Bacho Ki Sahi Parvarish Kaise Kare Bacho ki Dekhbhal kaise kare

Bacho ki Dekhbhal Bacho Ki Achi Parvarish 

Bacho ki sahi parvarish kaise kare

Bacho Ki Sahi Parvarish Kaise Kare Bacho ki dekhbhal kaise kare child care tips in hindi Bacho ki achi parvarish ! Aaj ke Parents is bat ko lekar paresan rahte hai ki Bacho ki sahi parvarish kaise kare taki bache bade hokar ache aur kamyab insan bane.

Bacho ki achi parvarish waise to asan kam nahi hai isme kai choti badi bato ka pura dhyan diya jana bahut hi jaruri hota hai. Kyoki agar aapne apne bacho ko bachpan me hi achi sikh, ache sansakar aur achi education nahi diya to bacho ke bade hone ke bad aap kitna bhi koshis kar le bache apke hath se nikal jayenge.

Fir bad me aap kitna bhi unhe samjha lo vo nahi sudhrenge isliye har mata – pita ke liye bacho ka bachpan bahut hi mahatvapurn hota hai jise aap nazar andaz karne ki bhul bilkul bhi mat kariyega 

Bacho Ka Bachpan

Aaj bahut se parents aise bhi hai jo yah sochte hai ki bacho ko achi education, acha khana, achi lifstyle aur ache kapde dila dena hi achi parvarish hai. Par aaj ka daur badal chuka hai apko iske alava bhi apne bacho ki parvarish par vishes dhyan dena ki jarurat hai.

Ye isliye bhi jaruri ki kyoki agar aap bacho ke bachpan me hi unki achi parvarish pe dhyan nahi hai dete hai. To kahi aisa na ho ki bahut der ho jaye aur apke bacho par apka control na rahe aur apki bat hi na mane balki dusro ke control me chala jaye.

Agar aisa hota hai to bache apni life to kharab karenge hi iska asar parents aur puri family par bhi padega. Isliye Aaj janna Bahut jaruri hai ki Bacho ki sahi parvarish kaise kare Bacho ki dekhbhal Bacho ki achi parvarish kaise kare isliye is bare me jankari jarur le.

Bacho Ki Achi Parvarish :

1. खुद पर अनुशासन फिर बच्चों पर

Aaj kal ke parents jo sabse badi galti karte hai ki vo hamesha bacho ko to anushasan me rahne ko kahte hai par khud nahi rahte. Kahne ka matlab yah hai bache jo bhi sikhte hai ve apne mata – pita se hi sikhte hai.

Agar apme koi burai hai jaise drink karna, smoke karna, galiya dena, jhagde karna ya bahut jyada gussa karna. To ye man kar chale ki bhale hi aap use kitni bhi achi sikh de do bacha bachpan me to apse dar kar ye sab nahi karega.

Par jab bacha bada hoga to parents ki in buri adato ko apnane me jara bhi der nahi lagayega aur sayad aap se bhi jyada bura ban jayega. Isliye pahle mata – pita ki zimmedari banti hai ve sahi se anushasan me rahe.

Bache apne aap apki achi adato ko apna lenge jisse bacho par bhi acha prabhav padega ayega jisse bache bhi anushasan me rahenge kyoki bache dekhi hui chizo ko jaldi sikhte.

2. अच्छे संस्कार दे

Bacho ki sahi parvarish ke liye Parents ko apne bacho ko ache sanskar achi bate aur achi sikh jarur deni chahiye yah sab aise bate hai jo bacho ko school me nahi sikhaya jayega ye to mata – pita ki zimmedari hai. Iliye Unhe apne se bado ka hamesha respect karna sikhaye aur choto se pyar se bat karne ko kahe mil kar rahna aur jhagda na karna sikhaye.

Ye sanskar hi hai jo apke bache ke pahchan ko sakaratmak disha dikhane me important role nibhate hai Jo bacho ke puri life me kaam ayega.

Sath hi aap Apne culture ke bare me Bachho ko bachpan se hi sikhaye daily unhe ghar ke puja me samil kare apne dharm ke prai bacho ki astha ko jagaye aur apas me mil kar rahna sikhaye family ke mahatva ko samjhaye.

3. उम्र के साथ व्यव्हार करें

Parents ko is bat ka dhyan dena chahiye ki bacho ke sath unke umra ke anusar hi vyavhar kare. Aap bacho se jyada bade banne ki apechha na kare bache bachpan me galti karte hai unhe pyar se samjhaye na ki unhe mare Sahi aur galat ki bate bacho ko sikhaye.

