Is Study Really Important Or Not
Is Study Really Important in hindi ? Aaj Hum ek interesting topic pe bat karenge aur ye janne ki kosish karenge ki kya Life me Successful hone ke liye Padhai karna jaruri hai ya nahi ‘Is study really important or not for successfull life.
Yah ek sawal hai jo Bahut se students ke man me kabhi na kabhi to aya hi hoga. Aksar kai students ke man me yah sawal hota hai ki padhai to mujse hota nahi Marks bhi ache ate nahi to kya agar main padhai na kar paya future me to kya main life me Successful ho paunga ya nahi.
Kyoki har students Study me acha nahi hota hai. Koi padhai me acha hota hai to koi sports me to koi dusre chizo me acha hota hai aur sabhi chizo ka apna mahatva hota hai.
Apne kabhi news papers me ya news me ye to suna hi hoga ki kisi ladke ne ya ladki ne kam umra me bahut badi safalta hasil kar liya ya kam umra me hi crorepati ban gaya.
Apko Kya lagta hai ve sabhi padhai me ache the, ya topper the ya ve sabhi highly qualified the jawab hai bilkul bhi nahi. Agar apko bharosa nahi ho raha hai to aap khud dekh sakte ho hamare aas pass kitne hi sindhi, marwadi, gujrati padhai me kaise bhi ho life me bahut jyada successful hai.
Kyoki unhe ye pata hota hai ki unhe kya karna hai. Ve bachpan se hi business kaise karte hai us hunar ko sikhte hai jo unhe future me safal banata hai. Kyoki ve kisi dusre ke yaha kaam karne se acha hamesha khud ka business karne par focus karte hai.
Kahne ka matlab bas itna sa hai ki aap jis chiz me interested ho apka main focus us par hi hona chahiye. Apne lakshya ko Pahchan kar aaj se hi us par kaam karna suru kar de.
Ek bat yaad rakhiye duniya me 80% log jo aaj safal huye hai. Iske kai sare example hai jaise mukesh ambani, Bill gates, Steve Jobs, mark zuckerberg, Sachin Tendulkar, virat kohli, Roger Federer, kylie Jenner aise na jane kitne hi naam hai.
Jo 10th, 12th Pass ya college Dropout hai fir bhi aaj puri duniya me inka naam, samman aur khub sara paisa hai. Dosto bade School aur colleges ek achi safalta ki koi guarantee nahi deta. Balki success apke junoon se milta hai kuch hasil karne ke liye kuch kar jane ka junoon.
1. पढाई करना जरुरी क्यों है (Why Education Is Important)
Why Education Is Important in Our Life in Hindi Padhai hamare jeevan me bahut hi aham bhumika nibhata hai. Hume aage Badhne aur kuch sikhne me jo hume sahi galat ka ache aur bure chizo ko samajhne me madad karta hai.
Bina padhe likhe hum ek pashu ki tarah hai jiska koi lakshya nahi jeene ka koi maksad nahi hai. Bina padhe likhe hume jevaan me kai muskilo ka samna bhi karna padta hai.
Agar aaj aap padhai karoge to aap iske mahatva ko bhi samajh paoge aur jeevan me shiksha apko sahi faisle lene me bhi madad karega.
Sath hi apko Sahi aur galat ko samjhne me aur apni pasand ki job hasil karne me madad karega jisse aap apni ane wali new generation ko bhi aap sahi disha de paoge isliye Education Is Important in Our Life.
2. क्या पढाई कामयाबी की गारंटी हैं
Meaning Of Study Padhai karna jaruri hai Ye hum sab jante hai aur iske mahatva ko bhi jante hai par kya such me shiksha kamyabi ki guarantee hai to aisa bilkul bhi nahi hai. Iska sabse bada karan hai hamare desh me shiksa ka vyaparikaran hona.
Aaj kuch schools aur colleges ko chhod de to 60% sirf degree to de degi par apko vo kabiliyat nahi dega jisse apko asani se jobs mil sake ya aap life me kuch acha kar sako.
Kyoki aaj shiksha ke naam par logo ko sirf ratte marna shikaya ja raha hai. Jis students me ratte marne aur yad rakhne ka hunar hai aaj vo top bhi kar jata hai.
Inme se adhiktar students College khatam hone ke kuch saal bad to aisa ho jata hai ki kuch padhe hi nahi. Itne saal padhai ko dene par bhi koi practical knowledge na hona bhi aaj berojgari ka sabse bada karan banta ja raha hai.
Agar aap sochte hai ki sabhi badi degree hasil karne wale safal ho jayege to ye apki bhul hai. Kyoki aaj vacancies kam hai aur candidates bahut jyada isliye bhi education safalta ki koi guarantee nahi deta hai.
3. सफल होने के लिए क्या करे
Success Tips in Hindi Agar aap such me jeevan me safal hona chahte ho to sabse pahle apko is bhed chal se bahar nikalna hoga. Hamare dimag me ye sadiya se dharana dal diya jata hai ki safal banne ke liye ache grade ache marks lana bahut jaruri hai jo puri tarah se sahi nahi hai.
