Loo Se Bachne Ke Liye Ye Khaye Top10 Best foods

Loo Se Bachne Ke Liye Ye kya Khaye

Treatment For Heat Stroke In Hindi Loo Se Bachne Ke LiYe kya Khaye! Aaj hum janenge Top 10 best food garmi me loo se bachne ke liye. Garmi apne charam par pahuch chuka hai, kai cities me temperature 45 °C se upar chal raha hai jo ki loo ki sambhavana ko 70% tak bada diya hai.

In garmiyo se bachne ke liye kuch family to hill station aur thande cities ke ki oar nikal pade hai. Par 90 % families ab hi in Bhayanak garmiyo me kai muskilo ka samna kar rahe hai. In Tej dhoop aur garmiyo me har insan ko is bat ka dar hota hai kahi unhe ya unke family ko loo na lag jaye.

Par in bhisan garmiyo me thodi bhi laparwahi ki to loo lagna swabhavik hai. Agar iska sahi treatment waqt rahte nahi kiya jaye to loo se insan ki maut (Death) bhi ho jata hai. Sirf isliye ki unhe heat stroke ki sahi jankari nahi hota hai ya ve loo ko halke me lene ki bhool karte hai.

Aap aisi galti na kare Agar aap sahi jankari aur garmi me loo se bachne ke food ko apni ahar me shamil karte hai to hamesha garmiyo me aap loo se bach sakte hai. To chaliye jante hai Top 10 best food garmi me loo se bachne ke liye.

गर्मियों में लू लगने के लक्षण (Symptomps Of Heat Stroke in Hindi)

Aam taur par loo achanak se lagta hai aur kuch hi pal me puri life idhar se udhar ho jata hai. Agar apko lagta hai ki apki body me pani ki kami ho rahi hai fir bhi aap use nazar andaz kar kaam karte rahte hai.

To ye bahut ghatak sabit ho sakta hai apko pata bhi nahi chalega aap kab chakker kha kar behos ho jaoge uske bad to time rahte heat stroke treatment nahi hua to sab khatam isliye in bato ka dhyan jarur de.

1. kam karte karte ya road par chalte chalte achanak jor se sir me dard hona aur behos ho jana.

2. Body se achanak paisna ana band ho jana bhi loo lagne ka symptoms hai.

3. Sir me tej dard hona aur tej bukhar loo lagne par bhi hota hai jise log nazar andaz karte kar dete hai.

4. Ulti ana aur jee Ghabrana, baithe baithe sir chakrana loo lagne ka ek samanya lakshan hai.

Also Read :

 Top 10 Best Food Garmiyo Me Loo Se Bachne Ke Liye 

1. तरबूज (Watermelon)

तरबूज (Watermelon)

Watermalon garmiyo me loo se bachne ka sabse best food hota hai. Yah khane me bhi tasty hota hai jisme water ki matra jyada paya jata hai jo body me pani ki kami ko pura karta hai.

Jo body ko freshness aur thandak pradan karta hai iske sevan karne se chehre me glow ata hai. Garmiyo me iske sevan se body aur brain dono ke liye bahut acha hota hai, Garmiyo me body ki immune system ko bhi acha karta hai.

2. नारियल पानी (Coconut water)

Garmiyo me sabse best food drink nariyal pani hai jo apko swad ke sath apko loo se bhi bacha sakta hai. Ye hamare body ke Electrolytes ko balance karta hai nariyal pani me antioxidant, Amino acid aur Vitamin C paya jata hai.

Jo body ko energy pradan karta hai aur loo lagne se bachata hai. Coconut water me loric acid bhi paya jata hai jo skin ke liye faydemand hota hai. Coconut water hamare body ko garmiyo me bhi achi tarah hydrate rakhne ka kam karta hai aur immune system ko behtar banaye rakhta hai.

3. पुदिना (Mint)  

Mint me waise bhi kai ausadhi gun paye jate hai jo puri body ke liye acha mana jata hai. Garmiyo me ye pet ki garmi ko shant kar thandak pradan karta hai jo bahari garmi se body ki rakhsa karta hai.

Loo Se Bachne Ke Liye Ye Khaye Best food for prevent heat stroke
Credit : Pixabay

Aap ise dahi, chach, kachhe aam panne ke sath mila kar aur thoda sa sendha namak mila kar pee sakte ho. Jo apko garmiyo me tazgi mehsus karayega aur garmiyo me loo lagne se bhi bachayega.

Aap mint ko chatni ki tarah bhi upyog kar sakte hai jo khane me tasty aur body ke liye faydemand hai. To is garmi mint pudina ka sevan jarur kare.

4. लौकी (Bottle Gourd) 

Humme se bahut aise log hai jo lauki ko pasand nahi karte hai kyoki log iske guno aur labh ke bare me nahi jante hai. Garmiyo me lauki ke fayde aur bhi badh jate hai. Lauki me fiber, vitamin A, vitamin C, thymin, riboflevin, vitamin B3, B6 calcium, irons, magnecium, phosphorus aadi paya jata hai.

