Amir Kaise Bane Amir Banne Ke 11 Rules

Amir Kaise Bane How To Become Rich in hindi

Amir kaise bane amir banne ke 11 rules How To Become Rich in Hindi duniya me har ek insan chahta hai ki vo Amir bane aur janna chahta hai amir hone ka raaz par amir kaise bane ye sabko nahi pata hota hai. Dunia me aisa koi bhi insan nahi jo Amir “Rich” na banna chahta ho, kyoki paise ki jarurat to sabhi ko hai.

Paise ke bina zindagi apni marji se jeena muskil ho jata hai, Amir banna asan nahi hai par muskil bhi nahi hai Bas isme waqt jyada lagta hai. Isliye jo jaldi haar man jata hai vah amir nahi ban pata aur jo salo sal apne AIM par focus kar kam karta hai vo ek din amir bhi ban hi jata hai.

Logo ke amir na banne ke apne kuch Bad Habits aur Negative Thinking hai jiski vajah se ve RICH nahi ban pate hai. Par Aap sabhi apne andar kuch  Good Habits aur Positive Thinking apna kar aap bhi amir ban sakte ho.

Agar aap sochte hai ki aisa koi paisa kamane ka shortcut tarika mil jaye ya aaj kaam suru kare aur next year aap amir ban jaoge to aisa koi rasta nahi hai. Agar apko such me rich banna hai to apko hamesha long time process ko hi apnana hoga.

Jaldi amir banne How To Become Rich fast ke chakkar me kabhi na pade. Shortcut raste se aap kuch time ke liye to profit kama sakte ho par iska long time fayda aap nahi utha paoge aur agar amir ban bhi gaye to aap ise samhal nahi paoge.

To aaj hum apko Amir kase bane amir banne ke 11 rules (How to become Rich) me inhi kuch bato ko details me janne ki koshis karenge.

Amir kaise bane amir banne ke 11 Rules How to become rich
Credit : Pixabay

How To Become Rich In Hindi

1. Be Confident :Kisi bhi work ko karne liye ke sabse important hai confidence ka hona aap soch rahe maine isme naya kya bataya. Dekho bat bas itni si hai ki hum jante to bahut kuch par un par kabhi focus nahi karte unko follow nahi karte unke fayde ko thik se samajh nahi pate yahi vajah hai jyadatar log asafal ho jate.

Sirf paise kama lene se bat nahi banega apko khud par confidence aur vo attitude lana hoga Isliye ab apko choti – choti bato par bhi dhyan dena hoga.

Apko apne andar vo confidence lana jaruri hai ki mai ye work kar sakta hu ya kar sakti hu. Dusro ka sahara lekar jeene wala kabhi bhi rich nahi ban sakta hai. 

Khud par bharosa rakho agar apme confidence aa jata hai to apme leadership quality bhi develop hoga aur leadership quality har rich person me jarur hota hai.

2. Skill Development :  Leadership quality lane ke liye sabse important hai skill develop karne ki. Agar apko apne field me master banna hai apko apne skill devolopment pe dhyan dena hoga.

Jisse aap us field me achi pakad bana sako aur hamesha apna best dene ki koshis kare. Waise bhi sikhne ki koi umra nahi hoti hai aap jab chahe kuch bhi sikh sakte hai, jo apko dusro se behtar aur rich banne me help karega.

3. Bussiness Plan : Agar apko such me rich banna hai to apko apna bussiness plan to banna hi padega. Kyoki agar aap kahi par job karte hai to aap puri life bhi money earn kar lo aap amir nahi ban paoge.

Ha ek achi jobs se apki life secure jarur ho jaega money problme kabhi nahi hoga par amir nahi ban paoge. Par dosto jo maza khud ka bussiness karne aur BOSS banne me hai vo jo maza dusre ke yaha job karke kabhi hasil nahi hoga.

Ek BOSS wali feeling ki bat hi alag hai aap starting bhale hi small bussiness Ideas se karo par bussiness karo Jarur tabhi aap amir ban paoge.

4. Make a Quality Friends & Mentor : RICH banne aur successful hone me ek ache friends aur mentor bahut important bhumika nibhate hai. Kyoki apke friends aur apke mentor ka aap par bhi acha effect padta hai, agar apke friends ache honge to apko hamesha ache kamo ke liye incourage karenge support karenge.

Jisse apka confidence boost hoga kyoki ache friends hamesha apko motivate karenge aur hamesha apka sath bhi denge. Meaningless friends banane se bache vo sirf apka upyog karenge aur apka money aur time dono hi waste karenge.

Isi tarah aap ache mentor ke sampark me jyada rahe jisse apko hamesha achi bate sikhne ko milti ho. Aise mentor apko hamesha motivate karenge aur jab aap kabhi problem me honge tab bhi ye apki problem ko solve karne ke ksohis karenge. Jo har tarah se apke bhale ke liye hi hoga.

5. Follow Rich People: Amir kaise bane iske liye jaruri hai ki aap hamesha rich logo ki biography padhe Unko follow kare. Aap unke mindset ko janne ki koshis kare vo kaise rich bane aur aaj tak unhone ise kaise mentain kar rakha hai.

