Top 10 Healthy Rainy Vegetables Barish Me Kon Si Sabjiya Khaye

बारिश के मौसम में कौन सी सब्जी खाये 

Barish Ke Mausam Me Kon Si Sabjiya Khaye Healthy Rainy Vegetables

10 Healthy Rainy Vegetables name Barish ke Mausam Me Kon Si Sabjiya Khaye, Vegetables in Rainy Season ! Aaj hum bat karenge 10 healthy rainy vegetables name Monsoon food Tips ke bare me jo har kisi ke liye Monsoon season me bahut jaruri hai.

Sabhi ko yah pata hona chahiye ki barish ke mausam me kon si sabjiya khana chahiye kon sa nahi. Barish ka mausam ate hi health ki chinta sabhi ko hota hai khastaur par bacho ki health ko lekar.

Kyoki jaha mausam me badlao hua ki log bimar hona suru ho jate hai. In sabhi bato me Monsoon Season me apne aur apne family ke khan paan ka vishes dhyan dena bahut jaruri ho jata hai. Har mausam ka khan paan alag hota hai use sabhi ko follow karna jaruri hai.

Barish me agar apne thodi bhi laparwahi ki to bimar hona tay hai. Isliye aaj hum apko batayenge ki barish ke mausam me kon si sabji khaye 10 healthy rainy vegetables name to chaliye jante hai.

बारिश में ये खाये Top 10 Healthy Vegetables

#1. लौकी (bottle gourd)

लौकी (bottle gourd)

Dekhne me aur swad me sadharan sa lagne wala yah lauki swasth ke nazariye se bahut hi labhkari hota hai. Rainy season me lauki ka sevan apko kai prakar ki bimario se bhi bacha sakta hai.

Lauki me fibers, vitamin c, thymine, riboflavin, iron aur magnesium prayapt matra me paye jate hai. Jo heart aur high blood pressure ke patients ke liye bahut hi faydemand hota hai.

Lauki me fibers ki matra hone ki vahah se yah hamare pachantantra (digestive system) ke liye bhi bahut labhdayak hota hai. Lauki ki sabji ya lauki ke juice ke sevan se body se visakt padart ko bahar nikalta hai.

Jisse skin me natural glow ata hai aur balo ko bhi mazbuti milti hai aur sath hi immune system ko badhane me madad karta hai. Par aap hamesha is bat ka vishes dhyan de ki lauki taazi ho, kadvi aur purani lauki ka sevan kabhi na kare.

#2. भिंडी (Okra)

भिंडी (okra)

Bhindi ko English me lady finger ya okra bhi kahte hai, khane me swadist yah bhindi hamare health ke liye bahut labhkari hota hai. Bhindi me aise kai poshak tatva paye jate hai jo health ke liye bahut acha mana gaya hai.

Bhindi me antioxidants, vitamin A, C, iron aur calcium ki matra paya jata hai. Jo hamare ankho se sambandhit bimariyo ke liye bahut faydemand hota hai. Bhindi me paye jane wala antioxidants hamare skin me pimples aur jhhuriyo ko ane se rokta hai.

Isi tarah isme aur bhi kai poshak tatva paye jate hai jo hamare digestive system, immune system, high blood pressure, diabetes me bhi faydemand hota hai. Par aap is bat ka dhyan de jise gurda ya pathri ki bimari hai use bhindi jyada matra me nahi khana chahiye.

#3. करेला (Bitter Gourd)

बारिश के  मौसम  कौन  में  सी सब्जी खाये 

Hare rang ka yah karela swad me bahut kadva hone ki vajah se bhale hi logo ki pahli pasand na ho. Par karele me aise dher sare Gunkari poshat tatva maujud hai jo swasth ke liye ek vardan se kam nahi hai.

Inhi sab guno ke karan hi aaj na chahne wala insan bhi swasth labh ke liye apne bhojan me karele ka sevan jarur karta hai . Karele me fiber, calcium, magnesium, phosphorus, Foliat, vitamin A,  B, C paye jate hai.

Isme calories bhi kam paya jata hai jo diabetes patients ke liye ek bahut hi asardar dava sabit hota hai. Iske sath hi isme paye jane wale antioxidants aur anti bacteria gun skin ko pimples se bhi bachata hai. Sath hi sath karela immune system aur piles ke patients ke liye bhi acha mana gaya hai.

#4. Parwal (pointed gourd) 

Parwal ek healthy Vegetables me gina jata hai jo monsoons me jyada paya jata hai. Isme kai aise aushadi gun paye jate hai jo hume is barish ke mausam me kai bimariyo se bhi bachata hai.

Parwal (pointed gourd) 

Isme vitamin A, B, C, fiber aur antioxidants paryapt matra me paye jate hai. Parval ka sevan karne se hume barish me hone wale bimariya jase viral fever se bachata hai isse pachantantra bhi acha rahta hai.

Sath hi parval me khoon saaf karne ka bhi gun paye jate hai jo chehre ki rangat ko natural tariko se sundar banane me madad karta hai. Parval hamare immune system ke liye bhi acha hota hai.

Parval ke sevan se aur bhi kai fayde ho sakte hai jaise sir dard me, youn sakhti ko badhane me, motapa kam karne me, khansi ya viral fevar me bhi kam ata hai isliye is monsoons parval ka sevan jarur kare.

#5. कंटोला (spiny gourd)

Hare rang ka yah fal ki tarah dikhne wala sabji ke roop me pure bharat me khaya jata hai. Kantola keval monsoons me hi paye jate hai jiski vajah se iska mahatva aur bhi badh jata hai.

