Inter Caste Marriage फायदे और नुकसान :
Inter Caste Marriage Sahi Hai Ya Galat Aaj hum bat karenge ek aise topic par jo kahi na kahi pure bharat me charcha ka vishay bana hua hai ki inter caste marriage sahi hai ya galat. Yah inter caste marriage specially aaj ka young generation janna chahta hai kyoki aaj ke is new generation me pyar hona normal ho gaya hai.
Aise me har pyar karne wala yahi chahta hai ki vah love marriage kare par kya yah sahi ya galat aur love marriage ke liye parents ko kaise manaye in sab sawalo ka jawab vo nahi dund pate. Sath hi aaj ke generation ko koi is bare me sahi advise bhi nahi deta hai.
Jiski vajah se aaj ke young generation apne love relationship ko lekar confuse aur paresan hone lagte hai, unhe samajh nahi ata aage kya kare. Kyoki aaj bhi hamare society me love marriage ko jaldi se accept nahi kiya jata hai jinki vajah se pyar karne wale paresan hone lagte hai.
Aur jab 2 pyar karne walo ko koi rasta dikhta nahi dikhta to akhir me ve dono kuch aise faisle le lete hai jo dono ke zindagi ke liye aur family ke liye bhi acha nahi hota hai.
Isliye Aaj new generation bacho, family aur society walo ko is par ache se punah vichar vimarsh karne ki jarurat hai aur apas me mil kar khule vichar se sawal ka jawab dundne ki koshis karna chahiye.
2014 ke ek survay ke anusar bharat me keval 5% ki hi inter caste marriage ho pati hai vo bhi keval metro cities me inter-caste marriages ho rahi hai. Par aaj 21 century me bhi inter caste marriages ko log itna galat kyu mante hai iska karan kya hai.
Aaj ke new young generation me aise bahut hi kam honge jisne pyar nahi kiya hai. Ye to aap bhi jante hai ki Pyar kabhi kisi ka caste aur dharm ko dekh kar nahi kiya jata hai.
Pyar to bas ho jata ho hai par jab pyar ko naam dene ki (shadi) bari ata hai to ghar wale aur samaj wale virod karne lagte hai. Jisse ladka aur ladki apne family ko har sambhav manane ki koshis karte hai par nakam hote hai jiski vajah se na jane kitni hi majburan galat rasta apna lete hai.
Aloso Read :
- Ladki ko shadi se pahle kin bato ka dhyan dena chahiye
- Which Is Better Love Marriage Or Arranged Marriage
Inter Caste Marriage Law
Inter caste marriage sahi ya galat Inter caste marriage law ke anusar agar ladke ki umra 21 aur ladki ki umra 18 ho chuki hai to un dono ko kanooni roop se apne life partner chunne ka adhikar hai.
Girl aur boy apni pasand se shadi kar sakte hai aur ye shadi puri tarah legal mani jayegi. India me aaj aise kai organization bhi hai jo inter caste marriages ko support karte hai iske sath hi goverment bhi intercaste marriage ko support karte aaj aap court me jakar bhi shadi kar sakte apni pasand se.
Benefits Of Inter Caste Marriage
1. Genetic benefits scientifically yah sabit kiya ja chuka hai ki jab 2 diferents (Inter caste marriage) human jiska biological genetic deferent hota hai to unse janam lene wali santan naye guno ke sath aur healthy hote hai.
2. Inter caste marriage karne wale couple ko ab government ke taraf se 2.5 lakh se 5 lakh rupey tak diye jate hai jiske liye aap apply kar sakte ho. Iska matalb Government bhi inter caste marriages ko support kar rahi hai to apko jyada darne ki jarurat nahi hai.
3. Lake aur ladki ko ek dusre ko janne ka mauka milta hai aur apas me bhaichara badta hai logo me ekta ati hai.
4. Society me Jaati bhedbhav kam hoga aur log sabhi caste ki respcet karenge sabhi festivals ko miljul kar manayenge.
5. Girls aur boys ko shadi ke liye idhar – udhar nahi jana padega matlab ling anupat sabhi caste ki alag hai. Aise me inter caste marriage karnge to hamare pass ladke aur ladkiyo ke bahut option honge jisse sabhi ki shadi ho payega.
6. Family ka dusre caste ke log se bhi acha relation ban jayega aur support bhi milega.
7. Society me Inter caste marriage karne se koi bhi ladka ya ladki kabhi galat rasta nahi apnayega jisse kai logo ki jaan bach jayega.
