Barish Ke Mausam Me Kya Khaye
Barish ke mausam me kya khaye, top 10 healthist foods to eat during monsoon in hindi. Barish ke mausam ne dastak de diya hai summer season jane ke bad yah hariyali bhara mausam sabhi ko pasand ata hai.
Par barish ka yah mausam kai bimariya bhi apne sath lata hai jinse bachana bhi bahut jaruri hai. Khastaur par bacho ko yah nahi pata hota hai ki Barish ke mausam me kya khaye kya nahi. Isliye bado ki tulna me bache is monsoon season me jaldi bimar padte hai.
Rainy season me apko kin bato ka dhyan dena hai aur apne khaan paan me kise shamil karna hai iski jankari na hone ki vajah se Adhiktar log bimar padh jate hai.
Isliye aaj hum apko batayenge kuch aise monsoon foods jo apko is barsat ke mausam me energy bhi dega aur apko bimariyo se bhi bachayega aur healthy bhi rakhega.
Jisse aap is rainy season ka bharpur anand le payenge. Chaliye jante hai barish ke mausam me kya khaye top 10 healthy food name kon se hai.
मॉनसून में खाये ये 10 हैल्थी फूड
#1. Corn (भुट्टा)
Corn ko hindi me bhutta bhi kaha jata hai, barsaat ke is mausam me agar garma garam bhune huye bhutte nahi khaya to barish ka maja mano adhura sa lagta hai.
Yah bhutta khane me jitna tasty hota hai uske gunkari labh usse bhi jyada hote hai. Corn me antioxidants, fibers, proteins bharpur matra me paye jate jo skin aur health dono ke liye bahut Acha hota hai.
Isliye dekha gaya hai corn ko Americans aur european countries ke log kafi pasand karte hai. Corn me iron, magnesium, vitamin, folic acid bhi paya jata hai jo lever aur heart ke liye bhi bahut Acha mana gaya hai.
#2. Herbal Tea (हर्बल चाय)
Herbal tea ko waise to kabhi bhi piya ja sakta hai par herbal tea ka sabse jyada acha benefits monsoon me dekhne ko milta hai. Yah Herbal tea normal tea se thoda alag hota hai.
Jaise adarak, tulsi, long, Cardamom wali chai ya fir green tea, kyoki isme normal tea se jyada ausadhi gun paye jate hai. Isme antioxidants ki achi matra paya jata hai jo apke skin ke liye ache hote hai.
Yah Herbal tea apke immune system ke liye acha hota hai. Sath hi yah weight loss karne me bhi madad karta hai, Barish me harbal tea ka sevan karne se aap fresh feel karoge.
Herbal tea Rog pratirodhak ko bhi badhane me madad karta hai. Isliye is monsoon me herbal tea benefits ka anand jarur le aur swasth rahe.
#3. Apples (सेब)
kahte hai roz ek apple khane wale ko kabhi doctor ke pass nahi jana padta. Iski vajah hai isme paye jane wale kai sare Apples health benefits jo Apples ko ek super food banata hai.
Lal rang ka dikhne wala yah apple health ke dristi se ek vardan hai. Apple me antioxidants, fibers, vitamins, calcium, malic acid aur water paya jata hai jo apke skin, heart, teeth, aur lever ke liye bahut acha mana gaya hai.
Agar apki yaddast kam hai to bhi aap iska sevan kar sakte hai, monsoons me immune system ke liye apple best food hai. Par dhyan de monsoon me hamesha taaze apple ka hi sevan kare aur apple se ache health benefits ke liye aap ise subah naste ke bad kha sakte hai jo apko din bhar energy dega.
#4. Blueberry (जामुन)
Jamun khane me to bahut tasty hota hi hai sath hi isme aise kai sare aushadhi gun bhi paye jate hai Jo ise ek mahatvapurna food bana deta hai.
