Beautiful And Glowing Skin Beauty Tips For Face In Hindi

Beautiful And Glowing Skin Beauty Tips For face in Hindi  

Beautiful And Glowing Skin Ke Liye Kya Kare

Beautiful And Glowing Skin Beauty Tips For face in hindi Aaj ke time me Beautiful and glowing skin kon nahi pana chahta hai chahe vo ladka ho ya ladki sundar aur akarshak har koi dikhna chahta hai.

Par aaj ke pollution, dhoop aur tanav bhare mahol me Glowing skin aur acha dikhna thoda muskil ho jata hai. Par kuch bato ko follow karke aap Beautiful aur glowing skin pa sakte hai.

Beauty Tips For face At Home in hindi

Ek beautiful aur glowing skin hamare parsonality me char chand laga sakta hai, jisse hum confident feel karte ho aur har kam me man bhi lagta hai. Vahi dusri taraf chehre par pimple aa jaye to ghar se bahar nikalna logo se bat karna bhi acha nahi lagta hai.

Pimple ke vajah se hi kai logo ka confidence bhi low ho jata hai, thik se logo se bat bhi nahi kar pate hai. Kahi kisi sundar ladke ya ladki ko dekh lete hai to sochte hai kash mere bhi skin aise sundar hote mai bhi sundar dikhti.

Isliye aaj bat karege chehre ko Beautiful aur glowing skin kaise banaye Beauty Tips For face in hindi. kuch kharab adato aur khan pan ki vajah se hi hamare skin me kai sare daag dhabbe pimple ho jate jisse kuch bato ko follow karke apne chehre ko Beautiful aur glowing skin bana sakte hai .

पिम्पल होने के कारण (Causes Of Pimples):

1. हार्मोन असंतुलन : Pimple hone ke sabse samanya karan hai hamare body ke hormone disbalance aur hormones ka changes hona ye changes khas taur par 13 saal se lekar 21 saal me dekhne ko milta hai.

Isi karan adhkitar boys and girls ko is Umra ke bich me hi pimples daag dabbo jaise samasya ka samna karna padta hai. Ye ek bahut normal chiz hai jisse aap door bhag nahi sakte hai is umra me pimple ayenge hi aur chale bhi jayenge.

Par Agar apne ise galat tarike se rokne ki kosis karte hai, Jaise ki chemical yukta cosmatic cream, acne cream use karte hai to ye chemical product na sirf apke natural skins ko kharab kar sakte hai.

Balki iske jyada over dose se parmanent skin damage bhi kar sakte hai isliye jitna ho sake chemical yukta product ka use na kare pimple ko natural tarike se thik hone de.

2. प्रदूषण एवं धूल : Hamare skin ke dull aur pimples hone ka sabse bada karan hai pollution, dust aur tej dhoop hi hota hai hum sab jab ghar se bahar nikalte hai to hume pollusion dust se samna hona hi padta hai.

Jisse dhool ke kan hamare skin pore me jama ho jate hai jise agar thik se saaf nahi kiya jaye to pimple ke roop me face me dikhai dete hai.

3. ऑयली फ़ूड :  Bahut se Teenager ladki aur ladke hote hai jise tala hua fry masaledar aur bahar ka khana khoob pasand ata hai aur ve bahar ka khana jarur se khate hai. Ye sab khane me burai nahi hai kha sakte ho par bahut kam matra me hi khaye.

khane ka man hai to ghar me bana hua chize khaye bahar ka nahi kyoki kisi – kisi ko ye sare chize bahut jyada effect karta hai kisi ko nahi sath hi sath isse pet kharab hone jaise samasya bhi dekhne ko milta hai aur face skin ke liye to yah bilkil bhi acha nahi hota hai.

4. दवाइयों का साइड इफ़ेक्ट : Beauty Tips For face me kai bar aisa bhi dekhne ko milta hai ki kisi ko medicine ya acne cream ka upyog karte hai jiski vajah se bhi skin reaction ho jata hai aur pimple ho jata hai.

Isse na keval chehre par balki puri body pe effect padta hai Isliye bina doctor ke salah se koi bhi medicine ya cream face par na lagaye agar pimple apko jyada paresan karta hai to natural home remedies tarike apna sakte hai.

5. साफ़ सफाई : Skin care tips me hamare body ki saaf safai pe thik se dhyan na dene se bhi hamare chehre pe pimples aur body me dusri kai samasya ka samna karna padta hai. Hamare chehre ka skin bahut sensitive hota hai isliye is par jyada dhyan de aur roz nahaye face ki safai ke liye sabun ki jagah facewash ka istemal kare vo bhi din me sirf 2 bar.

Also Read :

Skin Care Tips In Hindi Pimple Kaise Hataye :

1. खूब पानी पिये : Hum sabhi jante hai jal hi jeevan hai ye hamare jeevan ke liye bahut hi jaruri hai par yah nahi jante honge ki sirf pure water peene se apko ek healthy beautiful aur glowing skin prapt ho sakta hai.

