar meditation sahi tatike se kiya jaye to iska Acha results one week me hi dekhne ko mil jayega Meditation ko aap ghar par asani se kar sakte hai.
Yoga apke man ko shant kar apke brain power memory ko bada kar mind ko sharp karta hai. Yoga apke focus level ko bhi bahut bada dega jisse kuch bhi yaad karne aur use lambe time tak yad rakhne me help milega.
Final word :
Ye the Padhai “Study” Kaise Kare study tips in hindi, yaad kaise kare, self study kaise kare. ke kuch asardar tarike jo apko study me help karega Agar aap ise sahi tarike se follow karte hai.
Dosto bat bas itni si hai ki kuch students hai jo in sab tarike ke bare me pahle se jante hai par fir bhi ve ise kabhi follow nahi karte hai aur results acha nahi ata hai.
Iska karan hai students ise seriously nahi lete ise sahi tarah se follow nahi karte. Study me bhi students alas karte hai ki kal padhenge ye kahte kahte pura year nikal jata hai Aur fir padhne ka time hi nahi mil pata hai.
Kal kya hoga ye aap nahi jante isliye padhna aaj se suru kar de. Apki success isme depends karta ki aap starting kaise karte ho aur aap AIM par kitna focus kar Pate ho.
Also Read :
- Exam ki taiyari kaise kare step by step
- IPS Officer Kaise Bane How To Become an IPS In Hindi
- 12th pass karne ke baad science students kya kare
Hum asha karte hai ki apko hamari yah important jankari Padhai “Study” Kaise Kare how to study tips, how to study smart, how to study for exam acha laga hoga.
Agar apko hamari yah jankari acha laga ho to comments me jarur bataye aur is post Padhai “Study” Kaise Kare ko apne friends family and social media me bhi share share kare.
Agar apka kisi tarah ka koi sawal hai to bhi aap comments karke puch sakte hai. Isi tarah ki jankari ke daily updates pane ke liye aap hamari blog ko bhi subscribe kar sakte hai aur humse judne ke liye aap hamare Facebook page ko bhi like kar sakte hai.
Thanks For Reading…
बहुत-बहुत धन्यवाद सर, हमें यह समझाने के लिए कि जल्दी याद कैसे करें क्योंकि मेरी परीक्षाएं आ रही हैं और हम तेजी से याद रखने के तरीके पर आपके सभी सुझावों का पालन करेंगे। और हमें परीक्षा में +95% अंक मिलेंगे।