Is karan jamun health ke liye bahut faydemand hote hai. Jamun me iron aur phosphorus bharpur matra me paya jata hai jo pet se sambandhit bimariyo ke liye bahut acha hota hai.
Sath hi isme glucose, frustoce aur folic acid bhi paya jata hai jo diabetes patients ke liye acha mana jata hai. Sath hi jamun ka sevan heart, skin aur haddiyo ke liye bhi bahut faydemand hota hai.
Par ek bat ka vishes dhyan de jamun khali pet na khaye aur jamun khane ke bad dudh ka sevan kabhi bhi na kare aur jyada matra me jamun ka sevan na kare.
#5. Pomegranate (अनार)
Anar ek jabardast food hai jo monsoon me apke health me jabardast prabhav dal sakta hai. Monsoons me anar ka swad aur bhi badh jata hai Taaze anar me kai sare poshak tatva paye jate hai.
Jo rainy season me apke body ko healthy aur fit banane me madad karta hai. Anar me vitamin B complex, Antioxidants, anti becterial, fibre aur anti cancer jaise gun paye jate hai jo monsoon mein apki in sabse suraksha karta hai.
Sath hi yah apke skin ki rangat ko saaf kar use soft aur glow karta, Isse aapke balo ko bhi mazbuti milegi. Anar heart, diabetes, cancer aur BP ke patients ke liye bhi bahut hi asardar food mana gaya hai. Par is bat ka dhyan de ki kabz, khansi, influenza ya jise anar se Allergy hai unhe anar nahi khana chahiye.
#6. Dry fruits (सूखे मेंवे)
Hum sabhi jante hai ki dry fruits health ke liye bahut hi acha hota hai. Dry fruits me sabhi fruits ke mukable sabse jyada jaruri poshak tatva paye jate hai isliye inki kimat bhi dusro fruits se bahut jyada hoti hai.
Par agar apko healthy rahna hai to iska sevan jarur karna chahiye aur bacho ko to dry fruits jarur khilaye. Dry fruits ko har mausam me khaya ja sakta hai.
Dry fruits me bharpur matra me antioxidants, protein, fibers, vitamins jaise aur bhi kai poshak tatva paye jate hai. Jiske roz sevan karne se heart, skin, brains, bone ke liye bahut hi faydemand hota hai.
Dry fruits monsoon me hamare immune system ko acha rakhta hai aur body ko strong banata hai. Jisse barish ke mausam me bimariyo se bacha ja sakta hai, dry fruits ke ache results pane ke liye iska sevan hamesha subah kare.
- Top 12 best foods for beautiful and glowing skin
- Beautiful And Glowing Skin Ke Liye kya Kare
- meditation benefits dimag tez karne ke
#7. Litchi (लीची)
Litchi ek chota sa rashila fal hai jo khane me bahut hi mitha hota hai. Litchi me aise kai gun paye jate hai jo hamare health ke liye bahut labhdayak hota hai.
Litchi me antioxidants, fibres, vitamin c, Pottasium, vitamin E paya jate hai. Yah food hamare digestive system Pachantantra ko sahi rakhne ka kam karta hai. Sath hi monsoon me litchi ke sevan se rainy season me hone wale bimariyo se bacha ja sakta hai.
Litchi hamare immune system ko badane me madad karta hai. Iska sevan karne se skin, heart, aur balo ke liye bhi faydemand hota hai. Iske alawa Litchi hamare blood circulation ko bhi sahi karta hai.
Par khane se pahle is bat ka dhyan de ki litchi me sugar ki matra bahut jyada hoti hai. Isliye sugar ke patients ko yah nahi khana chahiye aur kabhi bhi jyada matra me iska sevan na kare.
#8. Pears (नाशपाती)
Naspati Hare rang ka yah fal sabhi ko pasand ata hai monsoon season me iska mahatva aur bhi bad jata hai kyoki yah har mausam nahi paya jata. Naspati me kai sare labhkari gun paye jate hai jo har kisi ke liye faydemand hota hai.
