10th Ke Bad Kya Kare Kon Sa Subject Le Aur Kyu Career Guide

10th Ke Baad Kya Kare

10th ke baad kya kare

10th ke bad kya kare kon sa subject le aur kyu career guide courses after 10th in hindi. 10th board exam ke results Declared ho chuke hai, Isme se kai students ne 1st division se pass kiya hai to kai ne 2nd division aur kuch ne 3rd division se.

Par sabhi students ko ek hi bat ko lekar confusion rahta hai ki ab aage kya kare? kon sa subject le jisme future career scope Jyada acha ho. Sahi mayno me Yahi vo samay hota hai jisme apko ache se soch vichar karne ki jarurat hoti hai.

Ki 10th ke bad kya kare kon sa subject le jo hamare career ke liye sahi ho. Kyoki ek bar subject le liye to usme hi aage badhna hota hai usme hi future banana hai, agar thodi bhi galati hui subject course ka chunav karne me to ek saal waste aur fir tension badhne lagega.

Bahut se students aise hote hai jo jyada sochte nahi aur apne friends ko dekh kar ya dusre ke kahne par subject ka chunav to kar lete hai. Par bad me bahut problem hota hai use thik se subject samajh nahi ata padhne me bhi man nahi lagta hai.

Jiski vajah se kuch to fail ho jate hai aur kuch to le de kar padh lete hai par puri life me kuch kar nahi pate hai. Interest na hone ki vajah se successful bhi nahi ho pate.

Isliye subject course hamesha apni pasand ka chune jisme such me apko career banana hai dusre kya kar rahe hai unse apko matlab nahi hona chahiye.

विषय का चुनाव कैसे करें 

1. Bahut se students ko samajh nahi ata hai ki subject ka chunav kaise kare. Hum yahi kahenge sabse pahle to apko ye janna hoga ki apka kis subject me jyada interest hai. Aap future me kya banna chahte hai aap kis subject me ache hai.

Jisme apka number hamesha ache ate hai Aur apko lagta hai ki muje is subject ke bare me aur bhi janna hai to apko pata chal jayenga ki 10th ke bad kya kare kon sa subject le aur kyu le.

2. Kuch students thoda confuse rahte hai jinhe ab bhi samajh nahi aa raha hoga ki use kya karna chahiye. Uske liye hum kahenge ki aap jyada tension na le aur sabse pahle aap jin 2 subjects ke bare me soch rahe hai jinko lekar aap padhna chahte hai.

Un 2 subject ki 11th aur 12th ki books kisi bhi senior se mang kar le le. Aur in garmiyo me us books ko padh kar dekhe aur samjhe ki apko kya lagta hai ki kon si books apke interest me hai.

Jo apko padhne me Acha lag raha hai apko koi dikkat nahi aa raha hai aur apko lagta hai is subject ko jyada ache se padha ja sakta hai.

Fir aap usi subject ko Le jisse future me apko koi bhi problem nahi hoga aur aap jyada successful bhi ho paoge. Ise aur details me janne ki koshis karte hai ki kon subject apke career aur future ke liye best hoga. To chalo jante hai 10th ke bad kya kare kon sa subject le aur kyu le career guide line courses after 10th in hindi.

Also Read :

Types Of Subjects After 10th Class

1. Mathematics

2. Science

3. Commerce

4. Arts

#1. 10th ke baad Mathematics 

Subject me sabse pahla aur sabse upar mathematics ata hai In subject ko adhiktar ve students lena pasand karte hai, Jise mathematics me interest jyada ho jo future me engineering and technology field me jana chahte hai. sath hi yah bhi dekha jata hai ki jiske 10th me ache marks aye ho.

Jin students ka Math acha ho jise mathematics padhna acha lagta ho ve hi students mathematics subject ka chunav kar apne career me successful ho sakte hai. Bina interest ke Math subject boring lagta hai aur padhna bhi muskil ho jata hai.

Isliye soch samajh ke hi decision le Kyuki ye thoda muskil subject mana jata hai. 12th ke baad iske sare courses totally English me hi padha jata hai. Jisse hindi medium ke students ko starting me kai muskilo ka samna karna padta hai par bad me sab thik ho jata hai.

Total  Subjects Of Mathematics After 10th:

1. Mathematics

2. Physics

3. Chemistry

4. Computer science(optional)

5. Hindi

6. English

#2. 10th ke baad Science

Science subject kafi interesting subjects mana jata hai kyoki isme sikhne aur janne ko bahut kuch milta hai. Chahe vo life se juda ho ya health se bahut kuch sikhne ko milta hai. Science Subject un sabhi students ke liye hai jinhe Science me interest jyada ho.

