Foods For Glowing Skin Beauty Tips For Face In Hindi
Top 12 Best Food Beautiful And Glowing Skin Tips Foods For Glowing Skin Beauty Tips For Face In Hindi. Khoobsurat sundar dikhna kon nahi chahta chahe vo ladki ho ya ladka. Ladkiya apne roop ko lekar hamesha paresan rahti hai aur vah sundar dikhna chahti hai.
Jiske liye girls aur woman kai tarah ke beauty treatment aur beauty product ka bhi sahara leti hai par fayda bas kuch din ka hi hota hai uske bad fir se vahi samasya.
Aaj Sundar dikhna sundar chehra pana itna bhi muskil nahi hai ladkiyo ko bas apne khaan paan (Diet) pe kuch badlao lane ki jarurat hai jaisa aap khoge vahi apke face pe bhi dikhai dega. Asli khoobsurati natural beauty me ha na ki banavati makeup ke dvara.
To aaj hum janenge vo Top 12 best food beautiful and glowing Skin Tips Foods For Glowing Skin Beauty Tips For Face In Hindi jo apko kudrati khubsurat chehra anadar se khoobsurat banane me madad karega.
Top 12 Food For Beautiful And Glowing Skin
1. टमाटर (Tomato)
Tamatar ek bahut hi gunkari food hai jiska upyog sabjiyo, soup aur vibinn prakar ke chatni ke roop me sevan karne me kiya jata hai jo testy hone ke sath hi hamare Beautiful and glowing skin pane me madad karta hai.
Tamatar asani se sabhi ke gharo me bhi mil jata hai tamatar me anti aging, lycopene ke gun paye jate hai jo skin ko glow karne ke sath hi skin ko javan banaye rakhne me madad karta hai isliye aap roz tamatar ka sevan jarur kare tamatar ka sevan aap salad, soup, chatni ke roop me kar sakte hai.
2. संतरा (Orange)
Orange me Vitamin c mukhya roop se paya jata hai jo hamare chehre ke liye bahut hi labhkari hota hai. Yahi vajah hai aaj kai company beauty product me bhi orange ka istemal kiya jata hai.
Agar aap pratidin 1 orange ko 15 din tak lagatar khate hai to apko khud hi mehsus hoga ki apka chehra pahle se jyada glow kar raha hoga, chehra me freshness aur chamak aap ko saaf dikhai dega jo puri tarah se natural beauty hoga.
Orange ka upyog ek to sidhe khane ke roop me le sakte hai ya juice ke roop me le sakte hai. Iske sath hi aap santare ke chilke ko dhoop me sukha kar bad me pees kar chehre par facepack ki tarah bhi laga sakte hai isse bhi chehre ke skin ko fayda hota hai.
Jo apko ek bedag aur sundar chehra de sakta hai. Aap is bat ka dhyan de ki orange juice hamesha ghar par hi bana kar piye bahar ka packet wala orange juice peene se bache.
Kyoki packet orange juice me artificial orange hota hai aur mithas ke liye jarurat se jyada sugar ka istemal kiya jata hai jo health aur chehre dono ke liye acha nahi hai.
3. दही (curd)
Dahi swad me bahut acha hota hai jo pachan aur skin dono ke liye bahut hi labhkari hota hai. Dahi me calcium paya jata hai jo hamare Haddiyo ke liye bhi faydemand hota hai. Dahi ke partidin sevan karne se hamare chehre me nikhar ata hai.
Dahi ko chehre me laga kar malish bhi kar sakte hai Jo face skin ko soft banane me madad karta hai. Iske sath hi sath dahi ke sevan se apko height badhane me bhi madad karega.
Dahi me aise kai sare labhkari bacteria paye jate hai jo pet ke liye bahut faydemand hai jo pachantantra digestive system ko sahi rakhta hai. Chehre ke sunburn ho jane par aap dahi ko chehre par laga kar malish kar sakte hai isse sunburn me aram milta hai.