Naspati me fibers, vitamin c, vitamin k, pottasium, magnesium, foliate, vitamin B complex jaise aur bhi kai gun paye jate hai. jo barish ke mausam me healthy aur fit banaye rakhne me madad karta hai.
Naspati hamare digestive system ke liye bahut hi acha hota hai jo bhojan ko jaldi pachane me madad karta hai. Sath hi ye hamare immune system ko mazbut karne ka kam bhi karta hai.
Naspati hamare heart, skin, diabetes ke liye bhi acha mana gaya hai, kyoki isme sugar ki matra kam hoti hai to ise diabetes patients ko bi khilaya ja sakta hai.
Par is bat ka dhyan de ki naspati jab bhi khaye taaza ho aur use kaat kar jyada der tak na rakhe turant kha le Naspati hamesha ache se chaba kar hi khaye.
#9. Cherries (चेरी)
Cherry ka yah lal rang ka fal dikhne me bahut hi akarshsak hota hai jo khane me bhi tasty hota hai. Cherries bacho ki pahli pasand hota hai jo health ki drishti se hamare liye bahut upyogi hai.
Cherry me vitamin, thymine, riboflavin, vitamin B6, vitamin A, iron, magnesium, antioxidants paye jate hai. Cherry ke sevan se hamare ankho (Eyes) ke liye acha hota hai cherry hamare immune system ko behtar karta hai.
Cherry me anti aging ka bhi gun paye jate hai jo apko hamesha javaa dikhne me madad karte hai. sath hi sath cherry heart, skin, brain, hair aur wight loss me bhi faydemand hota hai.
#10. Plums (आलूबुखारा)
Plum ko hindi me alubukhara bhi kaha jata hai jo swad me katta mitha hota hai. Yah ek seasonal fruit hai jo monsoon me hi paye jate hai plum ke sevan se hume kai prakar ke labh hote hai jo apko healthy aur fit banane me bahut upyogi hota hai.
Plum me kai sare poshak tatva paye jate hai jaise fibers, antioxidants, vitamin A, C, k, beta -carotene aadi jo hamare ankho aur heart ke liye bahut acha hota hai.
Iske Alawa plum ke sevan karne se weight loss, bone, skin, high blood pressure, diabetes , virul fever me bhi apke liye bahut upyogi sabit hota hai. Par is bat ka dhyan de agar apko pathri ki bimari hai to plum ka sevan na kare.
Final word
Humne bataya ki Barish ke mausam me kya khaye, top 10 healthist foods to eat during monsoon in hindi. par Hum aap sabhi ko yah bata dena chahte hai ki upar bataye gaye sare healthy monsoon fruits un logo ke liye labhdayak hai Jo normal aur healthy hai Jise kisi bhi prakar ka koi anya bimari hai vo unhe khane se pahle doctor ki salah jarur le.
Hamehsa apne body aur health ke hisab se foods ka sevan kare kyoki ho sakta hai apko kuch fruits apko khane ko mana ho. Sath hi aap is bat ka dhyan de ki koi bhi fruits ka sevan ek limits me hi kare jyada matra me kuch bhi sevan na kare varna fayda ki jagah nuksan ho jayega.
Hum asha karte hai apko hamari yah jàruri jankari Barish ke mausam me kya khaye 10 healthist fruits to eat during monsoon in hindi barish me kon sa fruits khaye acha laga hoga.
Apko hamari yah jankari kaisa laga comments me jarur bataye aur is jankari ko apne friends aur social media me bhi share jarur kare.
Agar apka kisi tarah ka koi sawal hai to aap comments me puch sakte hai sath hi humse judne ke liye aap hamare facebook page ko bhi like kar sakte hai.
Thanks For Reading…
बहुत उपयोगी जानकारी।
धन्यवाद मैम
Very Nice Information Love You