Aaj ek acha students apna dream job ya government job hasil karne ke liye kai saal laga dete hai. Jisme kuch to safal ho jate hai par jo nahi hote vo depression me chale jate hai jisse unka bahut saal bhi barbad ho chuka hota hai.
Vahi dusri taraf 60 % wala students alag rasta apnata hai jise kabhi grade se koi matlab nahi hota hai. Ya to vo private job kar leta ya khud ka koi business kar leta hai Aur samay ke sath yahi log aage bhi badh jate hai.
Yahi vajah hai ki aaj ek average students successful business man, entrepreneurs, international sports person ya dusre field ka boss ban jata hai Aur fir yahi 90 % wale uske under jobs karte paye jate hai.
Yah bat jankar hairani hogi ki duniya me jitne bhi billionaire hai unme se jyadatar ek average students rahe hai. Isliye Sabse Pahle to apko apne jeevan me education ko education ki tarah lekar use khusi khusi padhna chahiye.
Grade ke piche bhagna chhod de aur Self Study Kaise Kare is par jyada dhyan de jisse aap har din kuch naya aur quality chize sikh sako aur life me jo aap chahte ho vo hasil kar sako.
Also Read :
- 12th Ke Baad Governments Jobs Ke Liye Kon Sa Course Kare
- Top 10 Golden Rules For Successful Life
- Amir Kaise Bane Secret Tips
जीवन में सफल होने के महत्वपूर्ण टिप्स (Success Tips in Hindi)
1. Apko ye pata hona chahiye ki apko future me kya banna hai. Agar apka man padhai me na lag kar dusre chizo me lagta hai jaise koi sports, computers, singing, dancing ya business to usi ko hi apna profession chuno aap safal jarur hoge.
2. Apne Aim ka pata chal jane me par apko koshis karna hoga ki aap jyada time apne Aim ko hasil karne me lagaye na ki us chiz me jis par apka koi bhi interest nahi hai.
3. Har insan ki apni khubi hoti hai agar aap padhne me ache hai to aap padhai ko ki seriously lekar padhe aur future me vo hi kare jo apko jyada padhai karke hasil ho sakti hai jaise IPS, IAS, CA, MBBS etc.
4. Agar apka Aim kisi aise field me jane ka hai jis par apko jyada padhne ki jarurat nahi to aap sirf graduation tak hi padhe vo bhi apka Aim first hona chahiye fir education tabhi aap safal hoge.
5. Agar aap sports me jana chahte ho to yakin mane 12th ki padhai hi kafi hai. Kyoki sports me performance dekha jata hai na ki qualifications agar apko study karna bilkul bhi pasand nhi to sports apke liye best hai.
6. Aap apne Aim ko hasil karne ke piche jaoge to iski puri sambhavna hai ki aap apne aim ko kam samay me hasil bhi kar loge isse fark nahi padta ki aapki Qualificatin kya hai.
7. Apne career ko lekar confuse na rahe kai students hote hai jo dusro ko dekh kar chalte hai. Jaisa dost karte hai waise hi karna chahte hai natiza ye hota hai ve asafal ho jate hai.
8. Duniya me jitne bhi logo ne safalta hasil kiya hai sirf isliye kyoki un sabhi ne padhai ko khud par havi na hone diya. Balki vo kaam kiye jo vo karna chahte the aur aaj ek successful person bhi hai jise kai log follow bhi karte hai.
Aap jise Tv me aaj dekhte hai unme se jyadatar achiever successful log apna graduation bhi complete nahi kiye hote hai. Ve sab kam umra se hi bas apne Aim ko hasil karne me lag gaye the isliye hi aaj ve successful ho paye hai bas apko bhi kuch aisa hi karna hai.
Final word
Is Study Really Important? Sabhi se hum yahi kahna chahenge ki aap jis bhi field me ho ya jis bhi field me interest rakhte ho usme hi apna profession bana. Apkie safal hone ki sambhavna badh jayega, yaad rakhe school aur college khatam hone ke baad koi apke % ya apke marks nahi puchega.
Vo to bas apki success ko dekhnge ki aaj aap kaha ho Na hi apke marks kaam ane wale hai na hi school ya college me padha hua. Jitna jyada padhoge utni hi deri se safal hoge ya safal ho paoge bhi ya nahi koi guarantee nahi hai.
Jeevan me padhai bahut jaruri hai par padhai hi apki safalta ka rasta tay karega aisa bilkul bhi nahi hai. Jo bhi karo jaldi karo aur apne aim ko aaj se hasil karne me lag jao hamari subhkamnaye aap sabhi ke sath hai.
Also Read :
- 12th commerce ke baad kya kare
- 12th ke baad science students kya kare
- 12th ke baad arts students kya kare
Hum asha karte hai aap sabhi ko humari yah jankari padhai karna jaruri hai ya nahi, Is study really important or not for successfull life acha laga hoga apko yah jankari kaisa laga comments me jarur bataye.
Agar apka kisi tarah ka koi sawal hai to aap comments karke puch sakte hai apke sawal ka jawab diya jayega. Sath hi post Is Study Really Important ko Friends aur social media me share jarur kare. Sath hi humse judne ke liye aap hamare Facebook page ko bhi like kar sakte hai.
Thanks For Reading…