12th Ke Bad Governments Jobs Ke Liye Kon Sa Course Kare

Sarkari Naukri Ke Liye Kya Kare

12th ke Bad Government Job sarkari naukri

12th Ke Bad Government Job

12th Ke Bad Governments Jobs, sarkari naukri ke liye kon sa course kare, 12th pass govt. job for female, free government training courses. India me kuch courses aise bhi hai jo students 12th ke baad kar sakte hai aur government jobs hasil kar sakte hai.

Aaj har students ka ek sapna hota hai ki unhe bhi ek government job mile fir to life set hai. Par bahut se students ko is bare me Puri jankari hi nahi hota hai Ki government jobs pane ke liye kon se course ko karna sabse acha hota hai.

Sabhi students jyadatar vahi course karte hai jo kai salo se chala aa raha hai jo sabhi karte hai. Jiska future me government jobs milne ka koi guarantee nahi hota aur jisko milta hai un students ko iske liye bahut hi jyada mehanat karna padta hai.

Iske liye Kai saal competitive exam ki taiyari karna padta hai fir bhi jobs milega ki nahi koi guarantee nahi hota hai. Isliye aaj hum apko kuch aise courses ke bare me batane ja Rahe hai.

Jise agar aap 12th ke baad karte hai to, apke government jobs pane ke chances bahut jyada badh jayenge. Jisme apko bahut jyada mehnat bhi nahi karna padega.

To chaliye jante hai 12th Ke Bad Government Jobs sarkari naukri ke liye kon sa course kare, 12th pass govt. jobs for female, free government training courses..

12th के बाद कोर्स 

1. ITI Course : ITI ka full form industrial training institute hota hai. Jise Students 10th aur 12th ke baad kar sakte hai. ITI India me 10th aur 12th ke baad kiya jane wala sabse popular courses mana jata hai.

Jise karke kai log ne asani se government job paya hai. ITI me kai tarah ke trade hote hai jise students ITI ke official site par jakar dekh sakte hai aur apni pasand ka trade select kar sakte hai.

ITI ka form june – July me nikalta hai jisme aap apply kar sakte hai. ITI ki achi bat ye hai yaha courses hindi language me karaya jata hai jo hindi medium students ke liye acha hai. ITI me theory par kam aur practical knowledge par jyada dhyan diya jata hai.

Jisse students ka practical knowledge bahut acha ho jata hai hai, jisse students ko bhi jobs milne ke chances badh jate hai. Dusre colleges aur courses me jyadatar theory par hi focus kiya jata hai. Jisse students ko practical knowledge bilkul nahi hota hai yahi vajah hai ki unko jobs milne me bhi muskil ho jata hai.

Iske sath hi Dusre kai colleges aur courses ki tulna me ITI ki fees bahut hi kam ya na ke barabar hota hai. ITI me courses ke hisab se 6 month  1.5 year  aur 2 years ka hota hai. Ise 10th aur 12th ke baad koi bhi kar sakta hai. Graduate aur post graduate students bhi ise asani se apni pasand kar sakte hai.

2. Apprentice : Apprentice ek kusal training prashiksam ITI ke antargart hi ata hai, jo central govt. ki taraf se karaye jate hai. Jisme students ko unke trade ke hisab se training di jati hai practical work pe jyada dhyan diya jata hai.

Ise is prakar se samajh sakte hai jaise aap koi bhi field me jobs ke liye jate hai Ya kai college se pass out hone ke bad kuch month ke liye internship karaya jata hai. Internship ke baad hi use vah job permanent kar diya jata hai.

Apprentice 1 years se lekar 1.5 year ya 2 years tak ka course ho sakta hai. Jise koi bhi students 10th ya 12th ke baad kar sakta hai. Apprentice me age limit nahi hota hai agar candidates ki umra 16 se adhik hai to vah Apprentice ke liye apply kar sakta hai.

Apprentice kafi acha mana jata hai jo aaj ke daur me students ko bahut jald asani se government jobs dila sakta hai.  Railway me sabse adhik post apprentice ke nikalte hai jisme students ka merit ke adhar par selection ho jata hai.

Waise to apprentice me jiske ache marks hai ya kam bhi hai to bhi unka selection ho jata hai kyoki apprentice government of india ke skill india ke tahat kiya jata hai. Isliye iski important aur bhi bad jata hai jisse railway me job ke chances bhi badh jate hai.

Fir bhi agar kisi karan vas sarkari naukri me selection na ho paye to nirash hone ki jarurat nahi hai.  Apko in 1 se 1.5 saal me itna acha practical knowledge ho jayega ki aap kisi bhi company ya industrial sector me achi salary ke sath job hasil kar sakte hai. Par aap koshis kare railway me jab bhi apprentice se vacancies nikle hamehsa apply jarur kare.

3. DEd (Diploma In Education): D.Ed ka Full Form Diploma In Education hota hai. D.Ed ek diploma course hai jo 12th ke bad koi bhi students kar sakata hai isme graduate students bhi apply kar sakte hai.

Par hum yahi salah denge ki agar apne graduation kar liya hai to aap D.Ed ki jagah B.Ed (Bachelor of Education) kare jo D.Ed se acha hota hai. Par agar aap 12th ke baad jyada padhai nahi karna chahte ho ya fir apko jaldi se government job ki talash hai to aap 12th ke bad D. Ed jarur kare.