Jo future me medical MBBS, dentists, pharmacist, microbiology, biotechnology, biochemistry, anthropology aadi jaise field me jana chahte hai Aur apna career banana chahte hai.

Jiske 10th me science me ya fir overall 60%+ marks ya isse ache aye ho ve Science subject leker padhai kar sakte hai. Science  subject thoda muskil jauru hai par agar apka interest aur aim is field me ya medical field me jane ka hai to aap science subject lekar jarur padhe aur apne sapne pure kare.

Science me bhi agar future me aap koi professional course jaise ki hume upar bataya hai unhe karte hai to ye sare courses totally English me hi hota hai.

Total Subjects Of Science After 10th Class 

1. Zoology

2. Botany

3. Physics

4. Chemistry

5. Hindi

6. English

#3. 10th ke baad Commerce

Commerce subject mathematics aur science ki tulna me thoda easy hota hai. Sirf isliye kyoki isme students ko practical ka tension nahi hota hai Jise asani se koi bhi students kar sakte hai.

Commerce subject un sabhi students ke liye hai jo ki future me banking, management, finance, accounting, CA, MBA ya fir kisi multinational companies me job karna chahta hai ya khud ka koi business karna chahte hai.

Ve sabhi students commerce subject le sakte hai iske liye 10th me minimum 50% se 55% marks lana jaruri hota hai. India me adhiktar students commerce lena pasand karte hai. Agar aap bhi future me upar diye field me jana chahte hai aur apna career banana chahte hai to apko commerce subject lekar padhna chahiye jisse aap in field me  successful ban sakte hai.

Total Subjects Of Commerce After 10th Class 

1. Hindi

2. English

3. Bussines studies

4. Economics

5. Accountancy

6. Entrepreneurship (optional)

7. Mathematics ( optional)

#4. 10th ke baad Arts 

Arts ek aisa subject hai jise koi bhi le sakta hai kyoki ye baki 3 subject ke tulna me easy hota hai. In subject ko adhiktar ve students lete hai jinko art aur history me interest ho.

Ya fir study me koi problem aa raha ho ya padhai me bahut weak hai. ya students kisi karan vas regular school ya collage nahi ja pata ho. Par aisa jaruri nahi hai ki Arts sirf weak students ke liye hi hai ache students bhi Arts padhte hai.

Kuch students government jobs ki preparation karna chahte hai to unke liye arts ek bahut Acha subject hai. Bahut se students ye sochte hai ki Arts weak students ke liye hi hai aur arts wale ka koi future nahi hai to ye bilkul bhi galat soch hai.

Arts students agar sahi tarah se man laga ke padhe to bahut kuch hasil kar sakte hai. Jaise arts students bahut jaldi government jobs hasil kar sakte hai kyuki inko padhne ka extra time mil jata hai. Aur inki history bahut strong ho jata hai jisse competitive exams kam time me pass karne me asani hota hai.

Aap chahe to politicians ban sakte ho, advocate ban sakte ho, ek ache lecturers ban sakte ho, School teacher ya college professor ban sakte ho, ek ache philosophers ban sakte ho.

Ya fir Civil judge banker ya civil service me jakar desh seva me apna yogdan de sakte hai. Isliye arts subject  ko kabhi bhi weak na samjhe balki garv ke sath padhe aur successful bane.

Total  Subjects Of Arts After 10th Class 

1. Geography

2. Political science

3. Economics

4. Hindi

5. English

Final world 

Hum sabhi students se yahi kahenge ki aap jo bhi subject le ache se khud se vichar karke hi decision le. Aap apne bado se advise jarur le sakte ho par final decision apko hi lena hai. Kyuki study apko hi karna hai Aap se jyada better koi nahi janta ki apko kya karna hai khud par bharosa karna sikhe.

Koi bhi subject chota ya bada nahi hota hai jo bhi lo apni puri lagan ke sat apna 100 % do successful jarur hoge.  Aur life me kabhi haar nahi manna yad rakhiye jiski manzil jitna bada hoga muskile bhi utna hi ayega.

Par jab safalta milega to vo dusro se bada aur shanadar hoga, successful hone ke liye kabhi short cut na apnaye balki smart work apnaye.

Also Read :

Hum asha karte Hai ki apko hamari yah jankari 10th ke bad kya kare kon sa subject le career guide courses after 10th in hindi acha laga hoga.

Apko Hamari yah jankari kaisa laga comments me jarur bataye aur is post 10th ke bad kya kare courses after 10th in hindi ko friends, family aur socail media me share jarur kare.

Isi tarah ki jankari daily updates pane ke liye aap hamare blog ko bhi subscribe kar sakte hai. ya humse judne ke liye aap hamare Facebook page ko bhi like kar sakte hai.

Thanks For Reading…

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

error: Content is protected !!