Garmiyo Me Loo Se Kaise Bache Treatment For Heat Stroke
Garmiyo me loo se kaise bache, Treatment for heat stroke in hindi ! Garmiyo ka mausam ate hi aaj sabhi logo ko is bat ka sabse jyada dar rahta hai ki kahi unhe loo na lag jaye Koi bhi yah nahi chahega ki use loo lage.
Jab bahari vatawaran ka Taapman 45 °C se upar ka ho jata hai to aise stithi loo kahlata hai. Jiske karan hi loo ki chapet me kai bachhe, yuva aur bujurg aa hi jate hai.
Par hamare liye achi bat yah hai ki loo se bachne ke kai Home Remedies For Heat Stroke garelu upay hai. Jise apna kar aap apna aur apno ka khayal rakh sakte hai aur unko loo lagne se bacha sakte hai.
To aaj hum janenge ki garmiyo me loo se kaise bache, Home Remedies For Heat Stroke in hindi Tips For Heat Strok in hindi aur loo lagne ke karan aur uske upay kya hai.
लू क्यों लगता हैं लू लगने के कारण
1. पानी की कमी
Loo lagne ka sabse bada karan hai body me pani (water) ki matra ka kam hona. Garmiyo me body se pani pasina ke madhyam se bahar niklta hai jisse body me pani ki kami ho jata hai.
Agar umra ke anusar uchit matra me pani na piya jaye to body me dehydration hone lagta hai. Body me pani ki kami hone se body ka temperature badh jata hai aur loo lag jata hai.
2. खाली पेट रहना
Agar aap ya apke bache in bishan Garmiyo me bina kuch khaye piye ghar se bahar nikalate hai. To isse body ko jaruri energy aur pani nahi mil payega jo apko Tej dhoop se nahi bacha payega.
To iski puri sambhavna hai ki aap loo ke chapet me aa sakte hai. Isliye aap aur apke bache jab bhi ghar se bahar nikle kuch kha kar ya pee kar hi nikle khali pet kabhi bhi na nikle verna loo lag sakte hai.
3. धूप में ज्यादा देर तक रहना
Garmiyo me jab Temperature 45 °C ke upar ho aur aap kai ghanto se bahar ghum rahe hai ya kaam kar rahe ho ya bache dhoop me khelte hai To loo lagne ki sambhavna aur bhi badh jata hai. Isliye koshis kare jyada Tej dhoop me na hi aap bahar rahe na bacho ko khelne ke liye jane de varna loo lag sakta hai.
4. शराब या दवाइयों का सेवन
Adhik matra me antibiotic ka lena ya fir sharab ka bahut jyada matra me sevan karna ya fir kisi bhi prakar ki koi bimari ka hona. To isse body ki immune system kamjor ho jata hai jisse karan bhi logo ko garmiyo me loo jaldi lag jata hai. Isliye sharab aur medicine (antibiotic) ka sevan jyada matra me na kare.
Also Read :
- गर्मियों में सुन्दर दिखने के लिए Summer skin care Tips in hindi
- Top 12 Best Food Beautiful And Glowing Skin
लू से बचने के घरेलू उपाय (Home Remedies For Heat Stroke)
1. खूब पानी पिए
In bhishan Garmiyo me loo se bachne ka sabse asan aur sasta tarika hai ki aap uchit matra me pani piye. Hamesha apni body me (hydrate) nami banaye rakhe, jisse apki body me pani ki kami na ho. Iske liye aap jaha bhi jaye apne sath ek pani ki bottle jarur sath le kar chale.
Agar aap chahe to pine ke pani me thoda glucose bhi mila sakte hai aur rakh sakte hai isse apko energy bhi milega aur body me pani ki kami bhi nahi hoga.
2. आम पन्ना पिए
Garmiyo me loo (heat strock) se bachne ka sabse asardar tarika hai aam panna ka sevan karna. Yah aam panna apki body ko andar se thandak pradan karega jo apko loo lagne se bhi bachayega. Kai bar aisa hota hai ki tez garmiyo me jab hum ghar ate hai to pet me tej jalan sa hone lagta hai.
