Summer Skin Care Tips Beauty Tips in Hindi
गर्मियों में सुन्दर दिखने के लिए क्या करें Summer Skin Care Tips Beauty Tips in Hindi Sundar Kaise Dikhe ! Garmiyo ka season ate hi logo ko sabse jyada paresan karta hai garmiyo me chehre ki skin dry, dull aur berang ho jata hai jo dekhne me bilkul bhi acha nahi lagta hai.
Har koi chahe vo ladki ho ya ladka apne chehre ko lekar gambhir hote hai ve chahte hai ki vo hamesha ache dikhe. Par garmiyo ka mausam ate hai chehra aur bhi kharab ho jata hai is dry, dull aur berang chehre ka mukhya karan pollution, Tej dhoop aur khan paan hota hai.
Jo chehre ke skin par bahut jaldi bura prabhav dalta hai Par logo ko garmiyo me in sab se kaise bache, iska upay kya hai samajh nahi ata.
Isliye aaj hum btayenge vo 9 Tips jo apko is garmiyo me bhi ek Beautiful and glowing skin pane me apki madad karega vo bhi asaan tariko se to chaliye jante hai Summer Skin Care Tips Beauty Tips in Hindi Sundar Kaise Dikhe गर्मियों में सुन्दर दिखने के लिए क्या करें.
Summer Skin Care Tips In Hindi
1. खूब पानी पिए
Garmiyo me hamare body ko jiski sabse jyada jarurat hoti hai vo water hai. Hum sabhi jante hai ki hamari body ka 70 % water se bana hai jo ki Garmiyo me pasine ke jariye body se water bahar nikal jata hai.
Jisse hamari body hydrate nahi rah pata hai aur body ka PH leval bhi kam ho jata hai jiska sabse jyada asar hamare chehre aur brain par padta hai.
Isliye garmiyo me water apne weight, height aur age ke hisab se jarur piye na hi bahut jyada matra me pani piye na hi kam piye ye apke face ki skin aur brain dono ke liye bahut labhdayak hai.
2. तेज धूप से बचे
Garmiyo me Tej dhoop hamare skins ke liye bilkul bhi acha nahi hai. Tej dhoop se sun tanning, sun burn, dry skin aur pimples jaise samasya ka samna karna padta hai. Isliye tez dhoop aur pollution se bachne ke liye aap chehre aur sir ko hamseha dak kar hi bahar nikle aur sun glasses ka bhi upyog jarur kare.
Agar apko scarf ya rumal chahre par lagane se koi problem hai ya apko field work jyada karna hota hai to Aap in garmiyo ke Tej dhoop me nikalne se phle chehre par sunscreen ka upyog bhi kar sakte hai jo apke chehero ko Tej dhoop se protect karega.
3. नींबू पानी
Garmiyo me apko nimboo pani ka sevan jarur se karna chahiye yak apke Body se toxic ko bahar nikalne ka kam karte ha. jo garmiyo me apke chehre ko freshness, beautiful aur glowing skin dene me apki help karenge.
Garmiyo me nimboo pani ka mahatva aur bhi bad jata hai, yah apki body ki hydrate rakhne ka kam bhi kam karta hai aur body me pani ki kami ko pura karta hai. Iske sath hi aap iske chilke ko apne chehre par laga kar malish bhi kar sakte hai, jo pimples ke black spot ko hata kar chehra ko gora karne me apki madad karta hai.
Also Read :
- Top 12 Best Food for Beautiful And Glowing Skin
- कम उम्र में बाल सफ़ेद क्यों हो जाते हैं इससे बचने के प्राकृतिक उपाय
4. अच्छा खाये
Garmiyo me apko jitna ho sake body ko thandak dene wale foods khana chahiye jisme water ki matra jyada ho. Jo hamare body liye khane me bhi healthy ho jaise ki kheera, Lychees, Mangoes, jamun, papita, watermelon, nimboo, fruit juice, dry fruit, summer seasonal Healthy Foods and vegetables aadi.
Garmiyo me Hume apne khan paan bhojan ka bhi vishes dhyaan dena chahiye. garmiyo me body ko garam karne wali aur jyada hi masaledar khana khane se bachna chahiye. Nahi to pet kharab hone va apke face par pimples ane ki sambhavna aur bhi bad jayega.