Jisse bache ye sikhe ki kya karna acha hai aur kya nahi. Agar bache galti karte hai to unhe thodi punishment ya maar padni chahiye Par tab jab galti badi ho, Jisse bache bhi yah jan payenge ki hume yah galti nahi karna hai varna papa se mar padegi.

Baki choti galti ko samja kar ya choti punishment De sakte hai jisse aise galti dobara na kare. Punishment bhi jaruri hai kyoki jyada hi lad pyar bacho ko bigad sakta hai. Unko sahi raste me lane ke liye punishment jaruri hai par dhyan de punishment ka sahi karan hona chahiye bevajah ke punishment ya dantna acha nahi hai.

4. दूसरे बच्चो से तुलना ना करें 

Sabhi mata – pita jo sabse badi galti karte hai vo hai bacho ki tulna dusre ke bacho se karte hai. Ye bate bacho ke liye aur parents dono ke liye bahut ghatak sidhh ho sakta hai. Apko yah samajhna hoga ki sab bache ki khasiyat alag hoti hai aap apne bacho ki tulna dusre ke sath karke uska manobal tod rahe ho aisa na kare.

Agar yahi tulna bar – bar kiya jayega to bache puri tarah se haar man jayenge. jisse us bache ko lagega ki vo bilkul bhi kabil nahi hai kuch karne ko. Mere papa to mujse jyada dusro ko pasand karte hai ya sayad yah bhi sochne lage ki mere papa to mujse pyar hi nahi karte hamesha dusre bacho ko pasand karte hai.

Fir vah depression me chale jaenge agar sab vichar agar bar bhi aa gaya to iske bahut ghatak parinam dekhne ko mil sakta hai isliye aap aisi galti na kare.

Apke liye apke bache important hai dusre ke bache kya kar rahe hai usse apko fark nahi padna chahiye. Kahi aisa na ho jab  apke bache bade ho jaye to apki tulna dusre se karne lage ya apki izzat hi na kare to socho apko kaisa lagega ya future me apka sath hi chod de.

Isliye Apne bacho ko kabil banane ki kosish kare unko support kare motivate kare kabhi har mane to unka manobal badahye. Unko kahe ki tum sab kuch hasil kar sakte hai unke har muskil me madad kare na ki tulna kare.

5. दोस्ताना व्यव्हार रखें

Bacho ki achi parvarish ke liye apko apne bacho se friendly nature rakhna chahiye Jisse bache apni sari problem ya bate apse share kare. Bacho ko ye viswas dilaye ki aap unki sari problem bina Dante solve kar denge aur sahi rasta dikhayenge .

Isliye bacho se pyar se bate kare unke sah unki tarah bache bankar kar khele unse akele me bate kare ghumne le jaye. Jisse bache apke aur close aa jayenge aur ye friendly nature apko future me generation gap bhi nahi ane dega.

Also Read :

6. क्वॉलिटी एजुकेशन दें  

Sabhi parents ko apne bacho ko quality education par dhyan dena chahiye. Ek achi Education ke bina bache ek mitti ki tarah hai unme sahi soch samajh nahi aa payega na hi vo sahi aur galat ka fark kar payenge. Aur kisi ke bhi kuch bhi kahne ko such man kar apni hi life kharab kar lenge.

Agar aap bhi apne bache ke school admission ke liye ja rahe hai to pahle achi tarah school ke bare me janakri nikal le ki vaha ki teacher vaha ke staff  us school ka mahol kaisa hai vaha ke last year ka result kaisa tha.

Hum aisa isliye kah rahe ki kyoki yah jaruri nahi ki har mahnge school achi sikhsa ki gurantee nahi dete aap dekh sakte hai jab bhi board exam ke result ate hai usme top 10 students me mahange school ke bache apko sayad hi dikhne ko mile.

7. बच्चो पर दबावो न डालें

Sabhi bache ki quality alag -alag hoti hai sabhi bacho me sikhne ki ability bhi alag  alag hoti hai. Koi ise jaldi sikh jata hai kuch der me isliye bacho par kabhi  kuch Karne ka bahut jyada dabavo na dale bas kuch had tak bol sakte hai.

Iska karan hai kuch bache bahut jaldi hi bahut chize sikh jate hai par kuch ko sikhne me bahut jyada time lag jata hai par sikhte jarur hai. Isliye unke kabiliyat ke anusar kam karne de bas apko bacho ko support aur motivate karte rahna chahiye jisse bache apne muskil waqt me har na mane.

