Which Is Better Love Marriage Or Arranged Marriage In Hindi

Arrange Marriage vs Love Marriage In Hindi

Which Is Better Love Marriage Or Arranged Marriage In Hindi

Which Is Better Love Marriage Or Arrange Marriage In Hindi Marriage sabhi ke jeevan ka ek important decisions hota jo jeevan bhar ka hota hai. Jise apko puri zindagi nibhani padti hai, Ek galat decisions apke life me kai sare problem lekar aa sakta hai.

Aise me aaj ki new generation bahut confuse hoti hai ki unke liye kya karna sahi hoga love marriage kare ya arrange marriage. Isliye aaj hum janne ki koshis karenge ki which is better arranged marriage or love marriage aaj ki generation ko kon si marriage karna chahiye aur kyu aaiye jante hai.

Arrange Marriage vs Love Marriage 

Aaj ke time me bhi bahut se log arranged marriage ko sahi mante hai par kuch logo ka nazariya badla hai aur vah love marriage ko sahi mante hai. Dono apne – apne jagah sahi ho sakte hai iske karan hum aage janege hai, love marriage aur arranged ke apne fayde aur nuksan hai.

Shadi safal hogi ya nahi Ye apme depend karta hai ki aap use sahi tarah se nibha pate hai ya nahi. Kisi bhi marriage ke succesful hone ke secret hai ki ek dusre ke prati vishwas, pyar aur ek dusre ki samman ki bhavna hona aur unki family ko bhi respect dena in bato ko hamesha apne zindagi me apnaye.

Marriage koi bhi ho kabhi na kabhi koi na koi problem to ayega hi asa bilkul nahi hai ki love marriage me kabhi koi problem nahi ayega ya arrange marriage me sab thik hi hoga.

Problem koi bhi aye ise aap sahi tarah se samhal le bat kabhi bhi aage badne na de. Apne partner ki tulna kabhi bhi kisi se na kare ye dono ko hi bahut hurt karta hai apke partner jaise hai apke hai aur ache hai ye bat hamesha yaad rakhe.

Benefits of Love Marriage :

1. Aap apne life partner ko bahut ache se jante hai jo shadi ke bad apke life ko aur bhi khusiyo se bhar deta hai.

2. Mentally aap bahut khus hote hai ki apki pasand se shadi hui jo apko aur bhi khusiya deta hai.

3. Love marriage me agar dono ke bich kabhi koi choti problem bhi ho jaye to use ve asani se suljha lete hai isse understandig aur pyar aur bhi badh jata hai.

Disadvantages of Love Marriage :

1. Logo ki love marriage aksar other caste intercaste marriage hoti hai jo samaj ke log jaldi accept nahi karte.

2. Love marriage me kai bar honor killing jaise ghatna samne ati hai jo soch ke hi logo ko dara deta hai.

3. Agar future me koi badi problem hui to family ke log support kam tane jyada denge.

Benefits of Arranged Marriage :

1. India me 90% marriages arranged hoti aur jydatar shadi successful hoti hai.

2. Arranged marriage me family aur society ka full support hota hai jo shadi ko aur bhi yaadgar bana deta hai.

3. Arrange marriage me decisions bhawnao me na lekar ache se vichar karke hota hai isme sabhi logo ka decisions hota hai jisme partner ke background ko dekh kar liya jata hai.

4. Arranged marriage me agar future me koi badi problem hoti hai to family ka full support hota hai jisse aap muskil ke pal me akeley kabhi nahi honge.

Disadvantages of Arranged Marriage :

1. Arrranged marriage ki ek problem hai ki aap use thk se jante nahi jo andar se thoda dara deta hai. Kyoki aap nahi jante ki vah acha hai ya bura hai par agar apme achi understanig hai to sab thik bhi ho jata hai.

2. Arreanged marriage me aksar dekha jata hai ki ache status ke liye log jyada sochte nahi hai aur kisi bhi bade age ya door kahi Rich family ke ladke se shadi kara dete hai. Ye jane bina ki ladka acha hai ya bura jo bad me kai sari musibat lekar ata hai.

