12th Ke Baad Kya Kare Governments Jobs Ke Liye
Aaj hum bat karenge 12th ke bad kya kare governments jobs sarkari naukri asani se pane ke liye 12th pass govt. job. Adhiktar students ka yahi sapna hota hai ki unhe government job sarkari naukri kaise bhi jaldi mil jaye.
Iske liye students kadi mehnat bhi karte hai par safal kuch hi log ho pate baki ko nirasha hi milti hai. Har students ko yahi chahiye hota hai ki ve aisi padhai kare jo unhe job ki gurantee de.
Par kai sare students aise hai jinko government job ki talash to hai. Par padhai aise karte hai ki jaise BSC, BA, B.COM, MSC, M.COM, MA karne ke bad bhi koi government job sarkari naukri ke koi chances nazar nahi ate.
Iski vajah hai time period in sab course ko karne me itna time beet jata hai ki aisa lagta hai bahut der ho gya aur kai logo ka to padhai se hi interest khatam ho jata hai..
12th के बाद क्या करें सरकारी नौकरी के लिए
Agar apko bhi government jobs ki hi talash hai to apka graduate karna hi kafi hai uske bad aap government exam preparation start kar dena chahiye. Agar apke pass jyada waqt hai to aap post graduate bhi kar sakte hai.
Aaj India me education system jobs ki koi gurantee nahi deta hai iske liye apko apne skills par dhyan dena hoga ki Aap kis chiz me dusro se behtar hai. Par aaj bhi kuch ase kuch tarike hai jo apko asani se railway govt. jobs dila sakte hai 100 % gurantee ke sath to chaliye jante hai 12th ke bad kya kare governments jobs sarkari naukri asani se pane ke liye.
12th के बाद इनको ज्वाइन जरूर करें
1. Join NCC
NCC ka full form national cadet corps hai yah desh ki ek badi yuva organisations hai jo 1948 me lagu hua tha. Iska headquarters delhi me hai par desh bhar me iski bahut sari branches hai.
NCC ka mukhya karya desh bhar ke yuva navjavan ko desh bhakhti aur desh ke liye apna yogdan dena hai. Iske liye har saal NCC students ko sainik training di jati hai, Jo jal sena, thal sena aur vayu sena ki training deta hai.
Iska fayda yah hota hai agar kisi students ko future me police ya sena me bharti hona chahta hai to NCC ki certificate hone ki vajah se dusre candidate ke tulna me jaldi bharti milti hai ya ye kahe asani se milti hai.
NCC certificate wale students ko school aur collage me bhi acha fayda milta hai to agar apko bhi jaldi government jobs ki talash hai to aaj hi NCC join jarur kare.
2. Scout Guide
Scout guide ko 1907 me isthapit kiya gaya tha jiske sansthapak London me janme lord Robert baden powell hai. jinhone modern scouting ki suruvat ki thi india me yah 7 november 1950 me isthapit kiya gaya.
Yah ek swayamsevi aur non political sanstha hai, Jo har ek navjavan yuvak ko manavta, desh bhakti aur aam logo ki seva ka mauka deta hai. Scout guide me sikhaya jata hai ki aap bina kisi bhedbhaw ke logo ki madad apne kartavyo, lakshyo aur siddhanto ke adhar par karenge.
Scout guide navjavan yuva ke mansik, baudhik, samajik aur adhayatmik taur par purna vikas karna hota hai. Agar aap apne school life se scout guide join karte hai to aur bhi acha hoga.
Ya aap ise 12th ke bad bhi join kar sakte hai iska fayda students ko future me 100 % hota hai. Apne dekha hi hoga jab bhi aap government job vacancies ke liye apply karte hai to usme NCC, Sports aur Scout guide ka kota bhi jarur hota hai.
Agar apne in teeno me se kisi ek me bhi acha waqt diya hai to iske pure chances hai ki apka railway jobs me selection Ho jayega. Isliye aap khud ya apne chote bhai – bahan ko inme samil hone ko jarur prerit kare.Yah bahut hi achi organisations hai yaha apko bahut kuch sikhne aur nayi jagah dekhne ko bhi milega.
Also Read :
- Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye
- 12th Ke Baad Top Engineering Courses
- 12th commerce ke baad kya kare
3. Join Sports
Aksar students sports ko ignore karte hai, Sochte hai sports khlene se kya mil jayega kon sa unhe gold medals mil jaega. yah kah kar na hi sports join karte hai aur jo students sports lena chahte hai jinko sports me future banana chahte hai unko bhi demotivate karte hai.
Chahe ve friends ho ya family members sab kahte hai khelne se kuch nahi milega apna time isme barbad na kare. In sab ki pressure ki vajah se students jisme ve khud ko sabit kar sakte hai bich me hi chod dete hai.
Aap sabhi ko bata dena chahte hai ki jo sport ko profession chunte vo kam time hi bahut kuch hasil kar sakte hai. Aaj government khud bhi bacho ko sports join karne ko prerit kar rahi hai.
Jiske tahat pure India se KHELO INDIA SCHOOL GAMES ke dvara 1000 bacho ko har saal Indian team associations me samil kiya jata hai. Students ke coaching aur khel ko behtar karne ke liye har students ko 500000 rupay tak ki madad bhi di jati hai.
Isliye aap sabhi students school time se hi koi bhi sports jisme aap ache ho jarur join kare aur ise bich me na chhode. College me bhi ise regular rakhe.
Isse apko school aur college ki taraf se ek state level ya central leval ka certificate milega. Aap chaho to apne khel ko aage bhi continue rakh sakte hai ya agar kisi karan vas sports continue nahi rakh pate hai. To aap koi bhi government jobs me sports kote se railway govt. vacancies me apply jarur kare apko 100 % chances hai government jobs lagne ke.
Final Word
Agar aapko bhi in bateye gaye me se kisi me bhi interest hai ya nahi bhi hai to join jarur kare. Agar apko bhi jyada padhai me man nahi lagta ya padhai se jyada sports me man lagta hai to aap ise apna profession bana sakte hai.
Kyoki aaj state aur central government dono hi NCC , SCOUT GUIDE AUR SPORTS me samil students ko jyada important de rahi hai. Chahe sports ho ya fir koi government jobs ho in sab me jyada important milta hai.
Iska fayda yah hai ki Apne kai bar suna hoga kisi sports person ko uski achievement ke chalte ya sports me apna yogdan dene ke liye DCP, SP, BANKING, deputy collector ya aur kai railway jobs jaise bade POST bhi asani se mil jate hai. Aaj kal sports me Career banana kafi Acha mana jata hai.
Also Read :
- 12th ke baad arts students kya kare successful
- 12th ke baad science students kya kare
- 12th Ke Baad Government Jobs Ke Liye kare ye Course.
Hum asha karte hai ki aap sabhi ko hamari yah jankari Acha laga hoga. Agar apko hamari yah jankari 12th Ke Bad Kya Kare Governments Jobs sakari naukri Asani Se Pane Ke Liye Acha laga ho to aap comments me bata sakte hai aur is post ko friends aur social media me jyada se jyada share jarur kare.
Isi tarah ke daily updates jankari pane ke liye aap hamare blog ko bhi subscribe kar sakte hai ya humse judne ke liye hamare Facebook page ko bhi like kar sakte hai..
Thanks for Reading…
Thank you so much❤