Yakeen maniye in mahan logo ke success story in hindi aur motivation story padh kar apke andar bhi ek josh junoon jag jaega. Jo apme ek josh bhar dega jo apko apke manzil tak pahuchane me bahut help karega.

Ye josh kabhi kam na ho iske liye jab kabhi aap demotivate ho ya rasta dikhai na de aur ye lage ki ab kya karna chahiy. Aise me aap in rich logo ke bare me jarur padhe inhe follow jarur kare.

Inke dvara diye motivatonal story book in hindi padhe ya video dekhe ye apko motivate karenge jo aage chal kar apko successful banne me madad karega.

6. Invest Kare : Hum ye mante hai ki koi bhi insan ko jo amir banna chahta hai to use investment jarur karna chahiye. Apko iska andaza bhi nahi hoga investment ki taqat ka, agar aap bhi aaj paiso ka investment sahi jagah pe karte hai to yahi paisa Apko future me kai guna (multiply) hokar return apke hi pass ayega.

Jo apko kam time me amir bana sakta hai isliye aap Apne earnig money ka 40% se 50% hamesha investment par lagaye  par dhyan de invest kisi bhi jagah na kare sabse pahle apko us bare me achi samajh honi chahiye.

Tabhi aap us par invest kare koshis yahi kare ki ek sath sara paisa ek jagah invest karne se acha hai ek se adhik jagah par thoda – thoda karke invest kare jisse return icome se fayda hone ke chances jyada honge.

Also read :

7. Multiple Source of income Generate : Rich banne ke liye ye bhi ek important bhumika nibhata hai jise adhikar bade businessman follow karte hai .Agar Apke pass paise kamane ke sirf ek source hai to aap kitna bhi koshis kar le amir nahi ban payenge.

Isliye apko bhi 2 se adhik source generate karne ki jarurt hai, Par dhyan dene wali bat ye ki aap aise source generate kare. Jise aap manage kar sake jisse apko future me manage karne me koi problem na ho, agar ho bhi to don’t worry aap skillful candidate hire kar sakte hai jo apke work ko manage kar sakta ho.

8. Educate Yourself : Duniya me aap kabhi piche na ho isliye apko apne apko har time educate karne ki jarurt hoga. apko time ke sath chalna hoga apke field ke latest update aur creative mindset ko apne life me impliment karne ka jarurt hoga.

Jisse apke bussiness ko future me koi bhi problem na ho isliye app khud ko educate sikhna kabhi band nahi karna chahiye. Khud ko hamesha educate kare chahe vo field se releted ho ya koi aur chiz hamesha sikhte rahe.

9. Passive Income : Passive income ek aise income ko kahte hai jisme apko jyada work karne ki jarurat nahi hota hai. Vahi dusri taraf active income vo hai jisme apko ghanto ke hisab se kaam karna padta hai jisme app ghanto ke hisab se hi ek fix salary kama sakte ho.

Passive income me ye sab ate hai jaise Youtube channel , Blogging, House rent, Share market, fix deposit, investment etc ye sabhi passive income ke source hai.

Jisme apko work sirf ek bar ya na ke barabar karna hota hai aur income bhi acha ho jata hai. Isme apko bas suruvat me hi kam karna padta hai. Isliye aap bhi passive income ke source generate jarur kare ye apko future me bahut jyada profit dila sakta hai bina kuch kaam kiye hi jo future me apko amir bana sakta hai.

10. Make a Team : Bussiness ko successfully grow karne ke liye apko apni ek team jarurat jarur se padega. Bina Team ke Aap business strat to kar logo par succesful nahi ho paoge. Isliye team banana bahut hi important hai ye aap bhi jante ho ek Akela insan jyada kuch nahi kar sakta par ek team bahut kuch kar sakti hai.

Team jitna jyada acha hoga success milne ka chance bhi utna jyada aur bada hoga. Isliye team banate time ek bar jarur soche ki apke team ke liye best kon hai aur kon nahi.

11. Take a Risk : Kisi bhi kam ko karne ke liye good decision lena bahut hi important hai. Iske liye thoda risk bhi lena jaruri hota hai aap hamesha apne comfort zone par rah kar kamyab nahi ho sakte ho.

Thoda risk le aur risk tab le jab apko lage ki bussiness ko grow karne ke liye bahut jaruri hai bevajah ke risk lena bhi acha nahi hota varna kam banne ki jagah kharab bhi ho sakta hai.

Also Read :

I hope apko hamari janakri amir kaise bane How to become Rich in hindi acha laga hoga. Humne jo tarika bataye hai use aap follow kar sakte hai par kuch bhi karne se pahle ache se soch samajh le ya aap kisi bade se advice bhi le sakte hai jisse apko future me koi problem na ho.

Agar apka koi sawal ho to aap comment me puch sakte hai. Amir kaise bane amir banne ke 11 rules अमीर कैसे बने ko apne friends and family aur social media me share jarur kare. Humse judne ke liye aap hamare facebook page ko bhi like kar sakte hai. ..

Thank For Reading ….

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

error: Content is protected !!