CGPSC ki Taiyari Ghar Par
CGPSC Ki Taiyari Ghar Par Kaise Kare CGPSC Preparation Tips In Hindi pichle post me humne bat ki thi cgpsc ki taiyari kaise kare. Par aaj is post ko hum isliye lekar aye hai kyoki bahut sare students aise bhi hai jo kisi karna vas bahar jakar ya coaching jakar cgpsc ki taiyari nahi kar pate hai.
Jisse vah kafi nirash ho jate aur unko lagta hai ki ve cgpsc pass nahi kar sakte isliye hum yah jankari apke sath share kar rahe hai taki aap sabhi students ko help ho sake.
Jo bhi students cgpsc ki taiyari ghar par kar apne sapne ko pura karne ke liye kadi mehnat karne ke liye taiyar hai un sabhi ke liye yah post faydemand sabit hoga. Sath hi sath hum apko kuch importants books for cgpsc ke naam bhi batane wale hai jo apke cgpsc ko pass karne me apki madad karega.
Jisse students ghar par hi cgpsc ki taiyari ache se kar sakte hai to chaliye jante hai cgpsc ki taiyari ghar par kaise kare CGPSC Preparation Tips In Hindi .
CGPSC Ki Taiyari Ghar Par Kaise Kare :
1. Join Online classes
Sabhi students jo cgpsc ki taiyari ghar par hi karne ki soch rahe hai unke liye best option hai online classes. Aaj ke waqt me Aise kai sare free online classes hai jo cgpsc ya dusre exams ki taiyari kara rahe hai inme kuch paid bhi hai aur kuch free online classes bhi hai.
Students ko apni pasand ke hisab se in online classes join jarur karna chahiye. Iske liye students YouTube ya online classes ki official website ya official app ke dvara join kar sakte hai. Isme apko ghar par hi cgpsc ki taiyari karne me bahut help hoga.
online classes students ke liye ek best option hai agar aap such me sikhna chahte hai to isse apke coaching ke paise aur time dono bachega aur ache se study par focus kar sakte ho isliye ek bar try jarur kare.
2. Follow kare
Students jo ghar par cgpsc ki taiyari kar rahe unhe apne senior jisne cgpsc pass kar liya hai ya jo kai sal se se cgpsc ki taiyari kar rahe hai. Un sabhi ko follow karna chahiye unse advise le ki unhone study kaise kiya kon se books se kiya aadi.
cgpsc pass karne ki sahi plannig aur strategy ko follow kare jo ki apko apne senior aur teacher hi jyada achi tarah se bata sakte hai taki unki tarah aap bhi succesful ho. Unse sari information lene ki koshis kare jo apki safalta prapt karne me madad kar sake. Yakinan apko unse kuch aise jankari milega jo apke liye acha hoga.
3. Quality Cgpsc Books
Ghar par cgpsc ki taiyari karne wale students ke liye jo sabse jyada important hai vo hai books. Aap kon si books materials se cgpsc ki taiyari kar rahe hai. Apki safalta ka ek importants role books ka bhi hai, isliye books purchase karte time iska jarur dhyan de.
Market me bahut sare books available hai par sabhi books cgpsc ke liye nahi hai. Isliye students ko books lene se pahle achi tarah jankari le lena chahiye ki kon si books best rahega. Taki bad me ye na lage mere books ache nahi hai muje isse nahi padhna chahiye tha.
Ek bar jo books apne liya fir usi se hi continue padhe. Book hamesha syllabus ke anusar hi le sabhi subject ke liye alag – alag books le isse apko study karne me bhi acha lagega aur yaad bhi ache se hoga.
4. Quality Study
Agar aap Ghar par cgpsc ki taiyari kar rahe hai to apko hamesha quality study par dhyan dena chahiye na ki 8 se 12 ghante. Agar students ko lagta hai aap 8 se 12 ghante quality study kar sakte hai to jarur kare.
Par aap Jitna bhi padhe vo apko lagna chahiye yaad ho raha hai hamesha padte time 5 se 10 minut ka break jarur le lagatar na padhe.
Students Hamesha saaf aur shant mahol me hi padhe isse apka padha hua lambe time tak yad rahega padne me bhi man lagega. Aap Study hamesha baith kar kare na ki let kar, study karte time mobile hamseha door rakhe apka pura focus study par hona chahiye.
5. Revision
Sabhi students ke liye revision karna bahut hi jaruri hai kahte hai agar koi insan kisi bhi kaam ko jitna jyada practice ya revision karta hai vo us kaam me utna hi jyada mahir hota jata hai.
