C.G And MP Patwari Exam Ki Taiyari Kaise Kare Step By Step.

पटवारी परीक्षा की तैयारी कैसे करें

C.G Patwari Exam Ki Taiyari Kaise Kare C.G And MP Patwari Exam Ki Taiyari Kaise Kare Step By Step.   Aaj hum apko batayenge ki Patwari Exam Ki Taiyari Kaise Kare, Patwari kaise bane. Aaj ke daur me har kisi ka sapna hota hai ek achi si government jobs pane ki  Aur jab bat Patwari Post ki ho to government jobs ki value aur bhi badh jata hai.

Kyuki patwari post ek aisa post hai jo kafi respective job aur high income wala job hota hai. Jisme agar apka selection hota hai hai to yah bahut garv ki bat hoga aur apki life bhi behtar ho jayega aap ek safal insan kahlayenge.

Par kuch students ke mistake ke karan patwari exam pass nahi kar pate. Jisse vo kafi nirash ho jate hai aur fir tension me aa jate hai isliye aaj hum janenge ki patwari exam preparation पटवारी परीक्षा की तैयारी कैसे करें। 

Patwari Exam ki Taiyari 

1. Patwari Syllabus

Patwari Exam ki tayari karne se pahle apko sabse pahle C.g Patwari exam ki syllabus ko official site par ja kar achi tarah dekh lena hai. Jisse apko samajh ayega ki exam ka syllabus kya hai aur kis topic ke question puche jayenge.

 

Adhiktar students yahi galti karte hai exam patwari ki dilane wale hai aur saal bhar taiyari psc aur railway ki karte hai. Aisi galti aap kabhi na kare aap jis exam ki taiyari kar rahe ho apko usi exam par focus karna chahiye aur us exam ke syllabus ko dhyan me rakh kar hi padhai karna chahiye.

 

Sabhi subject ko equally padhe specially maths aur G.k par jyada dhyan de waise padhna sabko hai. Isme total 150 marks ke Questions puche jate hai jo kuch is prakar hote hai.

Patwari Syllabus :

1 General knowledge 35
2 Reasoning 15
3 Mahtematics 30
4 C.G or MP 15
5 Hindi 10
6 English 10
7 Current affairs 15
8 Computer 20

2. Books For Patwari exam

Koi bhi exam clear karne ke liye ek achi aur sahi book ka hona bahut hi important hota hai. Meaningless book padh kar kuch bhi fayda nahi hone wala, Aur objective books se to kabhi bhi taiyari na kare varna patwari exam kabhi bhi clear nahi kar paoge.

Achi books ke liye aap apne teacher ya koi senior ho jisne patwari pass kar chuka ho unse advise jarur le sakte hai ki kon si books patwari exam ke liye best hai. Sath hi aap basic par jyada dhyan de theory jyada se jyada padhe aur jab sara syllabus complete ho jaye to aap objective question jarur try kare.

Isse apko jo padha hai unki achi practice ho jayega aur jitni baar rivision kar sakte ho jarur kare kabhi bhi shortcut ka rasta na apnaye.

3. Patwari Exam Pattern 

Exam dilane se pahle Apko patwari  exam pattern ko achi tarah samjhna hoga ki kis types ke question puche ja rahe hai. Agar aap exam pattern ko samaj jayenge to exam clear karne me asani hoga. Iske liye aap last 5 year ka questions paper check kar sakte hai. Isse apko samjhne me asani hoga ki kis types ke question puche ja sakte hai.

4. Solve Last 3 Year Question Paper

Agar apne sara syllabus complete kar liya hai to ab apko last 3 ya 5 year ka patwari exam ke question paper jarur solve karne chahiye. Kyoki last 5 year ke kuch questions sidhe hi puche jate hai sath ki apko idea ho jayega ki kis types ke sawal puche ja sakte to ise kabhi bhi ignore na kare.

Sayad apko pata hoga ki patwari ke result me bahut sare students sirf 1, 2 marks se chuk jate hai, isliye apki kosis honi chahiye ki jaha se bhi marks laya ja sakta hai study jarur kare. Kyoki exam me ek ek number bahut hi importent hota hai isliye aap apna 100% de taki bad me koi kasar na rahe.

Also Read :- 

5. Online Study

Upar Humne jo apko bataya hai uske bad ata hai online study kuch log to is bare me jante hai par bahut se students isse aaj bhi anjan hai aur nahi jante hai.

Aaj competition bahut jyada badh gaya hai aur agar aap sochte hai ki aap books se padh kar pass ho jaoge. Ya books hi sufficient hai patwari exam pass karne ke liye to hum bata de ki aap sabhi ko yaha extra effort lagana hi hoga.

Isliye jitna ho sake topic wise online study jarur kare online study apko kai website, application, youtube jaise kai platform par mil jayenge. Jaha aap free me apni study kar sakte hai hum to yahi kahenge ki yah ek best tarika hai without coaching free me study karne ka.

Online class me apko kai expert mil jayenge jo aoko aise kai tricks and tips batayenge jo apko mathematics aur reasoning ke question ko kam time me solve karne ka tarika batayenge. jo apke maths aur reasoning me ache marks lane me upyogi sabit hoga.

Sath hi yaha apko aur bhi aise naye tarike sikhne ko milega jo apko yad rakhne me madad karga. Iski achi bat yah bhi hai ki agar apko koi sawal ka jawab samajh me nahi aa raha hai to aap ise bar bar dekh kar puri tarah samjh sakte hai, isliye online study to jarur se kare isse time aur paise dono ki bachat hogi.

6. focused on your Aim

Hum me se kai students  government jobs ki tayari to karte hai but use seriously nahi lete. Yahi karan hai ki jo exam 1 se 2 year me clear kiya ja skata hai use karne ke liye 3 se 4 saal laga dete hai. Apko chahiye ki focus hokar study kare. 

Social media facebook ka upyog jyada na kare to acha hoga bas 1 year ki to bat hai. Agar aap sochte ho ki muje patwari me select bhi hona hai par muje friends ke sath movie bhi dekhne jana hai, Tv bhi dekhna aur ghanto social media me time waste karna hai to aap piche rah jayenge bazi koi aur maar jayega.

Yaad rakhiye apka compititor kahi padh raha hoga jab aap apne friends ke sath ya social media me time waste kar rahe honge. Isliye without wasting aaj se hi taiyari start kar dijiye.

Also Read:

Final word 

Kisi bhi exam ko clear karne ke liye dedication hona bahut hi jaruri hai. Aap bas apne aim par focus kare success jarur milega. koi bhi safalata prapt ki ja sakti hai bat bas itni si hai ki kya apme vah kabiliyat hai us safalta ko hasil karne ki.

Hum aasha karte hai ki apko humari yah jankari C.G And MP Patwari  Exam Ki Taiyari Kaise Kare पटवारी परीक्षा की तैयारी कैसे करें pasand aya hoga.

Agar apko humari ye jankari C.G And MP Patwari Exam Ki Taiyari Kaise Kare पटवारी परीक्षा की तैयारी कैसे करें pasand aya ho to comments me jarur bataye. Sath humse judne ke liye aur nayi jankari prapt karne ke liye aap hamare facebook  page ko Ya Instagram ko like aur follow kar sakte hai. 

Thanks For Reading…. 

2 thoughts on “C.G And MP Patwari Exam Ki Taiyari Kaise Kare Step By Step.”

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

error: Content is protected !!