Online Jobs Search Karna Ya Online Job Karna Sahi Hai Ya Galat

Online Jobs Sahi Hai Ya Galat

 

Online Jobs Search Karna sahi ya galat, Online jobs in hindi, online jobs at home, online jobs work from home. Aaj ke new generation me har ladke aur ladkiya jaldi paisa kamana chahte hai, amir banna chahte hai Ghar baithe online paisa kamana chahte hai.

Isliye aaj ke yuvao ke dimag me kuch sawal jarur ate hai jaise Online jobs from home, Online jobs work from home, online jobs for students work from home, online job kaise kare aadi. Par kya apne kabhi socha hai ki kya yah sab itna asan hai ki koi bhi ghar baithe paise kama le vo bhi bina kisi pareshani ke.

Aaj hum apko inhi sab sawalo ke jawab denge aur janenge ki inki sachai kya hai. Kya such me aise paise kamaya ja sakta hai ya nahi Online jobs real hote hai ya fake..

Online Jobs Sahi Hai Ya Galat

Online Jobs In Hindi

Kya aap bhi online jobs ya private jobs dekh rahe hai, search kar rahe hai ya fir online jobs ke liye apply karne wale hai to ye Jankari sirf apke liye hi hai. 

Aaj India me aise bahut log hai jo educated to hai par unko jobs mil nahi raha hai. Aaj Chahe 12th pass ho ya graduation ho aaj asani se jobs mil pana muskil hota ja raha hai. Jiski vajah se aaj kai log dusre tariko se paise kamne ya jobs pane ki koshish karte hai aise me ve sabhi online jobs search jarur karte hai.

Aaj india me kuch aisi companies hai jo online jobs provide bhi karati. Par ye sare jobs mostly professional ya skillful logo ke liye hi hote hai jinhe online jobs available hota hai jo unke work ke basis par salary bhi deti hai.

kuch aise site bhi hai jaha par online paisa kamaya ja sakta hai, par vo bhi tabhi ho sakta hai jab apko is bare me achi knowledge ho.  Kuch aise bhi online jobs hai jise aap khud ya koi bhi ghar par kar sakta hai jo 100% sahi hai aur uske ache paise bhi apko milte hai.

ऑनलाइन जॉब्स सर्च कैसे करें   

Aaj bahut se log hai jo online jobs search jarur karte hai, jaise ki naukari.com, shine.com, indeed, monsterindia job portal  india me bahut popular hai jis par log jobs search karte hai.

In jobs portal me kai companies registered hote hai jo kai candidate ko work ke liye hire karti hai. Candidate ko jobs offers karti hai iske liye apko in jobs portal me account create karna hota hai.

Apne details, qualifications, resum upload karna hota hai jiske baad aap in job portals me apne pasand aur qualifications ke hisab se jobs search kar uske liye apply kar sakte hai.

Jisse apka resume us company ke pass chala jata hai uske baad aage ka process hota hai. jisme apko short list kiye jane par apko company ki taraf se calls ya emails aa sakte hai.

ऑनलाइन जॉब्स का सच :

Online jobs ki achi bat ke sath buri bat bhi jarur hota hai kyoki aaj log online jobs search jyada karte hai. Bas isi ka fayda utha kar kai fraud companies bhi badi tadat me logo ko bevkoof bana kara unko lootne ka business model bhi bana liya hai jisme kai log samil hote hai.

Ye fraud ka business kai tarah se kam karta hai kuch online to kuch offline. Ye log itni professional tarike se fraud karte hai ki kabhi kabhi educated log bhi dhoka kha jate hai aur inki jaal me fas jate hai.

Kyoki is tarah ke jobs aisa hota hai jo sunne me bahut attractive lagte hai. Par inka reality kuch aur hi hota hai jisme kai log fas bhi jate aur online jobs ke chakkar me kai hazaro ka nuksan kar lete hai.

Also Read :

ऑनलाइन जॉब्स सही या गलत :

Hum apko bata dena chahte hai ye sabhi online jobs portal sahi hai par ek bat savdhan karne wali hai. Yaha jitne bhi jobs portal hai in sabhi me 55 se 65 % fake fraud companies jyada active hote hai.

Jinke jobs offers dekh kar apko lagega ki ye bilkul real hai itna acha salary bhi par yah such hota nahi hai. Apke personal details aur resum par sabse jyada nazar in fraud companies ke agents ka hi hota hai.

Jo apke sari activities dekh rahe hote hai ki aap kya search kar rahe ho. Aap dekhoge ki jab bhi aap kisi jobs portal me account create karte hai aur job search karte hai to 24 ghante me hi apke pass calls ya emails aane suru ho jate hai.

Jisse aap bahut khus ho jate ho aur apko jo kuch bhi pucha jata hai vo sare details aap unhe bata dete hai ya kaha unke ha me ha mila dete ho. Bina kuch soche samjhe aap aise galti bilkul bhi na kare Kyoki fraud companies ki nazar hamesha new user par sabse jyada hota hai.

Kyoki logo ko job’s ki bahut jyada jarurat hoti hai to candidates jyada sochte nahi hai. Bas fraud companies ya agents iska fayda utati hai, Ye logo ko jobs offers karne ka vada to karte hai par inka maqsad job ke naam par logo ko bevkoof bana kar lootna hota hai.