3. Arreanged marriage me aksar dahej pratha jaise chizo ka bhi khub chalan dekha jata hai jo ladki wale ke pariwar aur ladki dono ke liye hi acha nahi hota hai.

शादी कब करना चाहिये :

1. Aaj ke time me shadi ka sahi age 25 se 32 hai is umra ke bich me apko shadi kar leni chahiye.

2. Agar aap mentally aur financially strong hai to ye apke shadi ka sahi time hota hai.

3. Shadi karne se pahle apne career ko ache se bana le jisse bad me apko koi Problem nahi ayega.

4. Shadi karne se pahle apne aap se puchiye ki kya aap shadi ke liye taiyar hai ya ghar wale ke dabav me kar rahe hai.

5. Shadi bahut sari jimmedari lekar ata hai ek bar shadi ho gai to aap is jimmedari se piche nahi bhag sakte to shadi hamseha soch samajh kar thande dimag se kare na ki josh me.

Also Read :

Tips for marriage : 

1. Agar apne abhi tak kabhi kisi se love nahi kiya hai ya aap family ke faislo ke sath chalne me pura bharosha rakhte hai to hum Yahi kahenge ki aap arranged marriage kare.

2. Agar apko kisi se such me pyar hua hai jise lekar aap serious ho aur aap usi se shadi karna chahte hai to hamari yahi advise hai ki aap love + arrange marriage kare.

Jisme apko himmat karke apne family aur unke family se jaker bat karna hoga jisse apki pasand unki bhi pasand ban paye ye sabse acha tarika hai.

3. Kai bar dekha gaya hai ladke ya ladki intercaste marriage karna chahte hai par apki aur unki family raazi nahi hote to apko shant man se apko har sambhav unhe raazi karne ki kosis karna chahiye.

Apne apko us kabil banana hoga ki aap jise pyar karte ho uski family shadi ke liye apko mana na kar sake yaad rakhe apni pasand se shadi karna hai to mehnat to karna padega.

4. kabhi bhi filmo ko dekh kar atmahatya ya ladki ko bhaga kar shadi bilkul bhi na kare varna bahut hi badi muskil me pad jaoge.

Also Read :

Final word :  

Hmara yah manna hai ki love marriage karo ya arranged marriage isse koi fark nahi padta hai. Aisi bat nahi hai ki love marriage jyada successful hogi ya arranged marriage.

Depend ye karta hai ki aap dono ke bich understanding kitni hai, dono ka ek dusre ke prati Pyar, Vishvas, Respect kitna hai. Aap Shadi ko seriosly le life mai kabhi na kabhi koi problem jarur ayega bas aap ise kabhi badhne na de.

Jab lage ki apki galti hai to sorry jarur bole aur samay samay par apne pyar ka ezhar jarur kare isse apke partner ke bich pyar hamesha bana rahega aur life me khusiya bana rahega.

Hum asha karta hai ki apko hamari which is better love marriage or arranged marriage jankari pasand aya hoga agar acha laga ho to comments me jarur bataye aur family, friends ko jarur share kare.

Agar apka kisi tarah ka sawal hai to aap comment me puch sakte hai apke sawal ka hum jawab dene ki puri koshis karenge humse judne ke liye aap hamare facebook page ko bhi like kar sakte hai…

Thanks For Reading….

4 thoughts on “Which Is Better Love Marriage Or Arranged Marriage In Hindi”

    • Ganesh achi bat hai ki aap gf se shadi karna chahte hai par shadi se pahle kai bato ko dhyan dena jaruri hota hai. jaise apki age kya hai aap kya karte hai kya aap shadi ki jemmedari lene ke liye taiyar hai ya aap bhavnao me akar ye faisla le rahe aise bahut si bate hai agar aap taiyar hai to apko parents ko samjane ki jarurat hai love marriage asani se nahi hoti thodi mehnat karni padegi.

      Reply

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

error: Content is protected !!