Ye water na sirf hamare body me nami banaye rakhta hai balki hamare body me jitna bhi toxic hota hai use pani ke madhyam se bahar nikalne me madad karta hai.

Jisse chehre pe chamak ata hai aur pimple ko ane se bhi rokta hai par dhyan de pani hamseha pure(sudh) pani hi piye. Na hi jyada pani piye na hi kam utna hi piye jitna body ko jarurat hai tabhi apko iska acha fayda dekhne ko milega.

2. प्रदूषण से बचे : Hamare chehre me pimple hone ka sabse bada karan pollution hi hai. Pollution hamare chehre me jamne lagte hai aur ise thik se saaf na kiya jaye to pimple hone ki sambhavana bad jata hai.

Isliye aap jab bhi bahar jaye scarf ya rumal se chehre aur sir ko dak kar nikle jisse pollution aur tez dhoop ka apke chehre par asar nahi padega.

3. हेल्दी खाना खाये : Girls and boys ko apne khan paan pe vishes dhyan dene ki jarurat hai. Fresh and healthy food hi khaye, jyada Fry kiya hua ya bahar ka khana na khaye jyada masaledar khana khane se bi bache.

Apka khana jitna simple hoga utna hi acha hoga fresh vegetables and fruits ka sevan jarur kare. Agar aap khud ko masaledar khane se nahi rok pa rahe hai to aap koshis kare jyada matra me water ka sevan kare isse apko fayda hoga.

4. एलोवेरा : Alovera ek natural home remedies for skin ke liye bahut hi acha mana jata hai isme kai sare natural gun hote hai. Jo chehre ko clean beautiful and glowing skin banane me madad karta hai yah Alovera hume asani se bhi mil jata hai.

Jise gharo me gamlo me bhi ugaya ja sakta hai aap iske patto ke gel ko apne chehre par laga sakte hai isse na sirf apke chehre se pimple door honge balki apki skin soft aur glow bhi karne lagega.

5. नींबू : Nimboo bhi hamare chehre ke liye bahut acha mana jata hai nimboo ka kam chehre ke dead cells aur daag dhabbo ko door kar chehre ko clean gora aur chamakdar karne me madad karta hai.

Iske liye aap nimboo ko kaat kar 2 se 3 minut ke liye chehre par ragde fir kuch der 5 minut sukhne ke liye rahne de aur fir saaf pani se dho le par dhyan de ise roz roz na kare hafte me 1 ya 2 bar hi kare acha fayda dekhne ko milega.

Also Read :

Glowing Skin Beauty Tips For face Important Tips 

1. Din bhar me 3 se 4 bar chehre ko saaf pani se jarur dhoye bina kisi sabun aur facewash ke par sone se pahle aur uthne ke bad facewash ka istemal jarur kare.

2. Pimple ko gande hatho se kabhi na dabaye isse pimple me kale dhabe pad jayenge.

3. Apne khane me dahi aur orange ka upyog jarur kare jo chehre ko glow karne me help milega.

4. Jyada matra me chai ya coffie ka sevan na kare.

5. Pimple jyada bad gaye hai to neem ke patto ka pest bana kar besan ke sath thodi haldi mila kar chehre par lagaye fir 10 minut sukhne ke bad saaf pani se dho le.

6. Jyada matra me junk food ka sevan na kare.

7. Exercise kare ya outdoor games khele jisse pasine ka madhyam se body ka toxic bahar nikal sake aur aap relax bhi feel karenge aur neend bhi acha ayega.

8. Achi neend le der rat tak na jage puri neend na lene aur der rat tak jagne se bhi pimple aur dark circle ban jate hai.

Hum asha karte hai ki apko hamari yah jankari Beautiful And Glowing Skin Beauty Tips For face in hindi pasand aya hoga agar jankari acha laga ho to comments me jarur bataye.

Humne jo bhi Tips diye hai vo bilkul natural beauty tip for skin hai isse kisi tarah ka koi nuksan nahi hai fir bhi tips follow karne se pahle ek bar advice jarur le le kyoki sabki body alag hoti hai sabke skins alag hote hai.

Agar hamari jankari  Apko acha laga ho to Beautiful And Glowing Skin Beauty Tips For face in hindi ko aap family aur friends aur social media me jarur share kare.

Yadi apka kisi prakar ka sawal hai to aap comments me puch sakte hai apke sawal ka javab diya jayega. humse judne ke liye aap hamare facebook page ko bhi like kar sakte hai.

Thanks For Reading…

2 thoughts on “Beautiful And Glowing Skin Beauty Tips For Face In Hindi”

  1. Lemon mein to acid hota hy to agar usko face yea body mein lagayenge to kuch nuksan to nehi hoga na or agar aap soch lijiye ki hum char afte lagaye lemon phir muskil hua to nehi laga paye phir kuch nuksan nehi hoga to

    Reply

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

error: Content is protected !!