8. कुछ करने की आज़ादी दें  

Kai bar yah dekha jata hai ki kuch bache padhai me kuch khas nahi kar pate hai. Par dusre kai chizo me ache hote hai jaise sports me ya fir singing, dancing, painting, cooking me ache hote hai. Par parents ise profession ke roop me nahi dekhte hai unko lagta hai ye sab achi chiz nahi hai.

Par agar bache ko thoda guide kiya jaye to ve in chizo me ek acha profession bana sakte hai. Par bache apne talent ko nikharne ki bazay na chahte hui bhi logo ki bhed chal me chalne lagte hai aur vahi karte hai jo sab karte hai aur hota hai ki bache kabhi safal nahi ho pate kuch nahi kar pate.

Isliye jab bache bade ho jaye to unse puchiye ki unko life me kya karna hai Study bhi jaruri hai isliye study ke time study kare fir baki kuch.  Hum aisa isliye kah rahe hai kyuki hamare desh me aise kitne hi sports person, businessman, businesswomen, artists, creator, leader diye hai.

Jo jyada to nahi padh paye par apne kaam se khud ka aur desh ka naam roshan kiye hai Sirf isliye ki kyoki unhone vo kiya jo unhe acha laga jo unka passion tha aur vo safal huye.

Bache Ki achi Parvarish Kaise Kare

9. कुछ वक़्त बच्चो को दें 

Aaj ke bhag daud bhare zindagi me parents bacho ko jyada time nahi de pate hai. Jiski vajah se ya to parents kisi dusre ke sahare bacho ko chhod dete hai ya fir kam umra me hi bacho ko mobile pakda dete hai jise bacho ka man lage rahe .

Par apne bacho ko kisi dusre ke sahare chhodna ya mobile dena bahut ghatak sabit ho sakta hai. Isse bache kam umra me hi galat adato ko sikh jayenge aur ek bar galat adat bachpan se hi pad gaya to use wapas sahi raste me lana bahut muskil ho jata hai.

Isliye parents ko chahiye bache jab tak samjdar na ho jaye quality time apne bacho ke sat bitaye. Unki bate sune unke sath khele unko achi bate sikhaye jisse apka aur bacho me pyar badega aur aap apne bacho ko jyada acha insan bana paoge.

10. बच्चों के रोल मॉडल बने 

Apne bacho ko us kabil  banane ke liye jisse vo society me naam bana sake successful ho sake aur apki  lifetime respect kare iske liye apko apne bacho ka role model banna hoga. Iske liye apko bhi khub mehnat karna padega Jitni jyada aap apne ko behtar banaoge uska acha  prabhav apke bacho par bhi padega.

Bache bada hokar apki tarah banna chahega apki respect karega jisse bache apna naam future me bhi roshan karenga. Dekha gaya hai bache jitna dekh kar sikhte hai utna padh kar ya sun kar nahi sikhte.

Isliye parents ko apne upar bhi bahut dhyan dena hoga ki kahi kuch burai ho to use door kare. Ya kam se kam bacho ke samne koi bhi bura prabhav dalne wala kam na kare jaise smoking, drinking, fighting, galiya dena ya jyada gusaa karna in sabko kabhi bacho ke samne na kare.

11. सच का साथ दें सच बोलना सिखाये

Bacho ki sahi parvarish ke liye Mata pita apne bacho ko such ka sath dena aur such bolna sikhaye aur khud bhi such bole. Jisse bacho ko kabhi kisi bat ko chupane aur jhut bolne ka jarurat hi na pade. Bahut se bache hote hai jo dar ke karan kabhi such nahi bolte hai Is dar ko bacho se door karna hoga.

Parents bacho ko such bolne ke fayde bataye such bolne par unhe shabashi de. Unhe bataye bhale hi galti ho jaye par apni galti ko accept karna sikhe aur such bole. Agar bache ye chize bachpan se sikh gaye to ye bacho ke liye aur apke liye bahut hi acha hoga.

Also Read :

Hum asha karte hai ki apko hmari yah jankari bacho ki sahi parvarish kasie kare bacho ki achi parvarish bacho ki dekhbhal kaise kare Acha laga hoga. Apko yak kaisa laga comments me jarur bataye aur hamare post bacho ki sahi parvarish kaise kare ko adhik se adhik social media me share jarur kare.

New latest jankari ke liye aap humare blog ko bhi subscribe kar sakte hai sath hi humse judne ke liye aap hamare Facebook page ko bhi like kar sakte hai.

Thanks For Reading..

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

error: Content is protected !!