CGpsc ki Taiyari Kaise Kare Cgpsc Preparation Tips in Hindi

CGpsc ki Taiyari Kaise Kare Cgpsc Preparation Tips

cgpsc exam ki taiyari kaise kare step by step hindi me

CGpsc ki Taiyari Kaise Kare step by step Cgpsc Preparation Tips in Hindi! CGPsc ka full form Chhattisgarh Public Service Commission hai. Jo ki Chhattishgarh state government dvara pariksha ka ayojana kiya jata hai jisme vibinn post par bharti pariksha ke dvara selection hota hai.

Aaj adhiktar students ka yah dreams hota hai ki vo CGPSC clear kare aur ek safal officers ban kar apne state apne desh ke liye kuch acha kar sake yah bahut hi ucha post hota hai.

Jiske liye sabhi students apni puri takat puri lagan ke sath iski taiyari ke liye lag jate hai, jisme success sirf  kuch log ki ho pate hai aur baki students sahi margdarshan na milne ki vajah se asafal ho jate hai.

Sabse pahle students ko samjhna hoga ki cgpsc kya hai Cgpsc pass karne ka sahi tarika kya hai cgpsc ki puri jankari aadi sare students ko cgpsc ko seriously lene ki jarurat hai.

Kyoki cgpsc ek toughest entrance exams me gina jata hai, iske question jo puche jate hai vo bhi toughest question hote hai. Jise students kadi mehnat aur sahi strategy ke sath hi clear kar sakte hai.

Agar aap ise halke me loge to fir apko cgpsc pass karne me muskil ho jayega to chaliye jante hai cgpsc kya hai cgpcs ki taiyari kaise kare step by step Cgpsc Preparation Tips in Hindi.

CGPSC Ki Taiyari Kase Kare 

1. कोचिंग जाये (Join Coaching)

Cgpsc me coaching ka kya mahatva hai hum sab jante hai Hum coaching join karne ki bat kyo kar rahe hai iske piche kai karan hai. Students ko jo achi tarah sahi guide kar sakte hai jo cgpsc pass karne me help kar sakte hai vo hamare teacher hi hote hai.

Humne kai students ko dekha hai jo psc ki taiyari karte to hai par kabhi koi books to kabhi koi aur books na sahi strategy na hi time managment result ye hota hai ki student sirf koshis hi karte rah jate hai.

Hamari yahi salah hai ki Aap bhale 1 year ki coaching kare par kare jarur aur koshis kare jitna jyada information le sakte hai le le. Sath hi aap teacher ke contact me bane rahe jisse agar future me koi bhi study problem ho to sir ya mam ki help mil sake.

Agar students teachers ki guidance me padte ho to man kar chale aap 2 se 3 saal me clear kar lenge. Aisa isliye kyoki sare Coaching Centre me weekly test hota hai jo apki taiyari me bahut help karega.

Jisse students ko pata chal payega ki aap kitna progress kar pa rahe hai, apki taiyari kaise chal rahi hai agar aap kadi mehnat karte rahe to ek din apko saflta bhi jarur milega.

2. विषयवस्तु (Cgpsc Syllabus)

Cgpsc Syllabus exams ko pass karne me sabse most important hota hai cgpsc me to bahut hi jyada impotant hai. Students ko ye janna bahut hi jaruri hai ki cgpsc ka syllabus kya hai waise syllabus change hote rahte hai par 70 % Syllabus vahi hote hai jo har saal hote hai.

Par students apne current year ka syllabus check jarur kare aur syllabus ke anusar hi topic wise cgpsc ki taiyari kare apko pass karne me asani hoga. Apko ye janna bahut jaruri hai ki cgpsc pre exams me objective questions puche jate hai aur cgpsc mains exams me theoretical question puche jate hai to taiyari bhi usi ke anusar hi kare.

3. समय प्रबंधन (Time Management)

Sabhi Students ko jo mostly dhyan dene ki bat hai vo hai time management ka students ke liye ye bahut hi important hai ki aap Sahi time me sare questions ko solve kare. Aisa Kai bar sunne me ata hai ki students ko banne wale question bhi bana kar nahi aa pate.

Iska mukya karan hai students sirf ek questions ko ki samjhne me aur use solve karne me itna jyada time laga dete hai ki baki questions ke liye time nahi rahta. Isliye 1 cgpsc questions ko kam se kam time me solve karne ki kosish kare iski practice ghar me karne ki koshis karna chahiye.