Kantola ko aushadi ke roop me bhi upyog kiya jata hai isme kai Khaniz, fiber, antioxidants, vitamin se bhara yah hamare health ke liye bahut hi labhkari hota hai.

Kantola ka sevan ankho aur chehre ke liye acha mana gaya hai kyoki isme antioxidants, bita carotene, alfa carotene paye jate hai. Jo skin ki rakhsa karta hai sath hi kantola anti aging badhte umra ko kam karne me madad karta hai.

Also Read :

#6. टिंडा (Apple Gourd) 

Chote se hare rang ke apple ki tarah dikhne wala tinde ko apple gourd bhi kaha jata hai. Jise bharti kaddu bhi kaha jata hai isme kai sare poshak tatva maujud hote hai jo hume kai bimnariyo se bachate hai.

Isme 94 % water paya jata hai jo digestive system ke liye ek acha food hai isme kai sare poshak tatva bi paye jate hai jo hume kai bimariyo se bacha kar hume healthy rakhne me madad karta hai.

Isme antioxidants, fibers, anti- inflammatory aur carotenoids paye jate hai jo high blood pressure, heart disease, stroke ke katre ko kam karta hai.

#7. कद्दू (Pumpkin)

कद्दू (Pumpkin)

kaddu ko pumpkin bhi kaha jata hai tarbooz ke akar jaisa dikhne wala yah kaddu khane me bahut swadist hota hai. Ise juice ke roop me bi sevan kiya ja sakta hai, Kaddu me aise kai jaruri poshak tatva maujud hote hai jo Good health ke liye bahut jaruri hai.

Kaddu me vitamin A, C vitamin B complex, calcium, phosphorus, iron, antioxidants paye jate hai. Yah hamare skin ki dekhbhal karne me bhi madad karta hai ise facepack ki tarah bhi lagaya jata hai. Is kaddu me aise gun paye jate hai jo umra ke asar ko kam kar jawaa dikhne me madad karta hai.

Isi tarah kaddu kai roop se hamare liye faydemand hota hai jaise balo ki mazbuti, heart disease ke khatre ko kam karne me, immune system ko behtar karne aur ankho ke liye bhi bahut acha mana gaya hai.

#8. बांस की टहनी (Bamboo shoots) 

Barish Me Kon Si Sabjiya Khaye Top 10 Healthy Rainy Vegetables

Barish ka mausam ate hi bamboo shoot yani bans ki tahni bazar me dekhne ko mil jate hai. Yah bamboo shoot bans ka hissa hota hai jo ki bahut naram hota hai. Iska upyog sabji, salad aur soup ke roop me kiya ja sakta hai.

Isme fibers, protein, carbohydrate, minerals jaise poshak tatva paye jate hai. Bamboo shoot heart, digestive system, pet se sambandhit bimariyo ko dur karne aur immune system ko behatar karne ka kam karta hai.

#9. बैंगन (Eggplant)

Barish Me Kon Si Sabjiya Khaye Top 10 Healthy Rainy Vegetables बैंगन

Baingan ko brinjal ya eggplant bhi kaha jata hai samanya sa dikhne wala baingan kai mayne me health ke liye acha hota hai Isme kai aise jaruri Gun paye jate hai jo ek healthy body ke liye jaruri hai.

Baingan me iron, magnesium, calcium, fiber, vitamin jaise aur bhi kai poshak tatva paye jate hai jo hamare chehro ko sundar aur jawaa dikhne me madad karta hai. Yah khoon saf karne me, bhojan ko thik se pachane me, heart ke liye, diabetes ke patients aur brain power badhane me bhi madad karta hai.

Baingan ka sevan karte samay is bat ka dhyan de ki pregnant lady ko iska sevan nahi karna chahiye aur jise baingan se elergy ho use bhi iska sevan nahi karna chahiye.

#10. लहसुन (Garlic)

Barish Me Kon Si Sabjiya Khaye Top 10 Healthy Rainy Vegetables

Hum me se bahut se log hai honge jo lahsan khana pasand nahi karte hai par yah lahsan ka sevan apke liye barish ke mausam me ek aushadi ki tarah kam karega. Ye apko barish me hone wale kai bimariyo se raksha karta hai iska sevan kar hum apne chehre ki khubsurati ko badha sakte hai.

Lahsan me anti aging aur antibacterial gun paye jate hai jo skin ke liye acha hota hai ,Yah garlic apke immune system ko behtar karne me bhi madad karta hai. Iska sevan aap sabji ke sath, soup ke roop me ya fir chatni ke roop me bhi kar sakte hai.

Alao Read :

Final word :

10 healthy rainy vegetables name jaisa ki hum pahle bhi bataya hai ki in sare vegetables ko ek normal healthy log kha sakte hai. Par agar apko kisi vegetables se elergy ho ya inme se kuch vegetables khane ko mana ho ya aap bimar ho to in vegetables ka sevan se pahle doctor se salah jarur le.

Sabhi vegetables health ke liye tabhi achi sabit ho sakti hai jab uska limit me hi sevan kiya jaye jyada matra me kisi ka bhi sevan na kare.

Hum asha karte hai ki aap sabhi ko hamari yah jankari barish ke mausam me kon si sabjiya khaye 10 healthy rainy vegetables name acha laga hoga. Apko yah jankari kaisa laga comments me jarur bataye.

Sath hi is jankari 10 healthy rainy vegetables Name ko social media aur friends me bhi share jarur kare. Agar apka kisi tarah ka sawal ho to aap comments me puch sakte hai. Sath hi humse judne ke liye aap hamare Facebook page ko bhi like kar sakte hai.

Thanks For Reading…Monsoon Foods Rainy Food

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

error: Content is protected !!