Aise me agar kachhe aam ka panna bana kar piya jaye to apko ek jabardast thandak pahuchayega aur garmi se aram dilayega, Jo pet ke jalan ko bhi door kar apko ek sukan dega.
3. दही या लस्सी सेवन करे
Dahi aur lassi jitna khane me acha lagta hai utna hi jyada iske fayde hai. Dahi me lactobacillus bacteria paye jate hai, Jo hamare pet ke liye bahut acha hai isse pachantantra (digesctive system) acha rahta hai.
Yah dahi ya lassi apko garmiyo me loo se to bachayega hi sath hi sath garmiyo me apke skin ke liye bhi faydemand hai. Jo apke chehre aur body ko thandak dega aur chehre ka natural glow bhi banaye rakhega.
4. चेहरा और सर ढक कर रहे
Summer me Ghar se jab bhi bahar nikle chahe vo bade ho ya bache koshis kare ki cotton scarf se apne chehere aur sir ko dhak kar hi nikale. Sir ke liye aap hat ya cap ka istemal bhi kar sakte hai.
Is upay se apke chehero ko bhi Tej dhoop me rakhsa hoga aur loo bhi nahi lagega. Cotton scarf ka istemal isliye karna chahiye kyoki ye apke pasino ko asani se sok (absorb) lega aur saans lene me bhi koi problem nahi hoga.
5. कच्चे प्याज़ का सेवन करें
Garmiyo me kachhe pyaaz ka sevan apko loo se bhi bacha sakta hai. Pyaaz me sulphur, flavonoids, zing, potassium, fiber, iron paye jate hai Jo health ke liye bahut acha mana jata hai.
Par dhyan de jyada matra me pyaaz ka sevan bhi na kare aur kachhe pyaaz ka sevan sirf garmiyo me hi kare to acha fayda hoga.
6. नींबू पानी पिए
Garmiyo me loo se bachne ke liye nimboo pani bhi ek bahut acha option hai. Jo apko swad ke sath body me pani ki kami ko puri karta hai hai aur sath hi body se toxic ko bhi bahar nikalne me madad karta hai. Jiske sevan se chehere me bhi glow ata hai isliye nimboo pani ka sevan jarur kare.
7. गरम वतावरण में न रहे
Aap jaha bhi ja rahe hai ya kaam kar rahe hai koshis kare jyada der tak garam jagah par na rahe. mukhya roop se tab jab taapman 45 °C ke upar ho iske sath hi chote Bacho ko bahar niklne na de.
Aisa bhi Kai bar dekha gaya hai ki chote bache bahar angan me ya chat par khelte huye bhi loo ke chapet me aa jate hai. Loo ka sabse jyada aur jaldi asar chote bache aur bujurgo par padta hai isliye savdhan rahe.
8. कपड़ो पर ध्यान दे
Summers me jyada heavy and tight kapde na pahne, iski jagah light and loose kapde pahne. Jinme se hawa pass ho sake aur pasine ko bhi sok le jisse apki body ko relex aur comfortable feel hoga.
Also Read :
- Beautiful And Glowing Skin Ke Liye kya Kare
- Meditation benefits dimag tej karne ke
- वजन कैसे घटाये How to lose weight In Hindi
निष्कर्ष (Conclusion)
Loo se bachne ka sabse acha tarika uske bare me sahi jankari hona. Isliye koshis kare loo ke karan aur loo se kaise bache iske upay ke bare me puri jankari rakhe.
Taki isse aap apni aur apni family ko loo se bacha sake. Hamare desh me adhiktar mauth (death) ka karan loo ki sahi jankari na hona ya adhuri jankari ki vajah se ho jata hai.
Hum asha karte hai ki apko hamari yah jankari Garmiyo me loo se kaise bache Treatment for heat stroke in hindi, Home Remedies For Heat Stroke in hindi pasand aya hoga.
Apko yah jankari kaisa laga comments me jarur bataye aur Treatment for heat stroke in hindi, Home Remedies For Heat Stroke in hindi ko friends aur family me jarur share kare.
Aise hi jankari pane ke liye aap hamare blog heartbeatsk ko subscribe kar sakte hai ya humse judne ke liye aap hamare Facebook page ya Instagram ko bhi like aur Follow kar sakte hai…
Thanks For Reading…