Jisse saf karna bahut hi jaruri hai nahi to yah apke body aur chehre ke liye bhi nuksan sabit hoga, Isliye ghar aakar nahaye jarur isse apki thakan bhi kam hoga aur aap relax, fresh feel karoge.
Jisse apka chehra mulayam hoga aur pimple bhi nahi ayenge, Aap garmiyo me aloe vera juice ka bhi sevan kar sakte hai jo healthy skin ke liye bahut faydemand hai aloe vera juice ko aap ghar par hi bana sakte hai ya market se bhi le sakte hai.
7. चेहरे का मसाज लें
Aap hafte me 1 baar chehre ka massage bhi le sakte hai isse apke chehre ke skin ka blood circulation acha hota hai jisse chehre ki maspesiya ache se kam karta hai chehra garmiyo me bhi fresh beautiful aur glowing bana rahta hai.
8. चेहरे की सफाई
Garmiyo me chehre ki saf safai bahut hi jyada jaruri hai kyoki garmiyo me pasino aur dhool se apka samna har roz hoga. Aise me agar face ki safai thik tarah se na ki jaye to pimples hona tay hai.
Isliye garmiyo me apko din bhar me kam se kam 4 bar chehro ko jarur saf kare. Par bar bar facewash ya sabun ka upyog na kare keval saaf pani se saaf kare aur sone se pahle facewash se chehre ko jarur dhoye .
9. कपड़ो पर ध्यान दे
Garmiyo me pasina bahut jyada ata hai aur jyada tight kapde se to aur bhi pareshani bad jata hai jisse pasina bhi bahut ata hai aur tight kapdo se uncomfortable bhi hone lagta hai.
Isliye koshis kare ki garmiyo me hamesha loose kapde pahne Jo Jyada tight na ho aur koshis kare kapde cotton ke ho jo apke pasine ko bhi sok( absorb) kar sake. Jisse Garmiyo me bhi Aap comfortable rahoge jyada heavy aur tight kapde na pahne.
Also Read :
- दिमाग तेज कैसे करे
- वजन कैसे घटाये How to lose weight In Hindi
- Height Kaise Badhaye How To Increase height
Summer Skin Care Tips Important Tips :
1. Hamesha saaf aur sudh pani hi piye agar jyada jarurat na ho to bahar ka pani na piye.
2. Agar apka job field work ka hai ya fir aap dhoop me jyada waqt bitate ho to SPF 30 sunscreen lotion ka upyog kar sakte hai jo skin protection ka kam karta hai.
3. Garmiyo me jarurat se jyada matra me chai ya coffee ka sevan na kare yah apke liye hanikarak ho sakta hai.
4. Chehre ko normal sabun se dhone ki jagah facewach ka upyog kare vo Bhi din me bas 2 bar hi kare.
5. Girls ko Garmiyo me jitna ho sake kam makeup ka upyog kare jyada make up ka upyog na kare. Varna pasine ki vajah se makeup chehre par hi fail jayega jisse aap bure bhi dikhenge aur pimples ane ke chances bhi bad jayega.
6. Fruits aur natural juice ka sevan garmiyo me jarur kare par artificial juice jo market me bottle me milta hai unka sevan karne se hamehsa bache. kyoki usme juice kam artificial flavour jyada hota hai aur mithas ki jagah sugar ka istemal kiya jata hai jo apke body ke liye fayda to nahi hai par nuksan jyada hai.
7. Girls ko Garmiyo me apne baalo (hairs) ka vishes dhyan dena chahiye kyoki kai bar hair dandraff ki vajah se hi chehro me kai problem ka samna karna padta hai.
Hum asha karte hai ki apko hamari yah choti si jankari गर्मियों में सुन्दर दिखने के लिए क्या करें Summer Skin Care Tips Beauty Tips in Hindi Sundar Kaise Dikhe acha laga hoga. Apko hamari jankari kaisa laga niche comments me jarur bataye.
Sath hi is jankari गर्मियों में सुन्दर दिखने के लिए क्या करें ko friends, family aur social media me share jarur kare. Agar apka kisi bhi tarah ka koi sawal ho to aap comments me puch sakte hai apke sawal ka jawab diya jayega. Humse judne ke liye aap hamare Facebook Page ko bhi like kar sakte hai.
Thanks For Reading…