4. गाजर (Carrot)
Gajar jitna khane me acha lagta hai usse jyada iske fayde hai gajar me vitamin A, C, K, Potassium, iron,copper jaise minerals paya jata hai. carrot anko ki roshni ke liye best food mana jata hai. Gajar ke sevan se khoon(blood) ko natural tarike se saaf sudh karta hai jo chehre me chamak, nikhar aur natural beauty lane ke liye bahut faydemand hai.
Gajar hemoglobin ki matra ko bhi badata hai, Gajar me anti aging gun bhi paya jata hai jo apko hamesha yuvaa dikhne me madad karta hai aap gajar ka sevan salad, juice ya aise kha sakte hai.
5. सूखे मेंवे (Dry fruits)
Foods For Glowing Skin me Dry fruits hamare health ke liye ek khajane ki tarah hai, Jisme kai sare minerals, vitamin, proteins, fibers paye jate hai. Jiske roz sevan karne se hamare blood me hemoglobin ki matra ko bada deta hai aur blood circulation ko sahi rakhta hai.
Dry fruits ke daily sevan se aap mentally aur physically roop se bahut fit aur strong rahoge. jiska bahut acha asar apke chehre par bhi dikhai dega Dry fruits ke daily sevan se apko ek Rich look pradan karega.
Dry fruits me antioxidants aur anti aging ke gun bhi paya jata hai jo chehre ko javan banane aur andar se nikhar lane me madad karta hai.
Also Read :
6. हरी सब्जी(Green vegetables)
Hum sabhi jante hai ki green vegetables healthy skin aur body dono ke liye bahut hi faydemand hota hai. Jitna hum hari taazi sabjiya khayenge hamare body aur chehre ke liye utna hi acha hoga.
Hari sabjio me calories kam matra me paya jata hai jisko khane se motapa bhi nahi badta aur minerals, fibers, water ki matra jyada hoti hai. Jo body se toxic ko bahar nikal kar chehre ko saaf aur sundar banane me madad karta hai.
Par is bat ka dhyan de ki rainy season me hare pattedar wali sabjiya ka sevan na kare. Healthy Rainy Vegetables Monsoon Me Kon Si Sabjiya Khaye.
7. अनार (Pomegranate)
Anaar me antioxidants bharpur matra me paya jata hai Isme bahut sare vitamin bhi paye jate hai jo hamare blood ki matra ko badane ka kam kate hai. Iske pratidin ke sevan se chehra kudrati roop se sundar lagne lagta hai, Iske sevan se face ko clean kar glowing skin pradan karta hai.
Aap iska upyog Anaar ke juice ke roop me kar sakte isse hamara immune system strong hota hai. Ya fir normal salad ke roop me kha sakte hai yah pimple ko ane se bhi rokta hai iske sevan karne se sunburn ki samasya me bhi aram milta hai.
8. स्ट्रौबेरी(Strawberry)
Glowing Skin Beauty Tips For Face me Strawberry ek rich super food me gina jata hai jiske bahut sare fayde hai. Isme flavonoides, antioxidantes gun paye jate hai yah cencer jaise rog se ladne me madad karta hai. Isme vitamin, minerals aur antioxidants achi matra me paye jate hai.
Jo chehre ko kudrati roop se nikhar kar Beautiful And Glowing Skin yuvaa dikhe me madad karta hai. Iske daily sevan karne se kai tarah ke bimariyo se bacha ja sakta hai strawberry health ke liye bhi best food mana jata hai.
9. ग्रीन टी(Green Tea) :
Green tea ke bare me hum sab jante hai ki yah motapa ko kam karke fit body dene me madad karta hai. Iske alawa bhi green tea ke bahut sare fayde hai isme antioxidantes, anti inflammatory aur antimocrobial ke gun paye jate hai.
Jo skin se pimple daag dhabbo ko door kar use dobara ane se rokta hai aur dark circle ko door kar chehre ko tazgi aur sundar roop pradan karta hai.