D.Ed क्यों करें 

Kai students aise hote hai jise teaching karna acha lagta hai jo apne ghar par bacho ko tution dete hai. Ya jo future me teaching ko apna profession banana chahte hai jise teacher banne ka sapna hai.

Unhe 12th ke baad D.Ed ya fir graduation ke baad B.Ed karna bahut hi jaruri hai. Kyoki aaj central aur state government dono me hi teacher banne ke liye D. Ed ya B.Ed anivarya kar diya gaya hai.

D.Ed aur B.Ed ke bina aap teacher nahi ban sakte hai. Teacher job kafi acha mana jata hai, agar apka government teaching me selection hota hai to apko bahut hi acha salary milega aur sat me kai suvidahye bhi milega.

Par agar apki government school ke liye selection nahi ho pata to bhi private schools ke darvaje apke liye hamesha khule rahenge. D.Ed ya B.Ed karne ki vajah se apko private schools me achi salary ke sath teaching ka job mil hi jayega.

4. Mphw( Multi Purpose Health Worker): Mphw ka Full form multi purpose health worker hota hai. Jo emergency ke halat me health se judi sabhi tarah ke samasya ka nidan karne ke liye hota hai. Mphw medical health emergency me sahi tarah se manage karne ki training diya jata hai.

MPHW ek diploma course hai jise karne ke liye 12th ke baad kisi bhi subject me manyata prapt board se 50 % ke sath pass hona anivarya hai.

Mphw क्यों करें 

MPHW me apko kisi bhi tarah ke health emergency ke dauran patients ke dekh rekh unka treatment karna hota hai. MPHW ko hamesha ek senior doctor ke antargat unke dekh rekh me apna karya karna hota hai. Jisse kisi bhi tarah ka galti na ho aur patients ka sahi aur puri tarah Primary treatment mil sake.

Kai bar Mphw employees bahut se jagaho par jaise baad, bhukamp, mahamari ka prakop ho vaha sivir laga kar jarurat mand ko bhojan samagri pahuchana zakmi hone par unka turant upchar karte hai.

Is tarah aap ek job ke sath samaj ke liye apna yogdan de sakte hai. Mphw karne se na sirf apko government field me jane ka mauka mil sakta hai balki kai badi organizations ke sath mil kar desh aur videsh me bhi kam karne ka mauka mil sakta hai.

Final word 

Humne jitne bhi courses bateye hai unhe aap 12th ke baad badi asani se kar sakte hai aur government jobs paa sakte. Par aap koshis kijiye in couses ko ache % ke sath pass kare kyoki isme merit ke adhar par hi selection ho jata hai.

Agar apka ache numbers ate hai to apka automatic bina kisi competitive exam ke 12th Ke Bad Governments Jobs sarkari naukri me selection jo jayega. Isliye seriously in courses ke padhai pe dhayn de.

Students se jo galti hoti hai ve aksar sahi salah na milne ke karan avam sahi future planning na hone ke karan hota hai. Students Aksar course long time results dekhe bina hi course ka chunav to kar lete hai. Par jab course ho jata hai aur jobs ke liye apply karte hai.

To practical knowledge na hone ke karan jobs milna bahut muskil jo jata hai. jisse kuch students graduate aur post graduate hone ke bad bhi berozgari ka samna karna padta hai. Isliye aap aise galti bilkul na kare soch samajh kar hi hamesha decision le.

Also Read :

Hum asha karte hai ki apko hamari yah important jankari 12th ke Bad Governments jobs, 12th Ke Bad Governments Jobs sarkari naukri ke liye kon sa course kare, 12th pass govt. job for female, free government training courses. sarkari naukri ke liye kon sa course kare 12th pass govt. job aap sabhi ko acha laga hoga. apko yah jankari kaisa laga comments me jarur bataye.

Agar apka kisi tarah ka sawal hai to aap comments me puch sakte hai apke sawal ka jawab diya jaega.12th Ke Bad Governments Jobs sarkari naukri ke liye kon sa course kare, 12th pass govt. job post ko apne friends aur social media me share jarur kare.

Daily updates pane ke liye aap hamare blog ko subscribe bhi kar sakte hai ya humse judne ke liye hamare Facebook page ko bhi like kar sakte hai.

Thanks For Reading..

4 thoughts on “12th Ke Bad Governments Jobs Ke Liye Kon Sa Course Kare”

  1. Maine abhii 12th pass kiya or mujhe ssc cgl krna h toh m graduation konse subject se kru ya koii or course kru

    Reply
    • ye aap par depend karta hai ki aap 12th kis subject se pass kiya hai. Agar apne 12th Maths se kiya hai to ssc apke liye asan ho jata hai kyoki SSC cgl ke syllabus me Mathematics, General Intelligence, reasoning, Quantitative aptitude aur english most important hota hai jo ki syllabus ka 75 % Cover karta. par agar aap arts ya commerce se hai to aap only Plane graduation kare aur sath me 1 year ka Pgdca Course kare aur jayada se jayada Focus SSc pe kare ye apke liye best hoga.

      Reply

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

error: Content is protected !!