8. Girls aur boys pyar me caste ke naam par kabhi ek dusre ko dhoka nahi denge.
9. Inter caste marriage me divorce jaisi ghatna kam hi hote hai kyoki ladka – ladki apni khusi se apni pasand se shadi karte hai jo ek dusre ko ache se jante hai.
Disadvantages Of Inter Caste Marriage
2. Inter caste marriage me kai bar FAMILY se society se nishkasit bhi kar diya jata hai. Jisme us ladke aur ladki se kisi bhi prakar ka koi rista nahi rakha jata hai, halaki aisi ghatna aaj bahut kam dekhne ko milti hai jo waqt ke sath kam ho rahe hai.
3. Honor killing inter caste marriages me yah bhayanak ghatna bhi dekhne ko milta hai ki ladki ya ladke ke ghar wale ladke ya ladki ko hi jaan se maar diya jata hai. Kyoki us ladke aur ladki ne dusre caste dusre religion me shadi kar liya par aisa aaj kal bahut kam hota hai aaj log badal rahe hai.
4. Agar aap bhi love marriage karne ki soch rahe hai to apko vishesh dhyan dena hoga ki aap hindu hai to hindu ladke ya ladki se hi shadi kare. Aisa karne se apko kabhi problem nahi ayega.
5. Par agar aap durse religion me karte hai to apko kai sari pareshani ka samna karna padega aur shayad zindagi se bhi hath dhona padh sakta hai isliye aap hindu hai to hindu se hi shadi kare.
Also Read :
परिवार और समाज के नज़र से
Inter caste marriage ko family ya society wale ka virod karne ka bhi apni vajah hai jise nazar andaz nahi kiya jana chahiye. Apko apne family ki bhi bhawnao ko samjhna hoga, koi bhi parents yahi chahenge ki uske bache khusi se rahe.
Ladki ko kisi prakar ka dukh na ho ya samaj walo ki taane sunna na pade isliye bhi parents inter caste marriage ka virod karte hai. kyoki aap ek insaan ko samja sakte ho par pure samaj ko nahi. kai bar other caste me shadi hone se kai muskilo ka samna karna padta hai. Jin sab ko soch kar hi parents inter caste marriage ka virod karte hai.
Unko lagta hai vo sahi hai aur bacho ko lagta hai vo sahi hai, par ek bad yaad rakhna is duniya me jo apki sabse jyada parwah karte hai vo apke family hai to unki bhawnao ka bhi respect kare.
Koi bhi decision lene se pahle ache se soch samajh kar hi le aaj jarurat hai bache parents se kuch chupaye nahi unse bat kare aur us kabil bane ki apke parents apki pasand ko accept kar le.
महत्वपूर्ण जरुरी बातें
1. Ladke aur ladki jab bhi inter caste love marriage kare ek hi religion me kare. Agar aap hindu hai to hindu ke kisi bhi caste me kare aur christian hai to christian isi tarah muslim ke liye bhi yahi lagu hota hai. Isse apko future me kabhi dhram badalne ka koi problem nahi ayega aur waqt ke sath apki family bhi apko accept kar legi.
1. Ladke ya ladki kabhi bhi bina bataye shadi na kare ek bar apno se ya bado se advise jarur le.
2. Shadi ka decision kabhi bhi josh me ya pyar me akar na le ache se soch vichar karke bado se advise lekar hi kare.
3. Aap true love karte hai to iska matlab ye nahi ki aap kisi bhi ladki ko ghar se bhaga le jaye ye real life hai film nahi isliye aap aisa bilkul bhi na kare varna badi muskil me pad sakte hai.
4. Jab tak ladke kabil na ho jaye apne pairo par kadha na ho jaye matlab achi job hasil na kar le Inter Caste marriage karne ki na soche. Varna parents apki bat kabhi nahi manenge isliye Acha hoga ki aap khud ko us kabil bana le ki koi bhi apko na nahi bol paye.
5. 14 se 22 saal ke umra ke ladke aur ladkiyo me pyar kam bachpana jyada hota hai, Is umra me koi bhi bada faisla na le apne apko mature hone de.
Hum asha karte hai ki apko hamari yah jankari Inter caste marriage sahi hai ya galat acha laga hoga. Agar acha laga ho to comments karke jarur bataye.
Sath hi Is jankari Inter caste marriage sahi hai ya galat ko apne friends, family aur social media me share jarur kare. apka kisi bhi tarah ka koi Question hai to aap comments me puch sakte hai. Humse judne ke liye aap hamare Facebook page ya instagram ko follow ya like kar sakte hai..
Thanks For Reading..