Adhiktar online jobs specially online data entry jobs aur message sending jobs apse pahle free joining hai kahke apko join to kara dega, fir registration ke naam par 1000 se 1500 rupey ki mang karega.

Ye bol kar ki baad me apki salary me add kar diya jayega fir kuch din baad fir apse paise ki mang karenge ye bol kar ki apko company ki taraf se tool kit diya jayega.

Jis par apko kam karna hai agar apne galti se paisa de diya to samjho apka paisa gaya. Jaise hi aap unke account me paise transfer karenge uske bad se hi apne jis company me register kiya tha vo bhi disable ho jayega.

Aap unhe call karoge to nahi lagega aur lag bhi gaya to koi lady call receive karegi aur ulta apko dhamki de degi jisse aap dar jaoge. kyoki apne online sab kam kiya tha to ab aap rone ke siva kuch kar bhi nahi sakte.

Online jobs karna aaj bahut riski ho chuka hai. Isliye agar apko is field ki sahi jankari na ho to aise jobs karne se hamesha bache, koshis kare ki offline job ki talash kare to jyada acha hoga.

ऑनलाइन फ्रॉड जॉब्स :

Aaj kai fruad companies alag alag tarah ke online jobs offer karte hai jo sunne me ache to lagte hai jo kahte hai ki kaam bahut asan hai aur apko 15,000 se 30,000 ghar baithe mil jayenge.

Jisme se kuch is tarah ke jobs hote hai jaise online data entry jobs, msg sending jobs, forms fill up jobs, online survey jobs, banking aise kai aur bhi jobs hai jo apke resume ke accordings apko offers ayenge.

Agar apke paas bhi aisa koi calls ya emails aya ho jisme kaha jaye ki apka name short list kiya gaya kya aap job karna chahte hai. Jobs online karna hai jisme apko 150,00 se 30,000 milenge agar aisa koi offers apke pass ata hai to aap use turant reject kar de.

Fraud company ki pahli nishani hai ki ve bolenge sab online karna padega ve kabhi apna sahi address nahi btayenge na hi apko interview ke liye bulayenge apko sidha joining de denge.

Aap khud hi sochiye aaj jaha jobs ki itni kami hai jaha job milna muskil ho gaya hai. Vaha koi bina kuch kiye hi apko job offers kar raha hai vo bhi 15,000 se 30,000 ka to kuch to gadbad jarur hi hoga.

Par kuch jobs me apko interview ke liye bhi bulaya ja sakta hai aur registration ke naam pe apse paise ki mang kar sakte hai. Ye sare jobs fraud jobs ki list me ate hai aise job se bach kar rahe.

ऑनलाइन फ्रॉड जॉब्स से कैसे बचें :

Fraud companies se bachne ke liye sabse pahle jab bhi koi company se call aye to aap exitment me unki haa me haa na kare. balki aap pahle us company ki sari details mange, Yah janne ki koshis kare ki vo real company hai bhi ya fir koi fraud hai.

Agar ve apse kisi bhi tarah ka registration fees mangte hai aap unki sari baat sunna fir kahna soch kar bataunga kahna aur fir dobara kabhi call receive mat karna. Aise log number badal badal kar apko call jarur karenge par aap kuch din tak kisi bhi unknow number ka call receive nahi karna hai.

Kyoki real company kabhi bhi candidates se kisi tarah fees ki mang nahi karte hai. Agar koi company apse kisi tarah ka details mangti hai ye kahke ki apka naam jobs ke liye short list kiya gya hai.

Fir apse adhar card, pan card, bank account jaise details mangte to 100 % vo fraud hai aap risk na le apni details kabhi online share na kare.

महत्वपूर्ण बातें :

Ye the kuch bate online jobs search karna ya online jobs karna sahi hai ya nahi, Online jobs in hindi online jobs at home ke bare me kuch jaruri jankari. Iske alawa jab aap online jobs search karte hai to apke pass kai tarah ke emails ate hai jisme se kuch spam message hote hai.

Jisme virus bhi ho sakte hai jo apke mobile, computer ya laptop ke sare details, bank account information chura sakte hai. Apke social media hack kar sakte hai. Yah kuch tarike hai fraud karne ke isliye aap kisi bhi unkown emails aur usme diye link par kabhi bhi click na kare.

Online jobs search karna ya online jobs karna ek gambling ki tarah hai kal kya hoga kisi ko nahi pata. Acha hoga aap offline jobs kare apke aas pass kai company hogi vaha jaye interview de vaha ke employees se puche agar sab sahi raha to job join kare.

Also Read :

Hum asha karte hai ki aap sabhi ko hamari yah jankari online jobs search karna ya online job karna sahi hai ya galat, Online jobs in hindi, online jobs at home apko acha laga hoga.

Apko yah jankari kaisa laga comments me jarur bataye aur is jankari online jobs search karna ko social media, friends and family me jarur share kare. Sath hi Humse judne ke liye aap hamare Heartbeatsk Facebook page k ya Instagram ko bhi like aur follow kar sakte hai .

Thanks for Reading…

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

error: Content is protected !!