Also Read :

4. पिछला प्रश्नपत्र हल करें (Solve previous Question papers)

Students ko last 5 years questions papers solve karne chahiye iska fayda ye ki apko cgpsc question pattern samjhne me asani hoga ki kis types ke cgpsc questions puche ja rahe hai.

Kin kin topics se jyada questions puche ja rahe hai dusri bat ye hai ki apko un sare questions ko kam time me solve karne ka practice bhi ho jayega.  Jisse aap kam time me adhik se adhik questions solve kar payenge.

5. दैनिक नवीनतम जानकारी (Daily Updated)

Agar apko cgpcs pass karna hai ache rank se to apko daily updated rahna padega iske liye aap daily newspaper padhe ya news dekhe isse apko bahut help hoga study me. Kyoki cgpsc mains Exams me nibandh likhne ko ate hai aur vo kisi bhi topic pe pucha ja sakta hai.

Jisme ek questions state par koi bhi topic jo current me news me jyada charcha ka vishay raha ho jisse bare me charcha jyada hui ho. Isi tarah 2nd question Central india me sabse jyada charcha me rahe topic par se essay likhne ko pucha jayega.

Iske sath hi cgpsc pre me aise kai current affairs questions puche jate hai jo books me bhi available nahi hote hai isliye daily updated rahe.

6. लक्ष्य पर फोकस करें(Focus On Your Aim)

Agar apne cgps psss karne ka socha hai to apko apne study me 100% dena hi hoga. Bina 100% study me diye aap pre exam to nikal loge par cgpcs mains aur interview pass nahi kar paoge. Apne dekha hoga kai students pre to asani se nikal lete hai par cgpsc mains exams aur interview clear karne me bahut saal laga dete hai.

Isliye Students ko taiyari bhi cgpsc pre exams, cgpsc mains exams aur interview in tino ko dhyan par rakh kar hi karna chahiye. Iske liye Students ko kai sare sacrifice dene pad sakte hai ya in chizo par time dena bahut kam karna padega jaise Tv dekhna, scoial media, friends ke sath ghuma firna sab kam karna hoga.

7. खुद पर भरोसा रखें(Believe In Yourself)

CGPSC exams ek bahut hi muskil exams me gina jata hai jise bahut kam log hi pass kar pate hai. Isme kai sare problems ka samna karna padta hai Par kuch log ise dare bina taiyari karte rakhte hai.

Kyoki Un Students ko khud par bharosha hota hai Chahe kuch bhi ho aaj nahi to kal mai ise cgpsc exams pass kar officers jarur banunga ya banungi apko bhi khud par bharosa rakhna hoga.

Apko bhi dhairya rakhna hoga khud par bharosa rakhna hoga. Suruvat me kuch bhi sahi nahi ho raha hai aisa jarur lagega. Par Agar aap sahi plannig ke sath kadi mehnat karte ho to 2 saal ke bad apko iska acha result bhi dikhne ko milega.

Humara yah manna hai ki duniya me kuch bhi muskil nahi hai jise hasil kiya na ja sake, bat bas itni si hai ki kya apme vo yogyata (ability) hai use pane ke liye.

Also Read :

Final Word

Agar Students  cgpsc pass karne ki soch li hai to apko achi aur meaningful books se hi padna chahiye. Jo apke teachers apko bataye ya fir jisne cgpsc pass kar liya hai unse bhi help le sakte.

Apki success is bat par bhi depend karta hai ki aap kis books se taiyari kar rahe hai. Aise book ka chayan kare Jise aap 2 saal padh sakte hai jinke books me sahi information ho jo padhne me interesting lage.

I hope apko hamari ye choti si jankari Cgpsc kya hai CGPSC Ki Taiyari Kaise Kare Step By Step Cgpsc Preparation Tips in Hindi aap sabhi ko acha laga hoga. Hum aap Sabhi students ki safalta ki kamna karte hai wish you all the very best for your future.

Agar apko hamari yah information acha laga ho to comments me jarur bataye aur apne friend, family aur social media me bhi CGpsc ki Taiyari Kaise Kare Cgpsc Preparation Tips in Hindi ko share jarur kare. Agar apka koi bhi sawal hai to aap  comments me puch sakte hai, sath hi humse judne ke liye aap hamare facebook page ko bhi like kar sakte hai.

Thanks For Reading…

2 thoughts on “CGpsc ki Taiyari Kaise Kare Cgpsc Preparation Tips in Hindi”

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

error: Content is protected !!