Body ke temperature ko control karta hai jo hume loo se bachane me madad karta hai. Lauki ka juice bana kar pina faydemand hota hai aaj kal to market me bhi lauki ke juice available hai. Lauki ka juice weight bhi kam karta hai diabetes control karta hai, skin glow karne me bhi lauki faydemand hota hai.

5. आम पन्ना  

Garmiyo me loo se bachne aur pet ki garmi ko shant karne ka sabse asardar tarika hai aam panna ka sevan karna. Ye apki body ko ander se thandak pradan karega jo apko loo lagne se bhi bachayega.

Kai bar aisa hota hai ki tej garmiyo me jab hum ghar ate hai to pet me tej jalan sa hone lagta hai. Aise me agar kachhe aam ka panna piya jaye to apko ek jabardast thandak ka ehsas hoga. Jo pet ke jalan ko door kar apko ek sukan dega.

6. दही या लस्सी   

Dahi aur lassi jitna khane me acha lagta hai utna hi jyada iske fayde hote hai. Dahi me lactobacillus bacteria paye jata hai. Jo hamare pet ke liye bahut acha hota hai isse pachantantra (digesctive system) acha bana rahta hai.

Yah apko garmiyo me loo se to bachayega hi sath hi sath apke skin ke liye bhi faydemand hai jo apke chehre aur body ko thandak dega aur chehre me glow banaye rakhega.

7. नींबू पानी(Lemon) 

Garmiyo me Heat stroke se bachne ke liye nimboo pani bhi bahut acha option hai. Jo apko swad ke sath body me pani ki kami ko puri karta hai hai, body se toxic ko bahar nikalne me madad karta hai.

Jisse sevan se skin me bhi glow ata hai isliye nimboo pani ka sevan jarur kare aap iska sevan khane me bhi salad ke roop me le sakte hai.

8. खीरा (Cucumber)

Garmyio me kheera hamare body ke liye bahut hi labhkari hota hai. Kheere me vitamin A, B1, B6, D, Pottasium, iron aadi paye jate hai. kheere me 95% water paya jata hai jo body me pani ki kami ko pura karta hai.

Kheera body ko thandak pradan karta hai aap chahye to ise ase hi kha sakte hai ya juice ke roop me kheere ka sevan kar sakte hai. Jisse apko bhook bhi kam lagega aur aap healthy bhi rahenge, kheera Diabetes and blood pressure ke patients ke liye bhi faydemand hota hai.

9. एलोवेरा(Aloe Vera)  

Aloe vera juice Garmiyo me aloe vera ek super food ki tarah hai jiske sevan se hamare body ko bahut sare fayde hote hai. Aloe vera me kai tarah ke vitamins aur minerals paye jate hai jiska sabse Acha asar hamare skin par dekhne ko milta hai.

Aloe vera ka sevan se kai tarah ki bimari door hoti jo skin se sambandhit ho. Yah hamare blood ki ashuddhi ko natural tarike se saaf karta hai jisse chahre me natural glow ata hai, iska sevan karne se body hydrated rahti hai jo loo se bhi bachata hai.

Aloe vera ka upyog juice ke roop me kar sakte ho ya aap chaho to isko chehre par bhi laga sakte hai. Jo apko garmiyo me sun tanning sun burn dry skin me bhi fayde dega.

10. कच्चे प्याज़

Garmiyo me kache pyaaz ka sevan apko loo se bacha sakta hai pyaaz garmi ke asar ko kam karne ka kam karta hai ya ye kahe pyaaz garmi ko absorb karta hai. Pyaaz me sulphur, flavonoids, zing, potassium, fiber, iron paye jate hai.

Jo health ke liye bahut acha mana jata hai specially summer me Par dhyan de jyada matra me pyaaz ka sevan bhi na kare aur kache pyaaz ka sevan sirf garmiyo me hi kare to acha fayda hoga.

Also Read :

Hum asha karte hai ki apko hamari yah jankari top 10 best food garmiyo me loo se bachne ke liye ye khaye Treatment For Heat Stroke In Hindi acha laga hoga. Humne jitne bhi food bataye hai yah sare food bahut hi asani se sabhi ko prapt Ho sakte hai.

Isliye iska seven khud bhi Kare family ko bhi khilaye taki kisi ko loo na lage. Apko yah jankari Top 10 best food garmi me loo se bachne ke liye kaise laga comments me jarur bataye sath hi is post ko friends aur social media me bhi share jarur kare. 

Isi tarah ke aur bhi jankari hindi me pane ke liye aaj hi hamare blog ko subscribe kare ya humse judne ke liye aap hamare Facebook page ko bhi like kar sakte hai..

Thanks For Reading…

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

error: Content is protected !!