Revisions apko jitni bar time mile jarur kare sare subject me kare aur jis subject me aap weak ho use jyada kare. Yaad rakho saflta ka koi bhi shortcut nahi hota hai jitni jyada mehnat jitna jyada intezar safalta utni hi bada hoga utna hi shandar hoga.
Also Read :
6. Time Management
Sabhi Student ko jo dhyan dena chahiye vo hai time management ka, students ke liye ye bahut hi important hai ki aap sahi time me sare question ko solve kare.
Kai bar aisa dekha gaya hai students ko banne wale question bhi time na milne ke karan bana kar nahi aa pate. Iska reason hai apne ek question ko ki samajne aur use solve karne me itna jyada time laga dete hai ki baki questions ke liye time nahi rahta.
Aap Aisa bilkul bhi na kare aap ek question ko kam se kam time me solve karne ki kosish kare iski practice ghar me karne ki koshis karna chahiye tabhi aap ise jyada ache se kar paoge.
7. Never Give Up
Bahut se students hai jo bahut jaldi haar man lete hai apko jaldi haar nahi manna hai. Bahut baar apko aisa jarur lagega ab mujse nahi hoga bahut saal ho gaye mere sare friends ne bhi job start kar diya hai mai bhi job kar leta hu.
Aur jaha apko apne job join kiya samjho waqt ke sat cgpsc bhi apse door hota chala jayega. Dosto jo manzil jitna bada hoga use hasil karne me utna hi jyada time lagega ye man kar chalo.
Agar aap me dhairya hai intezar karne aur apne lakshya ko hasil karne ka pura yakeen hai to cgpsc apke liye hi hai kyoki isme waqt to lagega jarur.
Importants Books For CGPSC :
S.NO | Subject | Books Name |
1 | General Hindi | Lucents + herdev bharti |
2 | General English | Perfect Publication |
3 | C.G | CCA + muskan or Tuteja + C.G Granth Academy |
4 | History | Spectrum (Modern history) + Tuteja sir ki book |
5 | Constitution | Lakshmikant publication |
6 | Sociology | Tuteja + Delhi Ias ke notes |
7 | Philosophy | Tuteja + Delhi Ias ke notes |
8 | Economy | Pratiyogta Darpan |
9 | Science | 10th Ncert ki book |
10 | Mathematics | 10th Ncert ki book + R.S Agrawal |
11 | Enviroments | Nirman ias delhi notes + Manthan |
12 | Sanskrit | Tuteja sir ki book |
13 | Public Administartion | Delhi Ias ke note |
Also Read :
- C.G Patwari Bharti Cut off Marks
- 12th ke bad kya kare
- 12th Ke Bad Engineering Course Top Engineering Courses
- डॉक्टर कैसे बने
Final Word
Humne puri koshis ki hai aap sabhi students ko sahi jankari dene ki jo apke kam aye. Koi bhi competitive exam specially cgpsc pass karne ke liye jo sabse importent hai vo hai Aag aur JUNOON. Apke andar vo fire vo junoon hona chahiye jo har muskilo ka samna karne ke liye taiyar kare.
Students ise halke me na le Ye junnon insan se kuch bhi kara sakte hai ye junoon apki neende bhi uda sakta hai. kai bar aisa bhi hoga ki apka yah junoon apko raat – raat bhar sone na de. ya sote hui ko raat me jagaa de. Agar apke sath bhi aisa kuch ho raha hai to mubarak ho aap sahi raste par ho kabhi piche mat hatna.
I hope hamari ye choti si jankari CGPSC ki taiyari ghar par kase kare aap sabhi ko acha laga hoga. Isme humne puri koshis ki hai aap sabhi ko ek achi jankari dene ki.
Agar apko humari yah jankari acha laga ho to aap commemts karke jarur bataye aur jankri apne friends and family me bhi jarur share kare.
Agar apka kisi tarah ka question hai to aap comment karke puch sakte hai apke sawal ka jawab diya jaega. Sath hi humse judne ke liye aap hamare facebook page ko bhi like kar sakte hai.
Thanks For Reading..
Very usefull _help tks alot
Thanks for appreciation keep visiting.
Very nice sir, cgpsc ki taiyari karte hue meri life change ho gai hai, mere sochne ka najriya hi badal gya hai and motivate krne k liye thanks sir
Most welcome and Thanks for appreciation Manisha..