10. जामुन (blackberry)
Jamun (blackberry) me iron paya jata hai jo blood ke liye bahut jaruri poshak tatva hai. Jamun me khoon saaf karne ka gun paya jata hi Jo chehre ke pimple ko door karne me madad karta hi aur chehre me nikhar lata hai.
Jamun hamare digestive system ke liye bhi faydemand hota hai jamun ki gutli ko sukha kar pees kar chehre par lagane se pimples daag dhabbe jaisi samasya se chutkara milta hai. jamun ko hamseha khane ke bad khaye to jyada acha labh milega.
11. नींबू(Lemon)
Nimboo me kai sare gunkari vitamins aur minerals paye jate hai, Jo Hamare health ke liye bahut faydemand hote hai jo vitamin c ki ko pura karte hai. Nimboo ka jyada acha fayda garmiyo me dikne ke liye milta hai, Nimboo chehre ki rangat ko saaf kar clean gora banane me madad karta hai.
Garmiyo me Jise log sarbat ke roop me bhi peete hai jisse garmi se rahat milta hai aur tanav kam hota hai. Jisse body temperature sahi rahta hai aur body ke hanikarak tatva ko body se bahar nikalane me madad karta hai.
12. लहसुन(Garlic):
Hum me se bahut log honge jise lahsun khana pasand nahi hai par lahsun me aise kair sare gunkari labh hote hai jiska upyog kar hum apne chehre ki khubsurati ko bada sakte hai.
Lahsun me kaif matra me anti aging aur antibacterial gun paye jate hai. Jo hamare chehre ke skin ko sundar banane ke sath hi hume kai bimariyo se bhi rakhsha karta hai aur ek ache health me madad karta hai. Lahsun ka savan hamare immune system ko badata hai jo skin diseases jaise khatro ko bhi kam karta hai.
Also Read :
Top 12 best food beautiful and glowing Important Beauty Tips :
1. Kisi bhi food ka sevan karne se pahle se is bat ka dhyan de ki us food se apko koi problem to nahi hai kyoki ho sakta hai apko koi food khane se manahi ho.
2. Kisi bhi food ko hamesha ek limits me khaye aur har food k khane ka sahi time hota hai usi time me khaye isse food ka acha asar dekhne ko milega.
3. Nimboo ek acidic food hai isliye isko upyog dhyan se kare na jyada chehre me lagaye na jyada matra me khaye.
4. Food ka savan karte samay jyada tala bhuna aur bahar ka khane se bache verna asar kam hoga.
5. 18 se adhik umra ke logo ko kam se kam 1.5 se 2 litre pani jarur piye. sardiyo me pani ki matra kam aur garmiyo me pani ki matra bada sakte hai. Ye bhi depend karta hai aap kitne kaam kar rahe hai Ya nahi hamseha apni body ki jarurat ke hisab se pani piye.
6. Hamesha jis season me jo food ate hai unhi food ka sevan kare be mausam food ka sevan na kare.
7. Ache food ke sevan ke sath hi apko active rahna hoga iske liye aap exercise ya meditation kar sakte hai jo health aur skin dono ke liye bahut faydemand hota hai.
8. Apne chehre ki saaf safai par jyada dhyan de sabun ki jagah facewash ka istemal kare vo bhi din me sirf 2 bar jarurat se jyada facewash ka istemal na kare.
Hum asha karte hai ki apko hamari do gai jankari Top 12 best food beautiful and glowing skin Tips Foods For Glowing Skin Beauty Tips For Face In Hindi pasand aya hoga.
Agar apko hamari yah jaankari acha laga ho to comments me jarur bataye aur apne friends, family aur social media me Top 12 best food beautiful and glowing skin Tips Foods For Glowing Skin Beauty Tips For Face In Hindi ko share jarur kare.
Agar apka kisi tarah ka sawal ho to bhi aap comments me puch sakte hai apke sawal ka javab diya jayega sath hi humse judne ke liye aap hamare facebook page ko bhi like kar sakte hai .
Thanks For Reading…