Monsoon Skin Care Tips In Hindi
Monsoon Skin Care Tips in Hindi, Skin care tips for monsoon in hindi! Aaj hum janenge ki Barish ke mausam me chehre ki dekhbhal kaise kare barsaat ke liye healthy skin tips. Garmiyo ke khatam hote hi sabhi ko barish ke mausam ka beshabri se intejar hota hai, Barish aa jane se har koi khus hota hai chahe insaan ho ya koi jeev jantu.
Charo taraf hariyali barish ki halki bunde sabhi ke dil ko sukun deta hai. Par yah barish ka mausam aur bhi kai chizo ko Apne sath le kar ata hai, Vo hai kai sari bimariya kyoki barish ane se nami kai guna badh jata hai.
Kyoki Nami sare virus, Bacteria aur germs ke liye bahut hi anukul mahol hota hai. Is karan sabse jyada bimariya ka khatra bhi hume is barish ke mausam me hi hota hai.
Barsaat ke Is mausam me jo sabse comman problem hota hai jo har kisi ko paresan karta hai vo hai skin problems Jaise fungal infection, khujli, jalan, redness aadi. Isliye aaj hum apko batayenge ki barish ke mausam me skin ki dekhbhal kaise kare monsoon skin care tips in hindi.
बरसात के मौसम में चेहरे (त्वचा) की देखभाल कैसे करें
1. सफाई पर ध्यान दें
Barsaat ke mausam me hume jo sabse pahle dhyan dena chahiye vo hai saaf safai ka chahe vo apke body ka ho, apke chehre ka ho ya fir apke ass pass ka saaf safai. Safai to bahut hi jaruri hai kyoki hamari skin bahut sensetive hoti hai aise me agar apke hath ya rumal gande ho to vo apke skin par bhi bura effect dalega.
Jisse chehre pe pimples, body pe redness, jalan, khujli jaise samasya ka samna karna padh sakta hai. Isliye koshis kare khud ko barish ke mausam me saaf rakhe khud ko dry rakhne ki koshish kare. Gile kapdo ka upyog na kare aur jyada pani ke sampark me na rahe varna fungal infection ka khatra badh sakta hai.
2. सूखे(Dry) रहें
Barsaat ke mausam me skin problem ka ek karan yah bhi hota hai ki jyada nami ya jyada der tak gile rahne ki vajah se hath pair ya body me fungal infection, khujli, redness ho jata hai. Isse bachne ke liye ek hi upay hai ki aap sukhe (dry) rahne ki koshis kare.
Kyoki agar aap jyada nami wale jagah par ya gile avastha me rahenge to apko in sabka ka samna karna padh sakta hai. Fir chahe koi bhi dava, anti septic cream laga lo jyada acha asar nahi karega. Agar kam ho bhi gaya to dobara ho jayega isliye khud ko jyada time sukha dry rakhe.
3. सही आहार लें
Aksar log barish ke mausam me laparwah ho jate hai aur ek galti jarur karte vo hai diet pe dhyan na dena. Ye galti apke health ke liye ek badi bhul sabit ho sakta hai, barish ke mausam me kin chizo ka sevan kiya jaye aur kin chizo ka nahi is par vishesh dhyan dena chahiye.
Galat khaan pan ke karan bhi kai log aise chizo ka sevan kar lete hai jo unhe barsaat ke mausam me nahi khana chahiye. Jaise purane kate fruits, street food, kahi ka bhi pani pee lena, kachi sabjiya, bemausam fruits aur sabjiya ka sevan karna.
Result yah hota hai ki ve bahut jaldi bimar ho jate hai jiska asar apke health, skins chehre aur balo par bhi padta hai. Jaise Pimples ka hona, baalo ka kamjor hona, baalo ka girna. Isliye aap Apne ahaar me hamesha taazi seasonal sabjiya, jo achi tarah Paka hua ho aur Fresh fruits hi khaye.
Kabhi bhi barish ke mausam me kachi sabjiya ya salad ka sevan na kare. Jyada masaledar aur bahar ka khana khane se bhi parhej kare.
4. भीगने पर नहाये जरूर
Barish ke mausam me bhigna ek aam bat hai par agar aap is bhigne ko halke me lete hai to anjam bure uthane padh sakte hai. Isliye agar aap jab bhi barish me jyada bhig jaye jaise ki sir aur kapde puri tarah bhig gaye ho toh aise waqt me sirf towels se khud ko pochna kafi nahi hoga.
Acha hoga ki app jab bhi jyada bhig kar ghar jaye ache se gungune pani me naha le fir uske baad ek kadak green tea ya black tea adrak tulsi wali le such mano maja aa jayega. Isse aap fresh bhi feel karoge aur barish ka pani, germs aur pasine se chutkara milega jisse aap bimar bhi nahi padoge.
Par Agar aap ise nazarandaz karoge to apko kai samasya ka samna karna padh sakata hai jaise fungal infection, pimples, khujli, redness, sir par dandruff ka ana ya fir bukhar ka aa jana. Isliye in sabse se bachne ke liye jyada bhig jane par gungune pani se jarur nahaye.
Also Read :
- Top 12 Best Foods for Beautiful And Glowing Skin Ke Liye
- Beautiful And Glowing Skin Tips in hindi
- meditation benefits dimag tej karne ke
5. ज्यादा makeup न करें
Kai sari girls aur ladies ko makeup karna acha lagta par aap is bat ka bhi dhyan de ki barsaat ke mausam jyada heavy makeup apke chehre ki khubsurti ko chin bhi sakta hai. kyoki Barish ka pani aur jyada nami me heavy makeup ki vajah se skin pores band ho jate hai.
Jisse apka chehre saans nahi le pata skin ko thik se oxygen nahi mil pata hai. jisse vah pimples ke roop me bahar ate hai aur is mausam me pimples jaldi sukhte bhi nahi balki chehre me failne lagte hai.
Isliye jitna ho barsaat me light makeup hi kare ya fir water proof makeup upyog kar sakte hai jisse aap ache bhi dikhoge aur koi problem bhi nahi hoga.
6. शुद्ध पानी पिए
Aksar log is bat par dhyan hi nahi dete hai par dekha gaya hai ki barsaat ke mausam me jyadatar bimari dushit pani ke pine se hota hai. Isliye apko barish me hamesha sudh pani hi pina chahiye jaise R.O ka ya fir halka ubal kar hi pani piye.
Jisse aap bimari se bach sakte hai aur iska acha asar apke skin par bhi dikhai dega. Kyoki chehre ke sath apko apne health par bhi vishes dhyan dene ki jarurat hoti hai tabhi aap is mausam ka sahi anand utha payenge.
7. मॉइस्चराइजर
Kai log barish ke mausam me chehre par moisturizer lagana pasand nahi karte hai. Unka manna hota hai chehre me nami to hai moisturizer laga kar kya fayda ulta chehra oily ho jayega.
Par hum bata de ki barish ke mausam me jyada pani ke sampark me ane se skin dry hone lagta hai. Skin ka natural oil kam hone lagta hai Jisse chehra dry, bejan aur murjhaya hua dikhta hai.
Isliye aap monsoon me bhi oil free moisturizer jarur lagaye, Yah apke skin ko hydrate rakhega aur use poshan dega jisse apka chehra monsoon me bhi hamesha heathy, beautiful aur glowing dikhega.
Also Read :
- Bina Gym Jaye Ghar Par Body Kaise Banaye
- कम उम्र में बाल सफ़ेद क्यों हो जाते हैं इससे बचने के प्राकृतिक उपाय क्या हैं
- वजन कैसे घटाये How to lose weight In Hindi
Final word :
Yah the Monsoon Skin Care Tips in Hindi iske alawa apko Barish ke mausam me apne health ka vishesh dhyan dene ki jarurat hoti hai. Kyoki Monsoons me hi kuch khatarnak jaan leva bimbari hone ka khatra bhi badh jata hai. Jaise malaria, cholera, dengue, typhoid, Diarrhoea, jaundice, chikun gunya aadi bimari hone ki sambhavna badh jata hai.
Isliye is monsoons me sabse pahle apne aas pass saaf safai rakhe. Apne health par dhyan de upar diye bato ko jarur follow kare aur barish ke mausam ka bharpur anand le.
Hum asha karte hai aap sabhi ko hamari yah jankari Monsoon Skin Care Tips in Hindi Barish ke mausam Me Chehre Ki Dekhbhal Kaise Kare acha laga hoga. Apko yah jankari kaisa laga comments me jarur bataye aur is jankari social media, friends aur family me jarur share kare.
Agar apke man me kisi bhi prakar ka koi sawal hai to aap comments me puch sakte hai, sath hi humse judne ke liye aap hamare Facebook page ko bhi like kar sakte hai.
Thanks For Reading…